SHAWORDS

ashk aankhon mein chhupaa letaa huun main — Surender Shajar

"ashk aankhon mein chhupaa letaa huun main gham chhupaane ke liye hanstaa huun main sharm aati thi kabhi tujh se mujhe zindagi ab khud se sharminda huun main muddaton se aaina dekhaa nahin koi batlaae mujhe kaisaa huun main gham khushi vahshat pareshaani sakun saikDon chehron kaa ik chehra huun main hai mujhi mein ham-nafas meraa koi saans vo letaa hai aur zinda huun main itne khaae hain saraabon se fareb saamne dariyaa hai aur pyaasaa huun main yaad aayaa hai mujhe ik ham-safar jab kabhi is raah se guzraa huun main chaar jaanib ek sannaaTaa sukut ghaaliban basti mein ab tanhaa huun main mujh ko chhune kaa na kar armaan 'shajar' to mujhe mahsus kar kaisaa huun main"
Urdu

اشک آنکھوں میں چھپا لیتا ہوں میں غم چھپانے کے لیے ہنستا ہوں میں شرم آتی تھی کبھی تجھ سے مجھے زندگی اب خود سے شرمندہ ہوں میں مدتوں سے آئینہ دیکھا نہیں کوئی بتلائے مجھے کیسا ہوں میں غم خوشی وحشت پریشانی سکوں سیکڑوں چہروں کا اک چہرہ ہوں میں ہے مجھی میں ہم نفس میرا کوئی سانس وہ لیتا ہے اور زندہ ہوں میں اتنے کھائے ہیں سرابوں سے فریب سامنے دریا ہے اور پیاسا ہوں میں یاد آیا ہے مجھے اک ہم سفر جب کبھی اس راہ سے گزرا ہوں میں چار جانب ایک سناٹا سکوت غالباً بستی میں اب تنہا ہوں میں مجھ کو چھونے کا نہ کر ارماں شجرؔ تو مجھے محسوس کر کیسا ہوں میں

Hindi

अश्क आँखों में छुपा लेता हूँ मैं ग़म छुपाने के लिए हँसता हूँ मैं शर्म आती थी कभी तुझ से मुझे ज़िंदगी अब ख़ुद से शर्मिंदा हूँ मैं मुद्दतों से आईना देखा नहीं कोई बतलाए मुझे कैसा हूँ मैं ग़म ख़ुशी वहशत परेशानी सकूँ सैकड़ों चेहरों का इक चेहरा हूँ मैं है मुझी में हम-नफ़स मेरा कोई साँस वो लेता है और ज़िंदा हूँ मैं इतने खाए हैं सराबों से फ़रेब सामने दरिया है और प्यासा हूँ मैं याद आया है मुझे इक हम-सफ़र जब कभी इस राह से गुज़रा हूँ मैं चार जानिब एक सन्नाटा सुकूत ग़ालिबन बस्ती में अब तन्हा हूँ मैं मुझ को छूने का न कर अरमाँ 'शजर' तो मुझे महसूस कर कैसा हूँ मैं

ashk āñkhoñ meñ chhupā letā huuñ maiñ
Surender Shajar
Surender Shajar
Surender Shajar
poet1 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar