"dard ki ik lahr bal khaati hai yuun dil ke qarib mauj-e-sar-gashta uThe jis tarah saahil ke qarib maa-sivaa-e-kaar-aah-o-ashk kyaa hai ishq mein hai savaad-e-aab-o-aatish dida-o-dil ke qarib dard mein Duubi hui aati hai aavaaz-e-jaras giriya-e-gum-gashtagi suntaa huun manzil ke qarib aarzu naayaaft ki hai silsila-dar-silsila hai numud-e-karb-e-laa-haasil bhi haasil ke qarib kuchh to ai nazzaargaan-e-aish-e-saahil boliye kashtiyaan kitni huiin gharqaab saahil ke qarib hai abhi vaamaandgi ko ik safar darpesh aur hai abhi uftaad-e-manzil aur manzil ke qarib rang-e-hasrat kaa tamaashaa dekhnaa thaa gar tumhein raqs-e-aakhir dekhte tum aa ke bismil ke qarib hain vo sab 'tishna' sar-e-manzil amir-e-kaarvaan jo mile the kaarvaan se aa ke manzil ke qarib"
aaina-khaana bhi andoh-e-tamannaa niklaa — Alamtaab Tishna
"aaina-khaana bhi andoh-e-tamannaa niklaa ghaur se dekhaa to apnaa hi tamaashaa niklaa zindagi mahfil-e-shab ki thi pas-andaaz-e-sharaab piine baiThe to bas ik ghunT zaraa saa niklaa phir chalaa mausam-e-vahshat mein sar-e-maqtal-e-ishq qura-e-faal mire naam dobaara niklaa daad-e-shaaistagi-e-gham ki tavaqqo be-sud dil bhi kam-bakht taraf-daar usi kaa niklaa hai ajab tarz kaa rahrav dil-e-shorida-qadam jab bhi niklaa safar-e-ishq pe tanhaa niklaa vo raqibon kaa pata puchhne aae mire ghar koi to un se mulaaqaat kaa rasta niklaa dar-ba-dar khvaar hue phirte hain ham hijr-nasib jaan-sipaari kaa bhi kyaa khuub natija niklaa dil mein uThte rahe yaadon ke bagule 'tishna' mujh mein simTaa huaa ik dard kaa sahraa niklaa"
آئنہ خانہ بھی اندوہ تمنا نکلا غور سے دیکھا تو اپنا ہی تماشا نکلا زندگی محفل شب کی تھی پس انداز شراب پینے بیٹھے تو بس اک گھونٹ ذرا سا نکلا پھر چلا موسم وحشت میں سر مقتل عشق قرعۂ فال مرے نام دوبارہ نکلا داد شائستگیٔ غم کی توقع بے سود دل بھی کم بخت طرفدار اسی کا نکلا ہے عجب طرز کا رہرو دل شوریدہ قدم جب بھی نکلا سفر عشق پہ تنہا نکلا وہ رقیبوں کا پتہ پوچھنے آئے مرے گھر کوئی تو ان سے ملاقات کا رستہ نکلا در بدر خوار ہوئے پھرتے ہیں ہم ہجر نصیب جاں سپاری کا بھی کیا خوب نتیجہ نکلا دل میں اٹھتے رہے یادوں کے بگولے تشنہؔ مجھ میں سمٹا ہوا اک درد کا صحرا نکلا
आइना-ख़ाना भी अंदोह-ए-तमन्ना निकला ग़ौर से देखा तो अपना ही तमाशा निकला ज़िंदगी महफ़िल-ए-शब की थी पस-अंदाज़-ए-शराब पीने बैठे तो बस इक घूँट ज़रा सा निकला फिर चला मौसम-ए-वहशत में सर-ए-मक़्तल-ए-इश्क़ क़ुरआ-ए-फ़ाल मिरे नाम दोबारा निकला दाद-ए-शाइस्तगी-ए-ग़म की तवक़्क़ो' बे-सूद दिल भी कम-बख़्त तरफ़-दार उसी का निकला है अजब तर्ज़ का रहरव दिल-ए-शोरीदा-क़दम जब भी निकला सफ़र-ए-इश्क़ पे तन्हा निकला वो रक़ीबों का पता पूछने आए मिरे घर कोई तो उन से मुलाक़ात का रस्ता निकला दर-ब-दर ख़्वार हुए फिरते हैं हम हिज्र-नसीब जाँ-सिपारी का भी क्या ख़ूब नतीजा निकला दिल में उठते रहे यादों के बगूले 'तिश्ना' मुझ में सिमटा हुआ इक दर्द का सहरा निकला

More by Alamtaab Tishna
View all →"vo ki har ahd-e-mohabbat se mukartaa jaae dil vo zaalim ki usi shakhs pe martaa jaae mere pahlu mein vo aayaa bhi to khushbu ki tarah main use jitnaa sameTun vo bikhartaa jaae khulte jaaein jo tire band-e-qabaa zulf ke saath rang-e-pairaahan-e-shab aur nikhartaa jaae ishq ki narm-nigaahi se hinaa hon rukhsaar husn vo husn jo dekhe se nikhartaa jaae kyuun na ham us ko dil-o-jaan se chaahein 'tishna' vo jo ik dushman-e-jaan pyaar bhi kartaa jaae"
"sivaae-dar-ba-dari us ko khaak miltaa hai jo aasmaan se apni zamin badaltaa hai main jab bhi ghar se nikaltaa huun raat ko tanhaa charaagh le ke koi saath saath chaltaa hai ajiib hotaa hai nazzaargaan-e-shauq kaa haal ridaa-e-maah pahan kar vo jab nikaltaa hai baru-e-chashm ridaa-e-hijaab taan li jaae vo zer-e-saaya-e-gul pairahan badaltaa hai fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlu mein tamaam raat koi karvaTein badaltaa hai guzaar dete hain aavaara-gard aag ke gird jo be-Thikaana hain un kaa bhi kaam chaltaa hai hamaare dam se bhi hai mausamon ki gul-kaari charaagh-e-laala mein dil kaa lahu bhi jaltaa hai main vo shahid-e-vafaa huun ki qatl kar ke mujhe miraa ghanim taassuf se haath maltaa hai hamein nasib huaa aisi manzilon kaa safar qadam qadam pe jahaan raasta badaltaa hai havaa-e-daaman-e-rangin ye kah gai 'tishna' hamaare saamne kis kaa charaagh jaltaa hai"
"hisaar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main thaa rasan rasan miri vahshat gulu gulu main thaa jo rah gayaa nigah-e-sozan-e-mashiyyat se qabaa-e-zist kaa vo chaak-e-be-rafu main thaa zamaana hanstaa rahaa meri khud-kalaami par tire khayaal se masruf-e-guftugu main thaa thaa aaine mein shikast-e-ghurur-e-yaktaai ki apne aks ke parde mein hu-ba-hu main thaa tu apni zaat ke har pech-o-kham se puchh ke dekh qadam qadam miri aahaT thi ku-ba-ku main thaa har ek vaadi-o-kohsaar se guzartaa huaa jo aabshaar banaa thaa vo aabju main thaa khutan khutan thi shalang-e-ghazaal mere liye badan badan miraa nashsha subu subu main thaa tamaam umr ki divaangi ke baad khulaa main teri zaat mein pinhaan thaa aur tu main thaa maaal-e-umr-e-mohabbat hai bas yahi 'tishna' miri talaash thaa vo us ki justuju main thaa"
"kis kis se dosti hui ye dhyaan mein nahin un mein se ek bhi mire saamaan mein nahin rasm-e-vafaa kaa us se nibhaanaa bhi hai muhaal tark-e-taalluqaat bhi imkaan mein nahin baandhein kisi se ahd-e-vafaa ham to kis tarah ik taar bhi to apne garebaan mein nahin kyuun ham ne haar maan li kyuun Daal di sipar ye saaneha shikast ke elaan mein nahin ye jaan supurdagi hai usi ek baat par jo baat mere ishq ke paimaan mein nahin shoridgi ko hain sabhi aasudgi nasib vo shahr mein hai kyaa jo bayaabaan mein nahin 'tishna' vo shab likhi hai hamaare nasib mein jis ki sahar kaa zikr bhi imkaan mein nahin"
"ab bhi zarron pe sitaaron kaa gumaan hai ki nahin zer-e-paa ab bhi tire kaahkashaan hai ki nahin ab bhi vo jashn-e-tarab hai ki nahin maqtal mein ik tamaashe ko hujum-e-nigaraan hai ki nahin ab bhi fariyaad-ba-lab hai ki nahin raanda-e-ishq vo hi be-chaargi-e-dil-zadagaan hai ki nahin kahiye nam hai ki nahin chashm-e-nadaamat-aasaar qaafile vaalon ko ehsaas-e-ziyaan hai ki nahin har gul-e-nam ke liye hai ki nahin gardish-e-chaak ye jahaan kaargah-e-kuza-garaan hai ki nahin vo miraa dushman-e-jaan hai ki nahin sang-ba-dast raaegaan koshish-e-sad-shisha-garaan hai ki nahin 'tishna' kuchh sab se judaa hai ki nahin teri ghazal munfarid 'saudaa' kaa andaaz-e-bayaan hai ki nahin"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"