"shauq-e-sairaabi ki dhun mein tishnagi marvaaegi mujh ko tere 'ishq mein ye aagahi marvaaegi yuun ragon mein chikhtaa phirtaa hai ik sail-e-junun bol varna ye musalsal khaamushi marvaaegi khushbuon se dasht mahkaataa rahaa main shauq se kyaa khabar thi ye miri shaaistagi marvaaegi main kahaan aur khush-gumaani kaa ye hangaama kahaan mujh ko ab ye khvaahish-e-aasudgi marvaaegi daar par tujh ko agar izn-e-takallum ho 'adib' un se kah denaa tujhe bhi zindagi marvaaegi"
agarche tere karam kaa koi shumaar nahin — Mustafa Adeeb
"agarche tere karam kaa koi shumaar nahin magar ye jabr mujhe khud pe ikhtiyaar nahin hudud-e-vaqt se baahar nikal ke dekh liyaa kahaan kahaan tiri qudrat tiraa hisaar nahin main ek zarra sahi meri haisiyat maa'lum main aadmi to huun uDtaa hue ghubaar nahin sabhi ke bazm-e-tarab mein shumaar naam magar pa meraa naam kisi naam mein shumaar nahin ye lag rahaa hai mujhe rang-o-bu ke ziine par main jis bahaar mein huun ye koi bahaar nahin kisi ne phir se giraa di hai ye dar-o-divaar uTho 'adib' yahaan aur intizaar nahin"
اگرچہ تیرے کرم کا کوئی شمار نہیں مگر یہ جبر مجھے خود پہ اختیار نہیں حدود وقت سے باہر نکل کے دیکھ لیا کہاں کہاں تری قدرت ترا حصار نہیں میں ایک ذرہ سہی میری حیثیت معلوم میں آدمی تو ہوں اڑتا ہوئے غبار نہیں سبھی کے بزم طرب میں شمار نام مگر پہ میرا نام کسی نام میں شمار نہیں یہ لگ رہا ہے مجھے رنگ و بو کے زینے پر میں جس بہار میں ہوں یہ کوئی بہار نہیں کسی نے پھر سے گرا دی ہے یہ در و دیوار اٹھو ادیبؔ یہاں اور انتظار نہیں
अगरचे तेरे करम का कोई शुमार नहीं मगर ये जब्र मुझे ख़ुद पे इख़्तियार नहीं हुदूद-ए-वक़्त से बाहर निकल के देख लिया कहाँ कहाँ तिरी क़ुदरत तिरा हिसार नहीं मैं एक ज़र्रा सही मेरी हैसियत मा'लूम मैं आदमी तो हूँ उड़ता हुए ग़ुबार नहीं सभी के बज़्म-ए-तरब में शुमार नाम मगर प मेरा नाम किसी नाम में शुमार नहीं ये लग रहा है मुझे रंग-ओ-बू के ज़ीने पर मैं जिस बहार में हूँ ये कोई बहार नहीं किसी ने फिर से गिरा दी है ये दर-ओ-दीवार उठो 'अदीब' यहाँ और इंतिज़ार नहीं

More by Mustafa Adeeb
View all →"had hai qafas ki habs se divaar-o-dar jale dekho paraai aag se apnaa bhi ghar jale pohnchaa hai laa-makaan se bhi aage miraa khayaal ahl-e-nazar ki had thi so ahl-e-nazar jale apne hasad ki aag mein jaltaa rahaa 'adu meri uDaan dekh ke kitnon ke par jale saahil ki jaan labon pe thi shiddat se pyaas ki dariyaa ki be-dili se kinaare shajar jale palkon ne is tarah se taraashe hain ashk-e-tar ye aab-e-girya dekh ke laa'l-o-guhar jale ham baanTte rahe hain andheron mein raushni ham raushni-pasandon se shams-o-qamar jale"
"kaun samjhegaa bhalaa yaan ek dukhiyaare kaa dukh kis ko fursat hai sune vo mujh se banjaare kaa dukh haalat-e-dil ru-baru us ke bayaan junhi karun kaash vo samjhe usi lamhe mein bechaare kaa dukh Dhol piiTaa jaa rahaa hai 'ahd ki tauqir kaa kaun samjhe is sadi ke Dubte taare kaa dukh mujh ko andaaza nahin hai vus’at-e-aflaak kaa par sunaa hai 'arsh tak jaataa hai dil-haare kaa dukh"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"