"mili fursat agar ranj-o-balaa se kaheinge ham bhi kuchh apne khudaa se khudaa-naa-khvaasta tum se gila ho shikaayat hai hamein apni du'aa se yunhi rabt un se mujh se har-nafas hai ho jaise ghuncha-o-gul kaa sabaa se koi maange to kyaa duniyaa se maange mile kyaa khaak be-barg-o-navaa se kabhi 'naashaad' ko dekhaa to bole nazar aate hain surat-aashnaa se"
aap ki yaad umr bhar aai — Nashad Kanpuri
"aap ki yaad umr bhar aai ham bhulaayaa kiye magar aai dil ki har choT phir ubhar aai dekh kar un ko aankh bhar aai kis ne tum ko bhulaa diyaa pyaare aai yaad aur umr bhar aai jab kisi meherbaan ne puchhaa haal dil dhaDak uTThaa aankh bhar aai laakh ikhfaa-e-gham karoge magar kyaa karoge jo aankh bhar aai kar to lein ham sharaab se tauba phir tabiat jo raah par aai taab-e-gham laae kis kaa thaa ye jigar ye balaa aashiqon ke sar aai kyon qadam Dagmagaae jaate hain ham-safar kis ki rahguzar aai sun ke 'naashaad' pyaar ki baatein yaad kyaa aai aankh bhar aai"
آپ کی یاد عمر بھر آئی ہم بھلایا کئے مگر آئی دل کی ہر چوٹ پھر ابھر آئی دیکھ کر ان کو آنکھ بھر آئی کس نے تم کو بھلا دیا پیارے آئی یاد اور عمر بھر آئی جب کسی مہرباں نے پوچھا حال دل دھڑک اٹھا آنکھ بھر آئی لاکھ اخفائے غم کرو گے مگر کیا کرو گے جو آنکھ بھر آئی کر تو لیں ہم شراب سے توبہ پھر طبیعت جو راہ پر آئی تاب غم لائے کس کا تھا یہ جگر یہ بلا عاشقوں کے سر آئی کیوں قدم ڈگمگائے جاتے ہیں ہم سفر کس کی رہ گزر آئی سن کے ناشادؔ پیار کی باتیں یاد کیا آئی آنکھ بھر آئی
आप की याद उम्र भर आई हम भुलाया किए मगर आई दिल की हर चोट फिर उभर आई देख कर उन को आँख भर आई किस ने तुम को भुला दिया प्यारे आई याद और उम्र भर आई जब किसी मेहरबाँ ने पूछा हाल दिल धड़क उट्ठा आँख भर आई लाख इख़फ़ा-ए-ग़म करोगे मगर क्या करोगे जो आँख भर आई कर तो लें हम शराब से तौबा फिर तबीअत जो राह पर आई ताब-ए-ग़म लाए किस का था ये जिगर ये बला आशिक़ों के सर आई क्यों क़दम डगमगाए जाते हैं हम-सफ़र किस की रहगुज़र आई सुन के 'नाशाद' प्यार की बातें याद क्या आई आँख भर आई

More by Nashad Kanpuri
View all →"husn husn-e-sifaat kyaa jaane aashiqi ke nikaat kyaa jaane ho gayaa jo kisi kaa saudaai vo hayaat-o-mamaat kyaa jaane dil kaa imaan aur hi kuchh hai aashiqi zaat paat kyaa jaane baada-e-dil-faroz se tauba shaikh raaz-e-hayaat kyaa jaane haan lagaa di hai jaan ki baazi ishq 'naashaad' maat kyaa jaane"
"kaun hai raaja kaun hai raani jhuTi hai sab prem-kahaani kyaa kahiye ab prem-kahaani haae zamaana haae javaani husn javaani donon faani ek fasaana ek kahaani teri haqiqat raaz hai ab tak kis ne apni zaat hai jaani kyaa hai baatin kyaa hai zaahir kaun hai baaqi kaun hai faani amrit-ras hain un ki baatein madiraa kaa madh un ki javaani muddat guzri dil ko luTaae kyaa chheDein ab baat puraani murda dil mein kyon aas aae kyaa dein sukhe dhaan ko paani jaisi guzri achchhi guzri kyaa dohraaein raam kahaani de hi diyaa 'naashaad' unhein dil tum ne kisi ki ek na maani"
"jhuTi duniyaa jhuTi maayaa kaun hai apnaa kaun paraayaa umr ganvaai thaah na paai ishq mein kuchh bhi haath na aaya prem-nagar ki riit nai hai jis ne khoyaa us ne paayaa un ki khushi hai yaad na aaein ham ne kab un ko dil se bhulaayaa TuuTe dil ko joD na paae is ko dikhaayaa us ko dikhaayaa de hi diyaa dil un ko aakhir baiThe biThaae rog lagaayaa gham ke maare aise soe jaag na paae laakh jagaayaa kaun kisi kaa tere sivaa thaa tu ne beDaa paar lagaayaa jaan gae ham 'naashaad' aakhir jhuTe jag ki jhuTi maayaa"
"khushaa-nasib ki hai dil mein aarzu teri mashaam-e-jaan hai moattar basi hai bu teri vo aur honge jinhein hai najaat ki khvaahish shahid-e-husn-e-azal ko hai aarzu teri gharaz har ek ko teraa hi khosha-chin paayaa gulon ne rang uDaayaa sabaa ne bu teri tire jamaal kaa kuchh aisaa roab taari thaa sabaa bhi chhu na saki zulf-e-mushkbu teri fareb-khurda-e-divaar-o-dar nahin 'naashaad' kare vo dair mein kyon jaa ke justuju teri"
"zindagi be-sabaat kitni hai chand roza hayaat kitni hai partav-e-husn-e-yaar hai varna dil ki kul kaaenaat kitni hai dard-e-dil uTh ke tu bataa de zaraa puchhte hain vo raat kitni hai aadmi mar rahaa hai jiine ko imbisaat-e-hayaat kitni hai bazm-e-duniyaa mein aae aur chale daastaan-e-hayaat kitni hai baat 'naashaad' ki bhi sun lete ik zaraa si hai baat kitni hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"