Quote
"aag pi saktaa thaa aur paani pe chal saktaa thaa main un dinon to har kisi mausam mein Dhal saktaa thaa main ek-tarfa kuchh nahin thaa ye nadaamat kis liye tu jalaa saktaa thaa mujh ko aur jal saktaa thaa main kaam le saktaa thaa tu apne hunar se thoDaa aur tere saanche mein kuchh aur achchhe se Dhal saktaa thaa main main thaa koi haadisa 'aalam thaa jiskaa muntazir Taalne vaalaa koi hotaa to Tal saktaa thaa main haan tumhaari jald-baazi kaa mujhe afsos hai haan tumhaari soch se behtar nikal saktaa thaa main"
