"thakan ghaalib hai dam TuuTe hue hain safar jaari qadam TuuTe hue hain ba-zaahir to hain saalim jism-o-jaan se magar andar se ham TuuTe hue hain adhure hain yahaan saare ke saare sabhi to besh-o-kam TuuTe hue hain buraa ho e'timaad-e-baahami kaa ki sab qaul-o-qasam TuuTe hue hain taalluq TuTne ko hai jahaan se chalo ki band-e-gham TuuTe hue hain khudaa kaa ghar na bakhshaa zaalimon ne kai dair-o-haram TuuTe hue hain unhein munsif nahin qaatil kaho tum ki sab un ke qalam TuuTe hue hain"
andaaz-e-fikr ahl-e-jahaan kaa judaa rahaa — Ghani Ejaz
"andaaz-e-fikr ahl-e-jahaan kaa judaa rahaa vo mujh se khush rahe to zamaana khafaa rahaa aalam hayaat kaa na kabhi ek saa rahaa duniyaa mein zindagi kaa tamaashaa banaa rahaa thaa har qadam pe apne azaaem kaa imtihaan har gaam haadsaat kaa mahshar bapaa rahaa phulon ki ahd gul mein tijaarat to khuub ki puchhe koi ki daaman-e-gulchin mein kyaa rahaa baar-e-garaan thaa mere liye arsa-e-hayaat jiine kaa tere gham se bahut hausla rahaa har fikr har amal kaa hai niyyat pe inhisaar shaikh-e-haram bhi banda-e-hirs-o-havaa rahaa duniyaa amal ki raah mein aage nikal gai zaahid to khaanqaah mein mahv-e-duaa rahaa ham laakh muskuraae tabassum ki oT se soz-e-gham-e-hayaat magar jhaanktaa rahaa 'ejaaz' ahl-e-jaur se nafrat rahi unhein har zulm un ki bazm mein lekin ravaa rahaa"
انداز فکر اہل جہاں کا جدا رہا وہ مجھ سے خوش رہے تو زمانہ خفا رہا عالم حیات کا نہ کبھی ایک سا رہا دنیا میں زندگی کا تماشا بنا رہا تھا ہر قدم پہ اپنے عزائم کا امتحاں ہر گام حادثات کا محشر بپا رہا پھولوں کی عہد گل میں تجارت تو خوب کی پوچھے کوئی کہ دامن گلچیں میں کیا رہا بار گراں تھا میرے لئے عرصۂ حیات جینے کا تیرے غم سے بہت حوصلہ رہا ہر فکر ہر عمل کا ہے نیت پہ انحصار شیخ حرم بھی بندۂ حرص و ہوا رہا دنیا عمل کی راہ میں آگے نکل گئی زاہد تو خانقاہ میں محو دعا رہا ہم لاکھ مسکرائے تبسم کی اوٹ سے سوز غم حیات مگر جھانکتا رہا اعجازؔ اہل جور سے نفرت رہی انہیں ہر ظلم ان کی بزم میں لیکن روا رہا
अंदाज़-ए-फ़िक्र अहल-ए-जहाँ का जुदा रहा वो मुझ से ख़ुश रहे तो ज़माना ख़फ़ा रहा आलम हयात का न कभी एक सा रहा दुनिया में ज़िंदगी का तमाशा बना रहा था हर क़दम पे अपने अज़ाएम का इम्तिहाँ हर गाम हादसात का महशर बपा रहा फूलों की अहद गुल में तिजारत तो ख़ूब की पूछे कोई कि दामन-ए-गुलचीं में क्या रहा बार-ए-गराँ था मेरे लिए अरसा-ए-हयात जीने का तेरे ग़म से बहुत हौसला रहा हर फ़िक्र हर अमल का है निय्यत पे इंहिसार शैख़-ए-हरम भी बंदा-ए-हिर्स-ओ-हवा रहा दुनिया अमल की राह में आगे निकल गई ज़ाहिद तो ख़ानक़ाह में महव-ए-दुआ रहा हम लाख मुस्कुराए तबस्सुम की ओट से सोज़-ए-ग़म-ए-हयात मगर झाँकता रहा 'एजाज़' अहल-ए-जौर से नफ़रत रही उन्हें हर ज़ुल्म उन की बज़्म में लेकिन रवा रहा

More by Ghani Ejaz
View all →"khvaahishein apni saraabon mein na rakkhe koi in havaaon ko habaabon mein na rakkhe koi chand lamhon kaa ye jiinaa hai ghanimat jaano zindagi apni azaabon mein na rakkhe koi aaj har fard hai ik hasrat-e-taabir liye ab khayaalaat ko khvaabon mein na rakkhe koi kaam tahqiq ke unvaan pe baDhegaa kaise gar savaalon ko javaabon mein na rakkhe koi ye bhi kyaa zid hai ki kaanTon ko mahakne diije yaani khushbu ko gulaabon mein na rakkhe koi nekiyaan kitni hain 'ejaaz' hisaar-e-dil mein khubiyaan hon to kharaabon mein na rakkhe koi"
"parinda hadd-e-nazar tak jo aasmaan mein hai paron mein zor kahaan hausla uDaan mein hai abhi se bhiig rahaa hai hadaf pasine mein ki tiir chhuTaa nahin hai abhi kamaan mein hai giregi kaun si chhat pe ye kab kise maalum kaTi patang havaaon ke imtihaan mein hai sukun-e-qalb ko mahlon mein DhunDne vaalo sukun-e-qalb faqiron ke khaandaan mein hai kharidnaa hai jo tohfa tumhein mohabbat kaa milegaa dil ke evaz dard ki dukaan mein hai hayaat-o-maut faqat naam ghar badalne kaa sameT rakkhaa hai saamaan saaebaan mein hai"
"junun mein der se khud ko pukaartaa huun main jo gham hai daaman-e-sahraa mein vo sadaa huun main badal gayaa hai zamaana badal gayaa huun main ab apni samt bhi hairat se dekhtaa huun main hayaat ek sazaa hai bhagat rahaa huun main dar-e-qubul se lauTi hui duaa huun main jise khud aap hi apne pe pyaar aa jaae jafaa ke daur mein vo laghzish-e-vafaa huun main jamaal-e-yaar ki raanaaiyaan maaaz-allaah nigaah ban ke nazaaron mein kho gayaa huun main bas ek jumbish-e-lab tak vajud hai jis kaa zabaan-e-shauq pe vo harf-e-muddaaa huun main agar hai jurm mohabbat to phir takalluf kyaa madaar-e-jurm huun taqsir huun khataa huun main rafaaqaton ke ye faanus taa-ba-kai 'ejaaz' havaa ki zad pe laraztaa huaa diyaa huun main"
"bijli ki zad mein ek miraa aashiyaan nahin vo kaun si zamin hai jahaan aasmaan nahin bulbul ko gham hai gul ke nigahbaan nahin rahe gulchin hai khush ki ab koi daaman-kashaan nahin manzil kaa milnaa zauq-e-tajassus ki maut hai achchhaa hai jo hayaat miri kaamraan nahin chashm-e-karam nahin nigah-e-khashmagin to hai naa-mehrbaan to hain vo agar mehrbaan nahin vo apni apni tarz-e-takallum ki baat hai gul mahv-e-guftugu hain go munh mein zabaan nahin"
"bijli giri to soch ke sab taar kaT gae yak-lakht raushni se andhere lipaT gae sahraa-navardiyon mein to mahfuz the magar shahron ke aas-paas hi kheme ulaT gae milne ko chand roz mile the sukun ke din apni umr ke to bahar-haal ghaT gae saae ki phailte hi chale the zamin par suraj ne junhi aankh dikhaai simaT gae anjaam-e-kaar khud hi shikaari the jaal mein 'ejaaz' ahl-e-jaur ke paanse palaT gae"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"