"paanv ke chhaalon ki qimat jaantaa hai buDhaa peD ik musaafir ki musibat jaantaa hai buDhaa peD bojh laashon kaa uThaanaa hai use to aur abhi jo kisaanon ki hai haalat jaantaa hai buDhaa peD gar jaDein mazbut ho to aandhiyon kaa khauf kyaa rakhni hai miTTi se nisbat jaantaa hai buDhaa peD vo badalte mausamon se bhi kabhi haaraa nahin dukh se hi hai sukh ki lazzat jaantaa hai buDhaa peD dekhtaa hai jab gale kaTte hue ahbaab ke aane vaali hai qayaamat jaantaa hai buDhaa peD phunkte ham jaa rahe hain ghar hamaaraa aap hi peD hain dharti ki daulat jaantaa hai buDhaa peD"
aap bhi us husn ko ab phuul kahiye — Ashutosh Mishra Azal
"aap bhi us husn ko ab phuul kahiye dekhiye naazuk badan sab phuul kahiye lagti hai qaus-e-quzah aariz pe shabnam barg-e-gul jaise hain vo lab phuul kahiye phuul se hi hoti hai tamsil us ki rashk kartaa hai chaman jab phuul kahiye baat meri aap ab bhi jo na maane titli jab chume use tab phuul kahiye raat-raani ban vo aae khvaab mein phir mahki in saanson ko har shab phuul kahiye haath mein us ke 'azal' ne de diyaa gul faisla kariye kise ab phuul kahiye"
آپ بھی اس حسن کو اب پھول کہئے دیکھیے نازک بدن سب پھول کہئے لگتی ہے قوس قزح عارض پہ شبنم برگ گل جیسے ہیں وہ لب پھول کہئے پھول سے ہی ہوتی ہے تمثیل اس کی رشک کرتا ہے چمن جب پھول کہئے بات میری آپ اب بھی جو نہ مانے تتلی جب چومے اسے تب پھول کہئے رات رانی بن وہ آئے خواب میں پھر مہکی ان سانسوں کو ہر شب پھول کہئے ہاتھ میں اس کے ازلؔ نے دے دیا گل فیصلہ کریے کسے اب پھول کہئے
आप भी उस हुस्न को अब फूल कहिए देखिए नाज़ुक बदन सब फूल कहिए लगती है क़ौस-ए-क़ुज़ह आरिज़ पे शबनम बर्ग-ए-गुल जैसे हैं वो लब फूल कहिए फूल से ही होती है तमसील उस की रश्क करता है चमन जब फूल कहिए बात मेरी आप अब भी जो न माने तितली जब चूमे उसे तब फूल कहिए रात-रानी बन वो आए ख़्वाब में फिर महकी इन साँसों को हर शब फूल कहिए हाथ में उस के 'अज़ल' ने दे दिया गुल फ़ैसला करिए किसे अब फूल कहिए

More by Ashutosh Mishra Azal
View all →"ye daulat rutba shohrat aur ye imaan miTTi hai lagaayaa haath tab jaanaa falak be-jaan miTTi hai lagi jab aag patton mein shajar tab ro paDaa gham mein kahaa phir shaakh ne har shai yahaan naadaan miTTi hai likhun main falsafe ki shaairi yaa giit ulfat ke main shaair huun miri har nazm kaa unvaan miTTi hai kitaab-e-hijr mein main ab likhungaa vasl ke qisse mohabbat mein milaa hai jo mujhe taavaan miTTi hai nahin maalum hasrat se main miTTi dekhtaa huun kyon mujhe shaayad khabar hai kul miri pahchaan miTTi hai dikhaataa khel hai sab ko 'azal' ban kar madaari aur tamaashaa dekhtaa hai jo vo har insaan miTTi hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"