SHAWORDS

apne fan mein yaktaa huun — Arif Hasan Khan

"apne fan mein yaktaa huun main bhi tere jaisaa huun saare jag mein tanhaa huun jab se tujh se bichhDaa huun mujh mein bas tu hi tu hai main teraa aaina huun mujh se ye kaisi duuri main to teraa saaya huun jab se tu ne Thukraayaa galiyon galiyon bhaTkaa huun dil ki banjar dharti mein miThe sapne botaa huun zar vaalon ki basti mein 'aarif' khoTaa sikka huun"
Urdu

اپنے فن میں یکتا ہوں میں بھی تیرے جیسا ہوں سارے جگ میں تنہا ہوں جب سے تجھ سے بچھڑا ہوں مجھ میں بس تو ہی تو ہے میں تیرا آئینہ ہوں مجھ سے یہ کیسی دوری میں تو تیرا سایہ ہوں جب سے تو نے ٹھکرایا گلیوں گلیوں بھٹکا ہوں دل کی بنجر دھرتی میں میٹھے سپنے بوتا ہوں زر والوں کی بستی میں عارفؔ کھوٹا سکہ ہوں

Hindi

अपने फ़न में यकता हूँ मैं भी तेरे जैसा हूँ सारे जग में तन्हा हूँ जब से तुझ से बिछड़ा हूँ मुझ में बस तू ही तू है मैं तेरा आईना हूँ मुझ से ये कैसी दूरी मैं तो तेरा साया हूँ जब से तू ने ठुकराया गलियों गलियों भटका हूँ दिल की बंजर धरती में मीठे सपने बोता हूँ ज़र वालों की बस्ती में 'आरिफ़' खोटा सिक्का हूँ

apne fan meñ yaktā huuñ
Arif Hasan Khan
Arif Hasan Khan
Arif Hasan Khan
poet9 quotes

More by Arif Hasan Khan

View all →
Quote
"nai ghazlein likhun kis ke liye aur giit sajaaun kis ke liye miraa ham-dam mujh se ruuTh gayaa ab naghme gaaun kis ke liye vo paas jo thaa to us ke liye auron se bhi laDnaa paDtaa thaa ab kis ke liye main kis se laDun aur khud ko jalaaun kis ke liye ik us ke tabassum ki khaatir dukh-dard hazaaron sahtaa thaa ab kis ke liye dukh-dard sahun aur ashk bahaaun kis ke liye vo thaa to faqat us ki khaatir auron se bhi milnaa paDtaa thaa ab aise vaise logon ke main naaz uThaaun kis ke liye main us ke liye hi sanvartaa thaa aur khud ko sajaayaa kartaa thaa ab khud ko sanvaarun kis ke liye aur ghar ko sajaaun kis ke liye jab des mein koi apnaa thaa pardes mein kab ji lagtaa thaa ab kis ke liye ghar yaad aae aur des ko jaaun kis ke liye us kaa nahin 'aarif' koi badal aisaa hai vo meraa jaan-e-ghazal ab us ke sivaa kyaa yaad rakhun aur us ko bhulaaun kis ke liye"
Arif Hasan KhanArif Hasan Khan
Quote
"kisi kaa yuun to huaa kaun umr-bhar phir bhi na jaane kyuun thaa yaqin tere pyaar par phir bhi hazaar baar mire dil ko us ne Thukraayaa mujhe hai us se umid-e-vafaa magar phir bhi tumhaare naqsh-e-qadam par gayaa main sar-ba-sujud kisi ke aage jhukaayaa na thaa ye sar phir bhi main us ki chaah mein donon jahaan chhoD chalaa vo bevafaa na miraa ho sakaa magar phir bhi tumhaari bazm se nikle to phir mili na amaan bhaTakte phirte rahe garche dar-ba-dar phir bhi na tu hi tu vo rahaa aur na main hi main vo rahaa hai naqsh naam tiraa mere qalb par phir bhi main apni jaan bhi us par luTaa ke dekh chukaa use aziiz rahaa mujh se maal-o-zar phir bhi main tujh ko chhoD ke sar phoDne kahaan jaaun mire nasib mein hai teraa sang-e-dar phir bhi banaa sake na tire dil mein apnaa ghar 'aarif' luTaa diyaa tiri chaahat mein apnaa ghar phir bhi"
Arif Hasan KhanArif Hasan Khan
Quote
"tu bevafaa hi sahi tujh se pyaar aaj bhi hai tire liye ye dil-o-jaan nisaar aaj bhi hai main jaantaa huun na aaegaa tu palaT ke kabhi magar mujhe to tiraa intizaar aaj bhi hai tu laakh ghair sahi aaj-kal tu thaa meraa dil-o-jigar pe tiraa ikhtiyaar aaj bhi hai tire baghair bhi duniyaa bahut hasin hai magar tire firaaq mein dil be-qaraar aaj bhi hai khushi hai mujh ko tujhe mil gai tiri manzil khushi se aankh miri ashk-baar aaj bhi hai na bhar sakegaa kabhi us ko vaqt kaa marham tire karam se miraa dil figaar aaj bhi hai main tere baagh kaa barg-e-khizaan-rasida huun tu vo kali hai ki jis par bahaar aaj bhi hai bichhaD ke tujh se jiye jaa rahaa hai kyuun 'aarif' jigar mein ye khalish-e-nok-e-khaar aaj bhi hai"
Arif Hasan KhanArif Hasan Khan

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud