"sadaa deti hai khush-bu chaand taare bol paDte hain nazar jaisi nazar ho to nazaare bol paDte hain tumhaari hi nigaahon ne kahaa hai ham se ye aksar tumhaare jism par to rang saare bol paDte hain mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se agar lahrein mukhaatab hon kinaare bol paDte hain zabaan se baat karne mein jahaan rusvaai hoti hai vahaan khaamosh aankhon ke ishaare bol paDte hain chhupaanaa chaahte hain un se dil kaa haal ham lekin hamaare aansuon mein gham hamaare bol paDte hain tiri paabandiyon se ruk nahin saktin ye fariyaadein agar ham chup rahein to zakhm saare bol paDte hain"
ashkon mein khuun milaa ke baDaa kaam kar gai — Manzar Bhopali
"ashkon mein khuun milaa ke baDaa kaam kar gai aankhon mein teri yaad nayaa rang bhar gai ghar vaapsi pe us ki hansi mein nahaa gayaa din bhar ki jo thakan thi vo pal mein utar gai samjhaute kar rahi hai ujaalon se aaj-kal dekho siyaah raat charaaghon se Dar gai har gosha-e-zamin pe hain urdu ki bastiyaan urdu zabaan aap to kahte the mar gai pahunche the ham bhi dekhne daa've bahaar ke zakhmon ki khetiyaan thiin jahaan tak nazar gai naayaab ho gai hai yahaan pyaar ki miThaas har ik zabaan zahr se nafrat se bhar gai"
اشکوں میں خوں ملا کے بڑا کام کر گئی آنکھوں میں تیری یاد نیا رنگ بھر گئی گھر واپسی پہ اس کی ہنسی میں نہا گیا دن بھر کی جو تھکن تھی وہ پل میں اتر گئی سمجھوتے کر رہی ہے اجالوں سے آج کل دیکھو سیاہ رات چراغوں سے ڈر گئی ہر گوشۂ زمیں پہ ہیں اردو کی بستیاں اردو زبان آپ تو کہتے تھے مر گئی پہنچے تھے ہم بھی دیکھنے دعوے بہار کے زخموں کی کھیتیاں تھیں جہاں تک نظر گئی نایاب ہو گئی ہے یہاں پیار کی مٹھاس ہر اک زبان زہر سے نفرت سے بھر گئی
अश्कों में ख़ूँ मिला के बड़ा काम कर गई आँखों में तेरी याद नया रंग भर गई घर वापसी पे उस की हँसी में नहा गया दिन भर की जो थकन थी वो पल में उतर गई समझौते कर रही है उजालों से आज-कल देखो सियाह रात चराग़ों से डर गई हर गोशा-ए-ज़मीं पे हैं उर्दू की बस्तियाँ उर्दू ज़बान आप तो कहते थे मर गई पहुँचे थे हम भी देखने दा'वे बहार के ज़ख़्मों की खेतियाँ थीं जहाँ तक नज़र गई नायाब हो गई है यहाँ प्यार की मिठास हर इक ज़बान ज़ह्र से नफ़रत से भर गई

More by Manzar Bhopali
View all →"is ko pahli baar khat likkhaa to dil dhaDkaa bahut kyaa javaab aaegaa kaise aaegaa Dar thaa bahut jaan de deinge agar duniyaa ne rokaa raasta aur koi hal na niklaa ham ne to sochaa bahut ab samajh lete hain miThe lafz ki kaDvaahaTein ho gayaa hai zindagi kaa tajraba thoDaa bahut soch lo pahle hamaare haath mein phir haath do ishq vaalon ke liye hain aag ke dariyaa bahut vo thi aangan mein paDosi ke main ghar ki chhat pe thaa duriyon ne aaj bhi donon ko taDpaayaa bahut is se pahle to kabhi ehsaas hotaa hi na thaa tujh se mil kar sochte hain ro liye tanhaa bahut aankh hoti to nazar aa jaate chhaale paanv ke sach ko kyaa dekhegaa apnaa shahr hai andhaa bahut"
"gulshan se khushbuon mein aae hain ham nahaa ke ik phuul ne hamein bhi dekhaa hai muskuraa ke tujh ko ye chhu rahi hai kis be-takallufi se ai kaash ham bhi hote ham-raah is havaa ke yuun hi nahin mili hai is zindagi ko raunaq kuchh gul hain shafqaton ke kuchh rang hain du'aa ke kyaa de sakeinge tum ko ye bebasi ke aansu moti inhein banaa do thoDaa saa muskuraa ke"
"suntaa huun ki meri basti se vo shakhs guzarne vaalaa hai aankhon mein jo rahne vaalaa hai jo dil mein utarne vaalaa hai rahne de ye apni hamdardi ye pyaar kaa mausam rahne de ye ghaav hai teri baaton kaa ye ghaav na bharne vaalaa hai tum daagh chhupaaoge kab tak tum khvaab dikhaaoge kab tak ye mulk kaa ujlaa pairaahan kuchh din mein utarne vaalaa hai daa've to bahut kuchh hain lekin sab ret ke ghar hain larzida aandhi hain balaa ki shiddat hai shiraaza bikharne vaalaa hai ham shauq-e-shahaadat vaale hain ham haq par jaan luTaaeinge vo saath hamaaraa tark kare jo maut se Darne vaalaa hai chalnaa hai to mere saath chalo khincho na mujhe tum apni taraf kab aab-e-ravaan ruk saktaa hai kab vaqt Thaharne vaalaa hai"
"kahaa ye us ne ki mausam suhaane aaeinge kuchh intizaar karo din puraane aaeinge mileingi raah mein phir suratein ghazal jaisi ki chaand aankhon mein phir jagmagaane aaeinge kahaa ye us ne jo ham baat us ki Taal gae khabar na thi ki tumhein bhi bahaane aaeinge kahaa ye main ne ki ai gul-badan chaman mein na jaa ki phuul teri qabaa ko churaane aaeinge hamein sharaf to mile us se ham-kalaami kaa ma'aani khud hi ma'aani bataane aaeinge tumhaare chalne kaa andaaz dekhne ke liye tumhaare pichhe ab agle zamaane aaeinge paron ko tegh banaa kar uDeinge ham jis din havaa ke hosh usi din Thikaane aaeinge hamesha apne hi ahbaab par nazar rakhiye kabhi charaagh kabhi ghar jalaane aaeinge"
"aankh bhar aai kisi se jo mulaaqaat hui khushk mausam thaa magar TuuT ke barsaat hui din bhi Duubaa ki nahin ye mujhe maalum nahin jis jagah bujh gae aankhon ke diye raat hui koi hasrat koi armaan koi khvaahish hi na thi aise aalam mein miri khud se mulaaqaat hui ho gayaa apne paDosi kaa paDosi dushman aadamiyyat bhi yahaan nazr-e-fasaadaat hui isi honi ko to qismat kaa likhaa kahte hain jitne kaa jahaan mauqaa thaa vahin maat hui is tarah guzraa hai bachpan ki khilaune na mile aur javaani mein buDhaape se mulaaqaat hui"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"