SHAWORDS

apni mohabbaton kaa ye achchhaa sila milaa — Qadir Siddiqi

HomeQadir SiddiqiGhazal
"apni mohabbaton kaa ye achchhaa sila milaa jo bhi milaa mujhe vo mujhi se khafaa milaa tujh se bichhaD ke bhi main na tujh se bichhaD sakaa jis raah par gayaa main tiraa naqsh-e-paa milaa ahl-e-karam ki bhiiD se guzri hai zindagi tujh saa magar koi na karam-aashnaa milaa duniyaa jafaa-shiaar rahi hai ye sach sahi ai rah-navard raah-e-vafaa tujh ko kyaa milaa is ko quyud-e-aql ne divaana kar diyaa baahar milaa mujhe to vo achchhaa-bhalaa milaa khushiyaan milin to aankh jhapakne ki der tak gham jo milaa mujhe vo bahut der-paa milaa is mukhtasar hayaat mein kis kis ko roiye har marhala hayaat kaa sabr-aazmaa milaa naadida ik kashish hai nahin jis kaa koi naam dil se nigaah tak ik ajab silsila milaa be-e'tinaaiyon se mili taab-e-zabt-e-gham teri navaazishon se mujhe hausla milaa teraa karam hai teri inaayat hai ai junun main jis ko DhunDhtaa thaa mujhi mein chhupaa milaa 'qaadir' bahut nihaal hai apni shikast par baazi lagaai dil ki to us kaa maza milaa"
Urdu

اپنی محبتوں کا یہ اچھا صلہ ملا جو بھی ملا مجھے وہ مجھی سے خفا ملا تجھ سے بچھڑ کے بھی میں نہ تجھ سے بچھڑ سکا جس راہ پر گیا میں ترا نقش پا ملا اہل کرم کی بھیڑ سے گزری ہے زندگی تجھ سا مگر کوئی نہ کرم آشنا ملا دنیا جفا شعار رہی ہے یہ سچ سہی اے رہ نورد راہ وفا تجھ کو کیا ملا اس کو قیود عقل نے دیوانہ کر دیا باہر ملا مجھے تو وہ اچھا بھلا ملا خوشیاں ملیں تو آنکھ جھپکنے کی دیر تک غم جو ملا مجھے وہ بہت دیر پا ملا اس مختصر حیات میں کس کس کو روئیے ہر مرحلہ حیات کا صبر آزما ملا نادیدہ اک کشش ہے نہیں جس کا کوئی نام دل سے نگاہ تک اک عجب سلسلہ ملا بے اعتنائیوں سے ملی تاب ضبط غم تیری نوازشوں سے مجھے حوصلہ ملا تیرا کرم ہے تیری عنایت ہے اے جنوں میں جس کو ڈھونڈھتا تھا مجھی میں چھپا ملا قادرؔ بہت نہال ہے اپنی شکست پر بازی لگائی دل کی تو اس کا مزہ ملا

Hindi

अपनी मोहब्बतों का ये अच्छा सिला मिला जो भी मिला मुझे वो मुझी से ख़फ़ा मिला तुझ से बिछड़ के भी मैं न तुझ से बिछड़ सका जिस राह पर गया मैं तिरा नक़्श-ए-पा मिला अहल-ए-करम की भीड़ से गुज़री है ज़िंदगी तुझ सा मगर कोई न करम-आश्ना मिला दुनिया जफ़ा-शिआ'र रही है ये सच सही ऐ रह-नवर्द राह-ए-वफ़ा तुझ को क्या मिला इस को क़ुयूद-ए-अक़्ल ने दीवाना कर दिया बाहर मिला मुझे तो वो अच्छा-भला मिला ख़ुशियाँ मिलीं तो आँख झपकने की देर तक ग़म जो मिला मुझे वो बहुत देर-पा मिला इस मुख़्तसर हयात में किस किस को रोइए हर मरहला हयात का सब्र-आज़मा मिला नादीदा इक कशिश है नहीं जिस का कोई नाम दिल से निगाह तक इक अजब सिलसिला मिला बे-ए'तिनाइयों से मिली ताब-ए-ज़ब्त-ए-ग़म तेरी नवाज़िशों से मुझे हौसला मिला तेरा करम है तेरी इनायत है ऐ जुनूँ मैं जिस को ढूँढता था मुझी में छुपा मिला 'क़ादिर' बहुत निहाल है अपनी शिकस्त पर बाज़ी लगाई दिल की तो उस का मज़ा मिला

apnī mohabbatoñ kā ye achchhā sila milā
Qadir Siddiqi
Qadir Siddiqi
Qadir Siddiqi
poet12 quotes

More by Qadir Siddiqi

View all →
Quote
"vaae qismat ki qarib us ne na aanaa chaahaa umr bhar ham ne jise apnaa banaanaa chaahaa kyaa kahein us ko gham-e-duniyaa ne kitnaa gheraa ham ne jis dil ko tire gham se sajaanaa chaahaa kar diyaa aur bhi madhosh zamaane ne use tere divaane ne jab hosh mein aanaa chaahaa ho gai aur sivaa lazzat-e-gham ki taasir jab kabhi ham ne tire gham ko bhulaanaa chaahaa vaqt ke shoalon se mahfuz bhalaa kyaa rahte yuun to daaman ko bahut ham ne bachaanaa chaahaa teri yaadon ke diye jalte rahe jalte rahe aandhiyon ne to kai baar bujhaanaa chaahaa bas isi jurm pe naaraaz hain duniyaa vaale apne khvaabon kaa mahal ham ne banaanaa chaahaa jo uThaa us ko giraane ki to sochi sab ne jo giraa us ko na duniyaa ne uThaanaa chaahaa qasr-o-aivaan kaa giraanaa to koi baat na thi kaaba-e-dil ko bhi kuchh logon ne Dhaanaa chaahaa jab bhi sochaa ki haqiqat na chhupaaein 'qaadir' ham se duniyaa ne nayaa koi bahaanaa chaahaa"
Qadir SiddiqiQadir Siddiqi
Quote
"ham phire shahr mein aavaara-o-rusvaa barson dil ke mandir mein tire vahm ko puujaa barson vo badan chaand ke jaisaa thaa mire aks ke saath din ki raunaq mein bhi ik khvaab saa dekhaa barson qurb ne khol diye husn ke uqde saare zindagi khaati rahi ishq kaa dhokaa barson ab to hansne ki ijaazat gham-e-dauraan de de vaqt ro ro ke bahut ham ne guzaaraa barson koi aisaa na milaa jis se khabar kuchh milti apnaa haal apni hi tasvir se puchhaa barson ab nahin taab ki sadmaat ki yurish jhele talkhiyaan hoti rahin dil ko gavaara barson ye alag baat ki raas aayaa tiraa gham ham ko varna ghere rahaa yuun to gham-e-duniyaa barson us se puchho ki hai kyaa kaif-e-shikast-e-ummid jis ne jhelaa hai gham-e-vaada-e-fardaa barson ek maasum lagaavaT thi ki jis ki khaatir dil ko marghub rahi ranjish-e-bejaa barson tum ki har saans mein har aah mein har khvaab mein the phir bhi ham apne ko paate rahe tanhaa barson aql suljhaa na saki uljhe masaail 'qaadir' aankh ne dekhaa hai qismat kaa tamaasha barson"
Qadir SiddiqiQadir Siddiqi
Quote
"gham-e-gunaah se fikr-e-najaat se uljhe tamaam umr ham afsun-e-zaat se uljhe tavahhumaat se ik jang thi jo jaari rahi sahaab-e-marg na abr-e-hayaat se uljhe nafas nafas pe nigaahein tiri badalti rahin qadam qadam pe nae haadsaat se uljhe tujhe jo maan liyaa ham ne bas vo maan liyaa zabaan sifat pe na kholi na zaat se uljhe kabhi khirad se nipaTnaa paDaa kabhi dil se taghayyuraat se uljhe sabaat se uljhe bahut sataayaa guzishta dinon ki yaadon ne yahi nahin ki nae vaaqiaat se uljhe tazaad laakh rahaa phir bhi zindagi ke liye gham-e-anaa se gham-e-kaaenaat se uljhe ham is zamaane mein kis ko sunaaein kaun sune dil-o-nigaah ki jin vaardaat se uljhe bisaat-e-zist sajaai tiri khushi ke liye na jiit se kabhi uljhe na maat se uljhe hamin ne teri nigaah-e-ghazab ko jhelaa hai hamin tiri nigah-e-iltifaat se uljhe"
Qadir SiddiqiQadir Siddiqi
Quote
"rahe hamesha mukhaatib bas apni zaat se ham rujua hote bhi kyaa husn-e-kaaenaat se ham ab aa gai hai vo saaat ki din ki baat karein Daraa kareinge kahaan tak andheri raat se ham qadam qadam pe to ham ne hai zehn ko gheraa qadam qadam pe bache go tavahhumaat se ham khudaa ke vaaste ab daam-e-aagahi na bichhaa Daraa kiye hain khirad teri baat baat se ham na chhuT paae hain ab tak na chhuT paaeinge dil-o-nigaah ke rangin muaamlaat se ham khulein to kaise khulein raaz-haa-e-aql-o-junun nigaah phere hue hain mushaahidaat se ham hamein yaqin mein bhi ab shak dikhaai detaa hai ghire hue hain kuchh aise hi vaaqiaat se ham zamaana laakh kare koshishein bachaane ki nikal sakeinge na afsun-e-iltifaat se ham hamein Daraaein na ahbaab ab havaadis se bane hue hain haqiqat mein haadsaat se ham zamaana urdu adab ko bhulaa na paaegaa banaa rahe hain vo tasvir apne haath se ham zabaan tak aa nahin paai sadaa-e-dil 'qaadir' bandhe hue hain kuchh aise takallufaat se ham"
Qadir SiddiqiQadir Siddiqi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi