SHAWORDS

arsa-e-har-do-jahaan aalam-e-tanhaai hai — Kaifi Hyderabadi

"arsa-e-har-do-jahaan aalam-e-tanhaai hai ki jidhar dekhiye tu hai tiri yaktaai hai be-niyaazi hai khud-aaraai hai khud-raai hai aap ki jaane balaa kaun tamannaai hai paate hain lutf-e-hayaat-e-abadi tere shahid zabh karnaa tiraa ejaaz-e-masihaai hai tum ko 'kaifi' se taalluq to na hogaa lekin jaan-pahchaan mulaaqaat shanaasaai hai"
Urdu

عرصۂ ہر دو جہاں عالم تنہائی ہے کہ جدھر دیکھیے تو ہے تری یکتائی ہے بے نیازی ہے خود آرائی ہے خود رائی ہے آپ کی جانے بلا کون تمنائی ہے پاتے ہیں لطف حیات ابدی تیرے شہید ذبح کرنا ترا اعجاز مسیحائی ہے تم کو کیفیؔ سے تعلق تو نہ ہوگا لیکن جان پہچان ملاقات شناسائی ہے

Hindi

अर्सा-ए-हर-दो-जहाँ आलम-ए-तन्हाई है कि जिधर देखिए तू है तिरी यकताई है बे-नियाज़ी है ख़ुद-आराई है ख़ुद-राई है आप की जाने बला कौन तमन्नाई है पाते हैं लुत्फ़-ए-हयात-ए-अबदी तेरे शहीद ज़ब्ह करना तिरा एजाज़-ए-मसीहाई है तुम को 'कैफ़ी' से तअल्लुक़ तो न होगा लेकिन जान-पहचान मुलाक़ात शनासाई है

arsa-e-har-do-jahāñ ālam-e-tanhā.ī hai
Kaifi Hyderabadi
Kaifi Hyderabadi
Kaifi Hyderabadi
poet18 quotes

More by Kaifi Hyderabadi

View all →
Quote
"gunjaaish-e-kalaam kahaan khair-o-shar mein hai jab tum bashar mein ho to sabhi kuchh bashar mein hai yuun to zalil-o-khvaar har ik ki nazar mein hai bande ki shaan chashm-e-haqiqat-nigar mein hai gham-khvaar ban gae hain chhiDakte the jo namak kuchh aisi chaashni mire zakhm-e-jigar mein hai arz-o-samaa hai vaqf-e-nigaah-e-umid-o-yaas duniyaa ki unch-nich hamaari nazar mein hai 'kaifi' hai sau barun kaa buraa phir bhi sach kaho aisaa bhi koi shakhs tumhaari nazar mein hai"
Kaifi HyderabadiKaifi Hyderabadi
Quote
"nisaar us par na hone se na tang aayaa na aar aai mire kis kaam aakhir zindagi-e-mustaaar aai yahin dekhaa ki ghalba ek ko hotaa hai laakhon par tabiat ek baar aai nadaamat laakh baar aai tire dil se tire lab tak tiri aankhon se mizhgaan tak mohabbat be-qaraar aai muravvat sharmsaar aai sharaab-e-ishq se karne ko thaa tauba ki yaar aayaa mire aaDe ye neki kab ki ai parvardigaar aai dil-e-mahzun ki aahein mast karti hain mujhe 'kaifi' ki jab li saans main ne mujh ko bu-e-zulf-e-yaar aai"
Kaifi HyderabadiKaifi Hyderabadi
Quote
"vo umangein hain na vo dil hai na ab vo josh hai husn baar-e-chashm hai naghma vabaal-e-gosh hai main kahun to kyaa kahun ab vo kahe to kyaa kahe de ke dil khaamosh huun vo le ke dil khaamosh hai ai vafur-e-shaadmaani ye samajh lene to de kyaa hamin hain jis se vo ham-bazm ham-aaghosh hai is taraf dil par jigar par us taraf rahtaa hai haath apni har karvaT mein ik maashuq ham-aaghosh hai taar is kaa TuTne paae na 'kaifi' hashr tak daaman-e-ashk-e-nadaamat jurm-e-isyaan-posh hai"
Kaifi HyderabadiKaifi Hyderabadi

More on Khudi

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar