Quote
"chand lamhon mein mo'amma ziist kaa hal kar gayaa ek divaana khirad-mandon ko paagal kar gayaa dhuup tapti ret par dariyaa pe baadal kar gayaa us kaa har kirdaar mere zehn ko shal kar gayaa be-asar be-rabt lahja be-tavaazun guftugu vo milaa bhi to tabi'at aur bojhal kar gayaa maslahat-aamez baatein abr ban kar chhaa gaiin dil kaa saavan is tarah barsaa ki jal-thal kar gayaa meri aahaT paa ke jis ke chaunk uThte the kivaaD koi aaj is ghar kaa darvaaza muqaffal kar gayaa har taraf ye aam shohrat hai ki koi shah-savaar aaj saare shahr ke logon ko paidal kar gayaa sard lahje mein vo mujh se guftugu karne ke baa'd jab uThaa to rabt-e-zehn-o-dil mo'attal kar gayaa 'mauj' us chehre pe likkhaa ek lafz-e-intishaar khud-farebi ke sabhi qisse mukammal kar gayaa"
