Quote
"ai sar-phiri havaa tujhe is ki khabar bhi hai tu jis taraf chali hai udhar meraa ghar bhi hai dastaar mujh se maangne vaale nazar uThaa dastaar hi nahin mire shaane pe sar bhi hai zaahir mein Thik-Thaak hai har ek aadmi andaaz-e-guftugu mein bikharne kaa Dar bhi hai teri hi khushbuon se mahakti hai rahguzar teri taraf safar bhi tu hi ham-safar bhi hai duniyaa tiri 'ajib hai mere khudaa jahaan jiine ki aarzu bhi hai marne kaa Dar bhi hai allaah se 'bashar' nahin chhuptaa kisi kaa haal kyaa hai hamaare dil mein use ye khabar bhi hai"
