"ai yaas miraa ghar tiraa maskan to nahin hai dil hai ye tamannaaon kaa madfan to nahin hai kyaa baat hai gulzaar hai kyuun barq se mahfuz be-barg miri shaakh-e-nasheman to nahin hai haan dida-e-tahqiq se ai zauq-e-safar dekh rahbar jise samjhaa hai vo rahzan to nahin hai taklif asiri ki shikaayat na kar ai dil ye kunj-e-qafas kunj-e-nasheman to nahin hai aao ki tamannaaon mein hai taab-e-nazaara ye dil hai miraa vaadi-e-aiman to nahin hai chhu kar hi jise aatish-e-dozakh hui ThanDi daaman ye kisi rind kaa daaman to nahin hai manzur hai kuchh jaanch tire azm ki us ko dar-asl zamaana tiraa dushman to nahin hai be-sai-e-amal khaak hai insaan ko jiinaa ye razm-e-gah-e-zist hai madfan to nahin hai sayyaad ijaazat ki zaraa dekh to aauun jaltaa hai jo vo meraa nasheman to nahin hai dekho to rahaa dasht-navardi pe jo naazaan vo 'arsh' ravaan jaanib-e-gulshan to nahin hai"
agar taqdir teri baais-e-aazaar ho jaae — Arsh Malsiyani
"agar taqdir teri baais-e-aazaar ho jaae tujhe laazim hai us se bar-sar-e-paikaar ho jaae miri kashti hai main huun aur girdaab-e-mohabbat hai jo tu ho naa-khudaa meraa to beDaa paar ho jaae kamaal-e-zabt-e-gham se ye gavaaraa hi nahin mujh ko ki harf-e-aarzu sharminda-e-izhaar ho jaae tere khvaab-e-giraan par ai dil-e-naadaan taajjub hai ki tu sotaa rahe saaraa jahaan bedaar ho jaae unhein kyuun kostaa hai jo tujhe kahte hain kam-himmat buraa kyaa hai haqiqat kaa agar izhaar ho jaae tumhein ai arsh kyuun hai tir-e-gham se itni be-zaari yahi behtar hai ye naavak jigar ke paar ho jaae"
اگر تقدیر تیری باعث آزار ہو جائے تجھے لازم ہے اس سے بر سر پیکار ہو جائے مری کشتی ہے میں ہوں اور گرداب محبت ہے جو تو ہو نا خدا میرا تو بیڑا پار ہو جائے کمال ضبط غم سے یہ گوارا ہی نہیں مجھ کو کہ حرف آرزو شرمندۂ اظہار ہو جائے تیرے خواب گراں پر اے دل ناداں تعجب ہے کہ تو سوتا رہے سارا جہاں بے دار ہو جائے انہیں کیوں کوستا ہے جو تجھے کہتے ہیں کم ہمت برا کیا ہے حقیقت کا اگر اظہار ہو جائے تمہیں اے عرش کیوں ہے تیر غم سے اتنی بے زاری یہی بہتر ہے یہ ناوک جگر کے پار ہو جائے
अगर तक़दीर तेरी बाइस-ए-आज़ार हो जाए तुझे लाज़िम है उस से बर-सर-ए-पैकार हो जाए मिरी कश्ती है मैं हूँ और गिर्दाब-ए-मोहब्बत है जो तू हो ना-ख़ुदा मेरा तो बेड़ा पार हो जाए कमाल-ए-ज़ब्त-ए-ग़म से ये गवारा ही नहीं मुझ को कि हर्फ़-ए-आरज़ू शर्मिंदा-ए-इज़हार हो जाए तेरे ख़्वाब-ए-गिराँ पर ऐ दिल-ए-नादाँ तअज्जुब है कि तू सोता रहे सारा जहाँ बेदार हो जाए उन्हें क्यूँ कोसता है जो तुझे कहते हैं कम-हिम्मत बुरा क्या है हक़ीक़त का अगर इज़हार हो जाए तुम्हें ऐ अर्श क्यूँ है तीर-ए-ग़म से इतनी बे-ज़ारी यही बेहतर है ये नावक जिगर के पार हो जाए

More by Arsh Malsiyani
View all →"tarab ke makhmase gham ke jhamele dil-e-naadaan ne laakhon khel khele gae ik ek kar ke ham-safar sab hamin zinda hain marne ko akele gham-e-dauraan se utni baar haare gham-e-jaanaan se jitni baar khele dil aakhir taab laataa bhi to kab tak qayaamat the tamannaaon ke rele ye duniyaa khatm ho jaaegi aakhir na honge khatm duniyaa ke jhamele na koi ham-khayaal ai 'arsh' paayaa rahe ham anjuman mein bhi akele"
"dil kaa aazaar kam nahin hotaa shauq-e-didaar kam nahin hotaa baDh rahi hai bahut masihaai dard-e-bimaar kam nahin hotaa sulh-saazaan-e-bazm-e-aalam kaa josh-e-paikaar kam nahin hotaa dekh kar tum ko aur ko dekhein ab to meaar kam nahin hotaa un ke inkaar-e-ruh-farsaa se un kaa iqraar kam nahin hotaa ai falak aur koi taaza sitam karam-e-yaar kam nahin hotaa zaahiri haq-parastiyon se kabhi kufr-e-din-daar kam nahin hotaa daur-e-mai mein kami to aati hai shauq-e-mai-khvaar kam nahin hotaa mai se raghbat hai shaikh ko har-chand mai se inkaar kam nahin hotaa 'arsh' daad-e-sukhan na milne se lutf-e-ashaar kam nahin hotaa"
"maail-zabt bhi aamaada-e-fariyaad bhi hai dil giraftaar-e-mohabbat bhi hai aazaad bhi hai daastaan-e-dil-e-maasum na puchh ai hamdam ye vo basti hai jo aabaad bhi barbaad bhi hai ai mire zabt ko kaamil na samajhne vaale qaabil-e-daad miri koshish-e-fariyaad bhi hai uD ke jaaun bhi to kyaa aur na jaaun bhi to kyaa muntazir barq bhi hai taak mein sayyaad bhi hai kyaa likhun kyaa na likhun surkhi-e-afsaana-e-dil gham bhi hai dard bhi hasrat bhi hai fariyaad bhi hai dil-e-divaana ki to hasti-e-hushiyaar na puchh ye giraftaar-e-qafas taair-e-aazaad bhi hai meri taskin to kar bhuul ke itnaa to bataa yaad rakhne kaa jo vaada thaa tujhe yaad bhi hai ik 'ravish' dil ki ho ai 'arsh' to kuchh baat bhi ho kyaa musibat hai ki ye shaad bhi naashaad bhi hai"
"lutf hi lutf hai jo kuchh hai inaayat ke sivaa hai mohabbat se sivaa jo hai mohabbat ke sivaa doston ke karam-e-khaas se bachne ke liye koi gosha na milaa gosha-e-uzlat ke sivaa mujh se shikva bhi jo karte hain to ye kahte hain kuchh bhi aataa nahin kyaa tujh ko shikaayat ke sivaa aap ke khat ko main kis baat kaa khummaar kahun is mein sab kuchh hai bas ik harf-e-mohabbat ke sivaa jis qadar chaahun gunaahon pe hansun khuub hansun ye ilaaj aur bhi hai ashk-e-nadaamat ke sivaa shaikh hi hogaa jo milte nahin do-chaar ayaagh kaun aa saktaa hai maikhaane mein hazrat ke sivaa vo jo kahte hain ki hai fahm-o-faraasat ham se aise logon mein sabhi kuchh hai faraasat ke sivaa nahin maalum ki kyuun ruuh isi se khush hai ranj to aur bhi hain ranj-e-mohabbat ke sivaa rah gae raah-e-amaanat mein malaaek thak kar marhala tai na huaa ye miri himmat ke sivaa tum ko maalum ho ai shaikh-o-barahman to kaho aur bhi koi ibaadat hai mohabbat ke sivaa is nai baat ko bhi 'arsh' kabhi sochaa hai aaj-kal sher mein jiddat hai to jiddat ke sivaa"
"vo le ke hausla-e-azm-e-be-panaah chale jo log hanste hue su-e-qatl-gaah chale gharib nikle rajaz-khvaan to ahl-e-dil ne kahaa karo salaam ki himmat ke baadshaah chale fareb khaae hue zulm o jaur insaan ke khudaa ki khaas adaalat ke daad-khvaah chale na bim-e-marg na khauf-e-ajal na ranj koi khushi se karte hue raqs kaj-kulaah chale salib o daar ki sab rahmaton ke pesh-e-nazar vo tabarruk karte hue hirs-e-izz-o-jaah chale zamaana chikh uThaa sab ki aankh bhar aai baraae qatl jo maqtal ko be-gunaah chale zamin vaalo uTho uTh ke in ko sajda karo vo le ke parcham-e-nau 'arsh' paa-e-gaah chale"
More on Dil
View all →"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"