SHAWORDS

aaj ikaTThaa kar ke 'ishq ke maaron ko — Shariq Kaifi

HomeShariq KaifiGhazal
"aaj ikaTThaa kar ke 'ishq ke maaron ko gher liyaa hai ham ne duniyaa-daaron ko saath ke saare qaidi aisaa kahte the ham ne bhi ghar maan liyaa divaaron ko achchhe ho kar lauT gae sab ghar lekin maut kaa chehra yaad rahaa bimaaron ko dhaar ko parkhaa zang ke dhabbe saaf kiye phir baiThak mein Taang diyaa talvaaron ko jaao apne hisse ke tum ‘aish karo 'ishq mein ham bhi bhuul gae the yaaron ko mere 'alaava kaun jagaane aataa hai pichhle pahar ke soe hue baazaaron ko subh kaa matlab subh kaa pahlaa cigarette thaa vo bhi ab laa-haasil hai bimaaron ko"
Urdu

آج اکٹھا کر کے عشق کے ماروں کو گھیر لیا ہے ہم نے دنیا داروں کو ساتھ کے سارے قیدی ایسا کہتے تھے ہم نے بھی گھر مان لیا دیواروں کو اچھے ہو کر لوٹ گئے سب گھر لیکن موت کا چہرہ یاد رہا بیماروں کو دھار کو پرکھا زنگ کے دھبے صاف کیے پھر بیٹھک میں ٹانگ دیا تلواروں کو جاؤ اپنے حصے کے تم عیش کرو عشق میں ہم بھی بھول گئے تھے یاروں کو میرے علاوہ کون جگانے آتا ہے پچھلے پہر کے سوئے ہوئے بازاروں کو صبح کا مطلب صبح کا پہلا سگریٹ تھا وہ بھی اب لا حاصل ہے بیماروں کو

Hindi

आज इकट्ठा कर के 'इश्क़ के मारों को घेर लिया है हम ने दुनिया-दारों को साथ के सारे क़ैदी ऐसा कहते थे हम ने भी घर मान लिया दीवारों को अच्छे हो कर लौट गए सब घर लेकिन मौत का चेहरा याद रहा बीमारों को धार को परखा ज़ंग के धब्बे साफ़ किए फिर बैठक में टाँग दिया तलवारों को जाओ अपने हिस्से के तुम ‘ऐश करो 'इश्क़ में हम भी भूल गए थे यारों को मेरे 'अलावा कौन जगाने आता है पिछले पहर के सोए हुए बाज़ारों को सुब्ह का मतलब सुब्ह का पहला सिगरेट था वो भी अब ला-हासिल है बीमारों को

aaj ikaTThā kar ke 'ishq ke māroñ ko
Shariq Kaifi
Shariq Kaifi
Shariq Kaifi
poet184 quotes

More by Shariq Kaifi

View all →
Quote
"jab saahil kaa dhokaa saahil ho jaataa hai paar utarnaa aur bhi mushkil ho jaataa hai ik din itni bhiiD juTaa leti hai shohrat apnaa qaatil us mein shaamil ho jaataa hai maut ke din se kyon Dartaa thaa yuun Dartaa thaa jis ko dekho ghar mein daakhil ho jaataa hai koi bhi achchhi baat yahaan bas kaan mein kahnaa bimaaron ko marnaa mushkil ho jaataa hai ye mahrumi aur tarah ki mahrumi hai sab kuchh vaqt se pahle haasil ho jaataa hai saari haqiqat khul jaati hai daanaai ki jis din ik gumraah muqaabil ho jaataa hai"
Shariq KaifiShariq Kaifi
Quote
"phir se ham paD gae mohabbat mein tujh ko ronaa nahin thaa qismat mein vo jo sanjidgi se kahnaa thaa vo to ham kah chuke sharaarat mein hosh mein kab hamaare bas ke the kaam nimTaa liye jo vahshat mein ik puraani namaaz yaad aai aur khalal paD gayaa 'ibaadat mein roz mere liye qayaamat thi roz Talti hui qayaamat mein bas vahi maangne nahin aate jin kaa hissa hai meri daulat mein yaad rakhnaa gunaahgaar ho tum muskuraanaa nahin 'adaalat mein aakhiri jaam ne bigaaDi baat bas nahin kah sake muravvat mein muskuraa kar vidaa' kartaa huun ye bhi ab aa gayaa hai 'aadat mein"
Shariq KaifiShariq Kaifi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari