"soz-e-gham se jal rahaa huun dekhtaa koi nahin kyaa buton kaa shahr hai gham-aashnaa koi nahin kis ke aage sar jhukaaun devtaa koi nahin pattharon ke shahr mein meraa khudaa koi nahin zulm-o-istibdaad kaa ik silsila hai us ke saath ye samajhtaa hai vo shaayad ki khudaa koi nahin tere dar se uTh ke jaaein to kidhar jaaein bataa jis taraf bhi dekhte hain raasta koi nahin duriyaan hotin dilon mein to miTaa lete unhein kis liye baDh kar milein ki faasla koi nahin husn hai maghrur par apni anaa ko kyaa huaa kis ko itnaa vaqt hai ye sochtaa koi nahin zakhm-haa-e-dil dikhaa kar kyaa milaa 'naghmi' use jis nazar mein qimat-e-jins-e-vafaa koi nahin"
aarzu tum ho muddaaa tum ho — Abrar Nghmi
"aarzu tum ho muddaaa tum ho kyaa zabaan se kahun ki kyaa tum ho kyaa zarurat hai aaine ki mujhe meri hasti kaa aaina tum ho dil abhi tak nahin samajh paayaa ajnabi ho ki aashnaa tum ho sehn-e-gulshan mein jaa ke raaz khulaa chehra-e-gul mein runumaa tum ho chaand taaron shafaq mein phulon mein rang ho nuur ho sabaa tum ho mujh ko tufaan-e-gham kaa khauf nahin meri kashti ke naakhudaa tum ho tum se qaaem hai zindagi 'naghmi' dil ki dhaDkan ki har sadaa tum ho"
آرزو تم ہو مدعا تم ہو کیا زباں سے کہوں کہ کیا تم ہو کیا ضرورت ہے آئنے کی مجھے میری ہستی کا آئنہ تم ہو دل ابھی تک نہیں سمجھ پایا اجنبی ہو کہ آشنا تم ہو صحن گلشن میں جا کے راز کھلا چہرۂ گل میں رونما تم ہو چاند تاروں شفق میں پھولوں میں رنگ ہو نور ہو صبا تم ہو مجھ کو طوفان غم کا خوف نہیں میری کشتی کے ناخدا تم ہو تم سے قائم ہے زندگی نغمیؔ دل کی دھڑکن کی ہر صدا تم ہو
आरज़ू तुम हो मुद्दआ तुम हो क्या ज़बाँ से कहूँ कि क्या तुम हो क्या ज़रूरत है आइने की मुझे मेरी हस्ती का आइना तुम हो दिल अभी तक नहीं समझ पाया अजनबी हो कि आश्ना तुम हो सेहन-ए-गुलशन में जा के राज़ खुला चेहरा-ए-गुल में रूनुमा तुम हो चाँद तारों शफ़क़ में फूलों में रंग हो नूर हो सबा तुम हो मुझ को तूफ़ान-ए-ग़म का ख़ौफ़ नहीं मेरी कश्ती के नाख़ुदा तुम हो तुम से क़ाएम है ज़िंदगी 'नग़मी' दिल की धड़कन की हर सदा तुम हो

More by Abrar Nghmi
View all →"zindagi khugar-e-sadmaat kahaan thi pahle itni majburi-e-haalaat kahaan thi pahle meri mushtaaq-nigaahi kaa karishma hai ye aap ke husn mein ye baat kahaan thi pahle ye to nairang-taraazi mire ehsaas ki hai fasl-e-gul baadal-o-barsaat kahaan thi pahle sadqa-e-ahl-e-junun hai ye bahaar-e-gulshan bu-e-gul mazhar-e-jazbaat kahaan thi pahle aap ke ishq ne maaruf kiyaa hai mujh ko itni mashhur miri zaat kahaan thi pahle mai-kashi laai hai mujh ko dar-e-mai-khaana tak varna saaqi se mulaaqaat kahaan thi pahle phir diyaa ranj buton ne tumhein shaayad 'naghmi' lab pe din-raat munaajaat kahaan thi pahle"
"khayaal aur fikr ko bulandi nazar ko baalidgi milegi qadam tu duniyaa-e-ishq mein rakh tujhe nai zindagi milegi junun ko apne khirad banaa kar jo zindagi ko sanvaar legaa yahaan usi saahib-e-junun ko khirad ki paighambari milegi ye chaar din ki masarraton kaa fareb bhi kitnaa der-paa hai umiid hai lamha lamha dil ko halaavat-e-zindagi milegi kise gumaan thaa ki daur aisaa bhi ham pe guzregaa zindagi mein na ishrat-e-khvaajgi milegi na lazzat-e-bandagi milegi rahe hain muddat se ham-safar ham hai phir bhi begaanagi kaa aalam kise khabar thi ki har tamanna ba-surat-e-ajnabi milegi jadid tahzib ki ravish par javaan rahe gaamzan tu ik din havas ke halqe mein nim-uryaan bahimiyat naachti milegi badalte haalaat ki numaaish hamein ye paighaam de rahi hai inhi andheron se bazm-e-giti ko ek din raushni milegi ye duniyaa 'naghmi' hai aati jaati nahin hai ye umr-e-jaavedaani sajegi jab bhi tumhaari mahfil hamaari us mein kami milegi"
"mohabbaton ke chaman ki bahaar le ke chalein chalein to qaafila-e-mushk-baar le ke chalein payaam-e-amn khulus aur pyaar le ke chalein vafaa kaa jazba-e-be-ikhtiyaar le ke chalein qadam se pahle karein hausle kaa andaaza buland azm qavi eatibaar le ke chalein ghamon se maari hui kam-nasib duniyaa ko nae se khvaab nae laala-zaar le ke chalein jamaal-e-shokh kaa gar jaan-fazaa ishaara ho to chashm-e-shauq-o-dil-e-be-qaraar le ke chalein shanaakht apni na khoein jahaan bhi jaaein ham dil-o-dimaagh mein apnaa dayaar le ke chalein baDhaaein daulat-e-aamaal-e-nek 'naghmi' ki na hashr mein nigah-e-sharmsaar le ke chalein"
"kis se kyaa maangun jahaan mein koi kyaa degaa mujhe jo bhi degaa kam ziyaada vo khudaa degaa mujhe qatl karke jo tamannaaon kaa meri shaad hai us se kyaa ummid rakhun khun-bahaa degaa mujhe vo masihaa jis ke daaman par lahu ke daagh hain zahr-e-qaatil surat-e-aab-e-baqaa degaa mujhe lamha-e-tark-e-taalluq ye kabhi sochaa na thaa zindagi bhar tanhaa rahne ki sazaa degaa mujhe dekhtaa hai aasmaan taptaa huaa parbat ki ab sabz khilat paani barsaa kar khudaa degaa mujhe jhurriyon aur silvaTon par barhami meri abas jo miraa chehra hai vo hi aaina degaa mujhe kaam aankhon se zabaan kaa lenaa hai 'naghmi' vahaan vo qalam karke zabaan harf-o-navaa degaa mujhe"
"zar ki taaqat se kyaa nahin hotaa sirf banda khudaa nahin hotaa laakh divaarein aap uThaa diije khuun khuun se judaa nahin hotaa sar-ba-sajda qadam qadam lekin haq ye hai haq adaa nahin hotaa gumrahi mein bhaTakti rahti jabin gar tiraa naqsh-e-paa nahin hotaa jumbish-e-lab se kuchh nahin haasil jumbish-e-paa se kyaa nahin hotaa saaz-e-dil chuur chuur ho kar bhi hai sifat be-sadaa nahin hotaa vaaqif-e-ramz-e-bandagi 'naghmi' zaahid-e-paarsaa nahin hotaa"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"