Quote
"ai yaas miraa ghar tiraa maskan to nahin hai dil hai ye tamannaaon kaa madfan to nahin hai kyaa baat hai gulzaar hai kyuun barq se mahfuz be-barg miri shaakh-e-nasheman to nahin hai haan dida-e-tahqiq se ai zauq-e-safar dekh rahbar jise samjhaa hai vo rahzan to nahin hai taklif asiri ki shikaayat na kar ai dil ye kunj-e-qafas kunj-e-nasheman to nahin hai aao ki tamannaaon mein hai taab-e-nazaara ye dil hai miraa vaadi-e-aiman to nahin hai chhu kar hi jise aatish-e-dozakh hui ThanDi daaman ye kisi rind kaa daaman to nahin hai manzur hai kuchh jaanch tire azm ki us ko dar-asl zamaana tiraa dushman to nahin hai be-sai-e-amal khaak hai insaan ko jiinaa ye razm-e-gah-e-zist hai madfan to nahin hai sayyaad ijaazat ki zaraa dekh to aauun jaltaa hai jo vo meraa nasheman to nahin hai dekho to rahaa dasht-navardi pe jo naazaan vo 'arsh' ravaan jaanib-e-gulshan to nahin hai"
