SHAWORDS

agar vo chaahne kaa man banaataa — Aakash Atharv

HomeAakash AtharvGhazal
"agar vo chaahne kaa man banaataa qasam se main use dulhan banaataa jhaTak ke zulf angDaai vo leti idhar main jhumtaa saavan banaataa banaataa main agar tasvir teri suraahi ki tarah gardan banaataa kisi patthar ko pahle kartaa murat phir us ke vaaste dhaDkan banaataa banaa letaa main khud ko raam lekin ye duvidhaa thi kise laxman banaataa jahaan par ham mohabbat baanT sakte khudaa aisaa koi upvan banaataa"
Urdu

اگر وہ چاہنے کا من بناتا قسم سے میں اسے دلہن بناتا جھٹک کے زلف انگڑائی وہ لیتی ادھر میں جھومتا ساون بناتا بناتا میں اگر تصویر تیری صراحی کی طرح گردن بناتا کسی پتھر کو پہلے کرتا مورت پھر اس کے واسطے دھڑکن بناتا بنا لیتا میں خود کو رام لیکن یہ دویدھا تھی کسے لکشمن بناتا جہاں پر ہم محبت بانٹ سکتے خدا ایسا کوئی اپون بناتا

Hindi

अगर वो चाहने का मन बनाता क़सम से मैं उसे दुल्हन बनाता झटक के ज़ुल्फ़ अंगड़ाई वो लेती इधर मैं झूमता सावन बनाता बनाता मैं अगर तस्वीर तेरी सुराही की तरह गर्दन बनाता किसी पत्थर को पहले करता मूरत फिर उस के वास्ते धड़कन बनाता बना लेता मैं ख़ुद को राम लेकिन ये दुविधा थी किसे लक्ष्मण बनाता जहाँ पर हम मोहब्बत बाँट सकते ख़ुदा ऐसा कोई उपवन बनाता

agar vo chāhne kā man banātā
Aakash Atharv
Aakash Atharv
Aakash Atharv
poet4 quotes

More by Aakash Atharv

View all →
Quote
"bhale hi der se tum se kiyaa izhaar shahzaadi magar bachpan se karte hain tumhin se pyaar shahzaadi kahaani mein kahaani-kaar ne sau rang Daale hain magar is mein hai sab se qimti kirdaar shahzaadi nahin aataa tumhaaraa ab koi message ki kaise ho kahaan itni busy rahne lagi ho yaar shahzaadi miri tasvir ko tum chumti ho be-khayaali mein nazar aane lage hain 'ishq ke aasaar shahzaadi tiri saanson ki lai mein jab talak shaamil miri lai hai tumhaaraa kaun ho saktaa hai daa’vedaar shahzaadi"
Aakash AtharvAakash Atharv
Quote
"tumhaare naam kaa sikka uchhaal saktaa huun tumhein saliqe se main dekh-bhaal saktaa huun abhi to sirf bigaaDaa hai teri 'aadat ko main tujh ko khud mein abhi aur Dhaal saktaa huun jo teri zaat se mujh ko mile hain ai jaanaan main un ghamon ko kaleje mein paal saktaa huun mire khudaa ki khudaai agar navaaz de to samundaron mein bhi rastaa nikaal saktaa huun main apne 'ahd kaa jugnu huun dekhnaa ik din baDe baDon ko main hairat mein Daal saktaa huun agar mile jo gham-e-rozgaar se fursat to main bhi zehn kaa dariyaa khangaal saktaa huun paDegi dhuup jo tum par to abr ban kar ke tumhaare sar se main suraj ko Taal saktaa huun"
Aakash AtharvAakash Atharv

More on Mohabbat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud