"dhaDak rahaa hai khayaalaat ke samundar mein vo bah rahaa hai miri zaat ke samundar mein badan ko chhoD diyaa chaand par baseraa hai kabhi to aaegaa vo raat ke samundar mein nahin javaab koi sirf shor phailaa hai vo aa chukaa hai savaalaat ke samundar mein vo meri aankh ke nazzaare mein samaayaa hai main chhup gai huun karaamaat ke samundar mein falak ke paas mujhe ik safar pe jaanaa hai zamin ke saare tilismaat ke samundar mein pighal rahaa hai koi faaslon ki hiddat se charaagh jal rahaa hai zaat ke samundar mein ye kaun hai jo miri aankh ke nazaare ko dikhaai de rahaa hai raat ke samundar mein vo joDtaa hai zamaane ke taane-baane ko bikhar rahaa hai rivaayaat ke samundar mein vo ek lamha jo hotaa hai yaa nahin hotaa laraz rahaa hai vo khadshaat ke samundar mein falak mein tairti sadiyon kaa faasla 'nilam' sameT leti hai lamhaat ke samundar mein"
aankhon mein ek dasht hai kab se rukaa huaa — Neelam Bhatti
"aankhon mein ek dasht hai kab se rukaa huaa pahlu mein ik charaagh hai aadhaa jalaa huaa muddat se mere dil mein hai koi basaa huaa mahram hai meri zaat kaa garche chhupaa huaa rakhaa huaa hai chaand ki dahliz par qadam rasta hai raushni kaa samundar banaa huaa pahli nazar mein umr kaa saudaa huaa thaa tai sach baat hai ki aankh kaa vaada vafaa huaa khushbu kaa raaz khol rahaa hai jahaan par sheron mein koi shakhs hai shaayad chhupaa huaa dasht-e-fanaa mein DhunD liyaa apni zaat ko meraa kahin na honaa hi meri baqaa huaa titli chaman mein aaj bahut chup lagi mujhe jaise kisi gulaab pe ho dil rukaa huaa kahne lagi huun sher main 'nilam' ke saath saath shauq-e-navaa-e-dasht miraa ham-navaa huaa"
آنکھوں میں ایک دشت ہے کب سے رکا ہوا پہلو میں اک چراغ ہے آدھا جلا ہوا مدت سے میرے دل میں ہے کوئی بسا ہوا محرم ہے میری ذات کا گرچہ چھپا ہوا رکھا ہوا ہے چاند کی دہلیز پر قدم رستہ ہے روشنی کا سمندر بنا ہوا پہلی نظر میں عمر کا سودا ہوا تھا طے سچ بات ہے کہ آنکھ کا وعدہ وفا ہوا خوشبو کا راز کھول رہا ہے جہان پر شعروں میں کوئی شخص ہے شاید چھپا ہوا دشت فنا میں ڈھونڈ لیا اپنی ذات کو میرا کہیں نہ ہونا ہی میری بقا ہوا تتلی چمن میں آج بہت چپ لگی مجھے جیسے کسی گلاب پہ ہو دل رکا ہوا کہنے لگی ہوں شعر میں نیلمؔ کے ساتھ ساتھ شوق نوائے دشت مرا ہم نوا ہوا
आँखों में एक दश्त है कब से रुका हुआ पहलू में इक चराग़ है आधा जला हुआ मुद्दत से मेरे दिल में है कोई बसा हुआ महरम है मेरी ज़ात का गरचे छुपा हुआ रखा हुआ है चाँद की दहलीज़ पर क़दम रस्ता है रौशनी का समुंदर बना हुआ पहली नज़र में उम्र का सौदा हुआ था तय सच बात है कि आँख का वा'दा वफ़ा हुआ ख़ुशबू का राज़ खोल रहा है जहान पर शे'रों में कोई शख़्स है शायद छुपा हुआ दश्त-ए-फ़ना में ढूँड लिया अपनी ज़ात को मेरा कहीं न होना ही मेरी बक़ा हुआ तितली चमन में आज बहुत चुप लगी मुझे जैसे किसी गुलाब पे हो दिल रुका हुआ कहने लगी हूँ शेर मैं 'नीलम' के साथ साथ शौक़-ए-नवा-ए-दश्त मिरा हम-नवा हुआ

More by Neelam Bhatti
View all →"guzarti shaam ne phir se pukaaraa giraa hai aankh se koi sitaara churaa lo vaqt ki chaadar se mujh ko chhupaa lo aankh mein apni khudaaraa samundar soch mein Duubaa huaa hai kisi par haar baiThaa hai kinaaraa fazaa badli hui hai shahr-e-jaan ki kisi ne aaj phir mujh ko pukaaraa labon ko hai takalluf aarzu se miri khaamoshiyaan hain ik ishaara tumhaare saath ho to zindagi hai tumhaare baa'd rasmi saa guzaaraa agarche lauT jaane kaa kahaa hai nahin lagtaa lagegaa dil hamaaraa takhayyul chaandni hai chaand bhi hai agarche tirgi ne hai nikhaaraa kise maa'lum hai jhagDe mein 'nilam' bazaahir jiit kar bhi kaun haaraa"
"sukut-e-shab mein larazte hain vaahime tere khamoshiyon mein utarte hain qaafile tere bikhar rahe hain rag-e-jaan ki aziyyat mein nuzul-e-dard mein poshida silsile tere agarche hone ko hotaa bahut hai duniyaa mein kabhi rahe na muravvat se vaaste tere tu aaegaa ki nahin kaun jaan paaegaa thame hue hain tazabzub mein faisle tere ye tirgi jo bhaTakti hai meri aankhon mein isi ke pair mein jalte hain aable tere shab-e-visaal bhi rukhsat huaa andhere mein sahar ne dekh liye aaj hausle tere tilism-e-khvaab hai teraa miraa fasaana bhi ki meri aankh mein barpaa hain saanahe tere"
"dard-e-dil ki baqaa hai shishe mein kyunki har saaniha hai shishe mein aasmaan chhup gayaa hai shishe mein vaqt phir se thamaa hai shishe mein kaun saaghar mein raqs kartaa hai kaun utraa huaa hai shishe mein aankh mein phir koi samundar hai aansu rukne lagaa hai shishe mein jo kabhi bhuul kar nahin aataa barmalaa aa chukaa hai shishe mein ek saaya jo saath rahtaa thaa teraa chehra banaa hai shishe mein sehn-e-dil mein daraaD aaegi baal ab aa chukaa hai shishe mein shahr mein tere baada-khvaaron kaa kaam behad chalaa hai shishe mein ek utraa hai baam par mere ek shab bhar jalaa hai shishe mein tu nahin hai to dard vaalon ke dard kaa silsila hai shishe mein mere dil se tire taghaaful kaa 'umr se vaasta hai shishe mein mere hone se tum se milne tak har hasin vaaqi'a hai shishe mein maa'ni utraa jo aasmaanon se harf zinda huaa hai shishe mein shishe jaisaa badan taDaptaa hai aur us ki davaa hai shishe mein aaj 'nilam' ki aankh kyon chup hai kis ne phir aa liyaa hai shishe mein"
"chaandni sher ki khuli har su hans ke kahti hai shaaera hai tu tham gayaa hai safar sitaare kaa kis ne chumaa hai raat kaa aansu utre aanchal pe aasmaan se diye zer-e-lab muskuraai hai khushbu kaun mahkaa hai aas-paas mire khul gae mere sher ke gesu aa gayaa hai savaal ulfat kaa likh rahi huun kamaal kaa jaadu"
"us sitamgar ne mujhe aaj pukaaraa kyon hai sard honTon pe muravvat kaa fasaana kyon hai miri vahshat hai chhupi us ki nazar mein kyunkar us kaa chehra mire chehre ki tarah kaa kyon hai baada-e-jaan mein utartaa hai jo qatra-qatra vo dil-afroz sukhan dard ne sinchaa kyon hai daaman-e-dil mein chhupaai hain gulaabi yaadein kaun mahkaa hai yahaan aaj ye dhaDkaa kyon hai vo mujhe kahtaa hai khushbu huun ghazal huun us ki us ke lahje mein magar khauf khizaan kaa kyon hai faasle baDhne lage kam na hui majburi dil-e-barbaad ko ik shakhs kaa saudaa kyon hai rasm-e-ulfat ko nibhaataa hai na jaataa hai kahin vo mujhe bhuul chukaa hai to chhupaataa kyon hai raaz khultaa hai mohabbat kaa zaraa ruk ruk kar surkh phulon ke liye koi divaana kyon hai garche 'nilam' ne kisi khvaab ko sochaa to nahin us ki aankhon mein abhi ek daricha kyon hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"