SHAWORDS

aap ne kaisi ibtidaa kar di — Dr. Charanjit Singh Sagar

"aap ne kaisi ibtidaa kar di jism se jaan hi judaa kar di toD kar dil ko mere kahte hain ham ne shaayad koi khataa kar di un ke lutf-o-karam ko kyaa samjhun jin ke zulmon ne intihaa kar di main ne tanhaai mein bahut sochaa zindagi kyaa thi tum ne kyaa kar di ham to divaane the magar 'saagar' aap ne bhi to intihaa kar di"
Urdu

آپ نے کیسی ابتدا کر دی جسم سے جان ہی جدا کر دی توڑ کر دل کو میرے کہتے ہیں ہم نے شاید کوئی خطا کر دی ان کے لطف و کرم کو کیا سمجھوں جن کے ظلموں نے انتہا کر دی میں نے تنہائی میں بہت سوچا زندگی کیا تھی تم نے کیا کر دی ہم تو دیوانے تھے مگر ساگرؔ آپ نے بھی تو انتہا کر دی

Hindi

आप ने कैसी इब्तिदा कर दी जिस्म से जान ही जुदा कर दी तोड़ कर दिल को मेरे कहते हैं हम ने शायद कोई ख़ता कर दी उन के लुत्फ़-ओ-करम को क्या समझूँ जिन के ज़ुल्मों ने इंतिहा कर दी मैं ने तन्हाई में बहुत सोचा ज़िंदगी क्या थी तुम ने क्या कर दी हम तो दीवाने थे मगर 'सागर' आप ने भी तो इंतिहा कर दी

aap ne kaisī ibtidā kar dī
Dr. Charanjit Singh Sagar
Dr. Charanjit Singh Sagar
Dr. Charanjit Singh Sagar
poet11 quotes

More by Dr. Charanjit Singh Sagar

View all →
Quote
"vo ghairon se hamaaraa zikr kuchh is tarh karte hain ki ham mar mar ke jiite hain kabhi ji ji ke marte hain paDi hai gard jo jivan ke aaine pe mat ponchho ki ab ham apne maazi ke tasavvur se bhi Darte hain baDhi jaati hai kuchh is tarh se dil ki pareshaani ki karne kuchh nikalte hain magar kuchh kar guzarte hain samajhte the gila koi na hogaa zindagaani se magar ham kyaa karein jab naqsh yaadon ke ubharte hain sivaa zillat ke daaman mein nahin ab kuchh yahaan apne ki tab har saans jiite the to ab har saans marte hain"
Dr. Charanjit Singh SagarDr. Charanjit Singh Sagar

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar