SHAWORDS

ajab shikast kaa ehsaas dil pe chhaayaa thaa — Shariq Kaifi

HomeShariq KaifiGhazal
"ajab shikast kaa ehsaas dil pe chhaayaa thaa kisi ne mujh ko nishaanaa nahin banaayaa thaa usi nigaah ne aankhon ko kar diyaa patthar usi nigaah mein sab kuchh nazar bhi aayaa thaa yahaan to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin vo kyaa dikhaane mujhe itni duur laayaa thaa ulajh gayaa huun kuchh aisaa ki yaad bhi to nahin ye vahm pahle-pahal kaise dil mein aayaa thaa vo main nahin thaa tumhaari taraf saraktaa huaa havas ne tirgi kaa faaeda uThaayaa thaa bichhaDnaa itnaa hi aasaan thaa agar us se to khud-kushi kaa ye saamaan kyuun juTaayaa thaa gilaa to aaj bhi sachchaai hai magar 'shaariq' ye jhuuT us se mein pahle hi bol aayaa thaa"
Urdu

عجب شکست کا احساس دل پہ چھایا تھا کسی نے مجھ کو نشانا نہیں بنایا تھا اسی نگاہ نے آنکھوں کو کر دیا پتھر اسی نگاہ میں سب کچھ نظر بھی آیا تھا یہاں تو ریت ہے پتھر ہیں اور کچھ بھی نہیں وہ کیا دکھانے مجھے اتنی دور لایا تھا الجھ گیا ہوں کچھ ایسا کہ یاد بھی تو نہیں یہ وہم پہلے پہل کیسے دل میں آیا تھا وہ میں نہیں تھا تمہاری طرف سرکتا ہوا ہوس نے تیرگی کا فائدہ اٹھایا تھا بچھڑنا اتنا ہی آسان تھا اگر اس سے تو خودکشی کا یہ سامان کیوں جٹایا تھا گلا تو آج بھی سچائی ہے مگر شارقؔ یہ جھوٹ اس سے میں پہلے ہی بول آیا تھا

Hindi

अजब शिकस्त का एहसास दिल पे छाया था किसी ने मुझ को निशाना नहीं बनाया था उसी निगाह ने आँखों को कर दिया पत्थर उसी निगाह में सब कुछ नज़र भी आया था यहाँ तो रेत है पत्थर हैं और कुछ भी नहीं वो क्या दिखाने मुझे इतनी दूर लाया था उलझ गया हूँ कुछ ऐसा कि याद भी तो नहीं ये वहम पहले-पहल कैसे दिल में आया था वो मैं नहीं था तुम्हारी तरफ़ सरकता हुआ हवस ने तीरगी का फ़ाएदा उठाया था बिछड़ना इतना ही आसान था अगर उस से तो ख़ुद-कुशी का ये सामान क्यूँ जुटाया था गिला तो आज भी सच्चाई है मगर 'शारिक़' ये झूट उस से में पहले ही बोल आया था

ajab shikast kā ehsās dil pe chhāyā thā
Shariq Kaifi
Shariq Kaifi
Shariq Kaifi
poet184 quotes

More by Shariq Kaifi

View all →
Quote
"jab saahil kaa dhokaa saahil ho jaataa hai paar utarnaa aur bhi mushkil ho jaataa hai ik din itni bhiiD juTaa leti hai shohrat apnaa qaatil us mein shaamil ho jaataa hai maut ke din se kyon Dartaa thaa yuun Dartaa thaa jis ko dekho ghar mein daakhil ho jaataa hai koi bhi achchhi baat yahaan bas kaan mein kahnaa bimaaron ko marnaa mushkil ho jaataa hai ye mahrumi aur tarah ki mahrumi hai sab kuchh vaqt se pahle haasil ho jaataa hai saari haqiqat khul jaati hai daanaai ki jis din ik gumraah muqaabil ho jaataa hai"
Shariq KaifiShariq Kaifi
Quote
"aaj ikaTThaa kar ke 'ishq ke maaron ko gher liyaa hai ham ne duniyaa-daaron ko saath ke saare qaidi aisaa kahte the ham ne bhi ghar maan liyaa divaaron ko achchhe ho kar lauT gae sab ghar lekin maut kaa chehra yaad rahaa bimaaron ko dhaar ko parkhaa zang ke dhabbe saaf kiye phir baiThak mein Taang diyaa talvaaron ko jaao apne hisse ke tum ‘aish karo 'ishq mein ham bhi bhuul gae the yaaron ko mere 'alaava kaun jagaane aataa hai pichhle pahar ke soe hue baazaaron ko subh kaa matlab subh kaa pahlaa cigarette thaa vo bhi ab laa-haasil hai bimaaron ko"
Shariq KaifiShariq Kaifi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi