SHAWORDS

agar kuchh e'tibaar-e-jism-o-jaan ho — Aghaz Barni

HomeAghaz BarniGhazal
"agar kuchh e'tibaar-e-jism-o-jaan ho abhi kuchh aur meraa imtihaan ho mujhe darpesh hai bas ek manzil ki tujh se baat ho lekin kahaan ho jise mauj-e-balaa chume musalsal miri kashti kaa aisaa baadbaan ho kahaan tak surat-e-imkaan nikaalun agar har baar mehnat raaegaan ho mire khvaabon ki vo be-naam jannat zamin-o-aasmaan ke darmiyaan ho mire ehsaas ke aatish-fishaan kaa agar ho to mire dil tak dhuaan ho agar 'aaghaaz' hai chup-chaap saahil samundar ki tarah tum be-karaan ho"
Urdu

اگر کچھ اعتبار جسم و جاں ہو ابھی کچھ اور میرا امتحاں ہو مجھے درپیش ہے بس ایک منزل کہ تجھ سے بات ہو لیکن کہاں ہو جسے موج بلا چومے مسلسل مری کشتی کا ایسا بادباں ہو کہاں تک صورت امکاں نکالوں اگر ہر بار محنت رائیگاں ہو مرے خوابوں کی وہ بے نام جنت زمین و آسماں کے درمیاں ہو مرے احساس کے آتش فشاں کا اگر ہو تو مرے دل تک دھواں ہو اگر آغازؔ ہے چپ چاپ ساحل سمندر کی طرح تم بے کراں ہو

Hindi

अगर कुछ ए'तिबार-ए-जिस्म-ओ-जाँ हो अभी कुछ और मेरा इम्तिहाँ हो मुझे दरपेश है बस एक मंज़िल कि तुझ से बात हो लेकिन कहाँ हो जिसे मौज-ए-बला चूमे मुसलसल मिरी कश्ती का ऐसा बादबाँ हो कहाँ तक सूरत-ए-इम्काँ निकालूँ अगर हर बार मेहनत राएगाँ हो मिरे ख़्वाबों की वो बे-नाम जन्नत ज़मीन-ओ-आसमाँ के दरमियाँ हो मिरे एहसास के आतिश-फ़िशाँ का अगर हो तो मिरे दिल तक धुआँ हो अगर 'आग़ाज़' है चुप-चाप साहिल समुंदर की तरह तुम बे-कराँ हो

agar kuchh e'tibār-e-jism-o-jāñ ho
A
Aghaz Barni
Aghaz Barni
poet15 quotes

More by Aghaz Barni

View all →
Quote
"ghar se nikalnaa jab miri taqdir ho gayaa ik shakhs mere paanv ki zanjir ho gayaa ik harf mere naam se divaar-e-shahr par ye kyaa huaa ki raat mein tahrir ho gayaa main us ko dekhtaa hi rahaa us mein Duub kar vo thaa ki mere saamne tasvir ho gayaa vo khvaab jis pe tira-shabi kaa gumaan thaa vo khvaab aaftaab ki taabir ho gayaa main to zabaan pe laayaa nahin teraa naam bhi kyuun ishq meraa baais-e-tashhir ho gayaa 'aaghaaz' us ne jo bhi kahaa mere vaaste vo kyuun mire kalaam ki tafsir ho gayaa"
A
Aghaz Barni
Quote
"duur se kyaa muskuraa kar dekhnaa dil kaa aalam dil mein aa kar dekhnaa khud ko gar pahchaannaa chaaho kabhi mujh ko aaina banaa kar dekhnaa qad kaa andaaza tumhein ho jaaegaa apne saae ko ghaTaa kar dekhnaa main andhere oDh kar so jaaungaa tum ujaalon mein samaa kar dekhnaa shaam kaa manzar hasin ho jaaegaa haath pe mehndi lagaa kar dekhnaa ho chalaa zakhm-e-tamannaa mundamil ik zaraa phir muskuraa kar dekhnaa kis qadar 'aaghaaz' ubaltaa hai sakun tum zaraa aansu bahaa kar dekhnaa"
A
Aghaz Barni
Quote
"ab agar ishq ke aasaar nahin badleinge ham bhi pairaaya-e-izhaar nahin badleinge raaste khud hi badal jaaein to badlein varna chalne vaale kabhi raftaar nahin badleinge duur tak hai vahi aaseb kaa pahra ab bhi kyaa mire shahr ke atvaar nahin badleinge main samajhtaa huun sitaare jo sahar se pahle bujhne vaale hain shab-e-taar nahin badleinge gul badal jaaeinge jab mausam-e-gul bichhDegaa jab khizaan jaaegi to khaar nahin badleinge log badleinge mafaahim musalsal 'aaghaaz' aur ye sach hai mire ashaar nahin badleinge"
A
Aghaz Barni

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil