"is ko pahli baar khat likkhaa to dil dhaDkaa bahut kyaa javaab aaegaa kaise aaegaa Dar thaa bahut jaan de deinge agar duniyaa ne rokaa raasta aur koi hal na niklaa ham ne to sochaa bahut ab samajh lete hain miThe lafz ki kaDvaahaTein ho gayaa hai zindagi kaa tajraba thoDaa bahut soch lo pahle hamaare haath mein phir haath do ishq vaalon ke liye hain aag ke dariyaa bahut vo thi aangan mein paDosi ke main ghar ki chhat pe thaa duriyon ne aaj bhi donon ko taDpaayaa bahut is se pahle to kabhi ehsaas hotaa hi na thaa tujh se mil kar sochte hain ro liye tanhaa bahut aankh hoti to nazar aa jaate chhaale paanv ke sach ko kyaa dekhegaa apnaa shahr hai andhaa bahut"
aankh bhar aai kisi se jo mulaaqaat hui — Manzar Bhopali
"aankh bhar aai kisi se jo mulaaqaat hui khushk mausam thaa magar TuuT ke barsaat hui din bhi Duubaa ki nahin ye mujhe maalum nahin jis jagah bujh gae aankhon ke diye raat hui koi hasrat koi armaan koi khvaahish hi na thi aise aalam mein miri khud se mulaaqaat hui ho gayaa apne paDosi kaa paDosi dushman aadamiyyat bhi yahaan nazr-e-fasaadaat hui isi honi ko to qismat kaa likhaa kahte hain jitne kaa jahaan mauqaa thaa vahin maat hui is tarah guzraa hai bachpan ki khilaune na mile aur javaani mein buDhaape se mulaaqaat hui"
آنکھ بھر آئی کسی سے جو ملاقات ہوئی خشک موسم تھا مگر ٹوٹ کے برسات ہوئی دن بھی ڈوبا کہ نہیں یہ مجھے معلوم نہیں جس جگہ بجھ گئے آنکھوں کے دئے رات ہوئی کوئی حسرت کوئی ارماں کوئی خواہش ہی نہ تھی ایسے عالم میں مری خود سے ملاقات ہوئی ہو گیا اپنے پڑوسی کا پڑوسی دشمن آدمیت بھی یہاں نذر فسادات ہوئی اسی ہونی کو تو قسمت کا لکھا کہتے ہیں جیتنے کا جہاں موقع تھا وہیں مات ہوئی اس طرح گزرا ہے بچپن کہ کھلونے نہ ملے اور جوانی میں بڑھاپے سے ملاقات ہوئی
आँख भर आई किसी से जो मुलाक़ात हुई ख़ुश्क मौसम था मगर टूट के बरसात हुई दिन भी डूबा कि नहीं ये मुझे मालूम नहीं जिस जगह बुझ गए आँखों के दिए रात हुई कोई हसरत कोई अरमाँ कोई ख़्वाहिश ही न थी ऐसे आलम में मिरी ख़ुद से मुलाक़ात हुई हो गया अपने पड़ोसी का पड़ोसी दुश्मन आदमिय्यत भी यहाँ नज़्र-ए-फ़सादात हुई इसी होनी को तो क़िस्मत का लिखा कहते हैं जीतने का जहाँ मौक़ा था वहीं मात हुई इस तरह गुज़रा है बचपन कि खिलौने न मिले और जवानी में बुढ़ापे से मुलाक़ात हुई

More by Manzar Bhopali
View all →"gulshan se khushbuon mein aae hain ham nahaa ke ik phuul ne hamein bhi dekhaa hai muskuraa ke tujh ko ye chhu rahi hai kis be-takallufi se ai kaash ham bhi hote ham-raah is havaa ke yuun hi nahin mili hai is zindagi ko raunaq kuchh gul hain shafqaton ke kuchh rang hain du'aa ke kyaa de sakeinge tum ko ye bebasi ke aansu moti inhein banaa do thoDaa saa muskuraa ke"
"suntaa huun ki meri basti se vo shakhs guzarne vaalaa hai aankhon mein jo rahne vaalaa hai jo dil mein utarne vaalaa hai rahne de ye apni hamdardi ye pyaar kaa mausam rahne de ye ghaav hai teri baaton kaa ye ghaav na bharne vaalaa hai tum daagh chhupaaoge kab tak tum khvaab dikhaaoge kab tak ye mulk kaa ujlaa pairaahan kuchh din mein utarne vaalaa hai daa've to bahut kuchh hain lekin sab ret ke ghar hain larzida aandhi hain balaa ki shiddat hai shiraaza bikharne vaalaa hai ham shauq-e-shahaadat vaale hain ham haq par jaan luTaaeinge vo saath hamaaraa tark kare jo maut se Darne vaalaa hai chalnaa hai to mere saath chalo khincho na mujhe tum apni taraf kab aab-e-ravaan ruk saktaa hai kab vaqt Thaharne vaalaa hai"
"kahaa ye us ne ki mausam suhaane aaeinge kuchh intizaar karo din puraane aaeinge mileingi raah mein phir suratein ghazal jaisi ki chaand aankhon mein phir jagmagaane aaeinge kahaa ye us ne jo ham baat us ki Taal gae khabar na thi ki tumhein bhi bahaane aaeinge kahaa ye main ne ki ai gul-badan chaman mein na jaa ki phuul teri qabaa ko churaane aaeinge hamein sharaf to mile us se ham-kalaami kaa ma'aani khud hi ma'aani bataane aaeinge tumhaare chalne kaa andaaz dekhne ke liye tumhaare pichhe ab agle zamaane aaeinge paron ko tegh banaa kar uDeinge ham jis din havaa ke hosh usi din Thikaane aaeinge hamesha apne hi ahbaab par nazar rakhiye kabhi charaagh kabhi ghar jalaane aaeinge"
"taaqatein tumhaari hain aur khudaa hamaaraa hai 'aks par na itraao aaina hamaaraa hai aap ki ghulaami kaa bojh ham na Dhoeinge aabru se marne kaa faisla hamaaraa hai 'umr bhar to koi bhi jang laD nahin saktaa tum bhi Tuut jaaoge tajraba hamaaraa hai apni rahnumaai par ab ghurur mat karnaa aap se bahut aage naqsh-e-paa hamaaraa hai"
"sadaa deti hai khush-bu chaand taare bol paDte hain nazar jaisi nazar ho to nazaare bol paDte hain tumhaari hi nigaahon ne kahaa hai ham se ye aksar tumhaare jism par to rang saare bol paDte hain mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se agar lahrein mukhaatab hon kinaare bol paDte hain zabaan se baat karne mein jahaan rusvaai hoti hai vahaan khaamosh aankhon ke ishaare bol paDte hain chhupaanaa chaahte hain un se dil kaa haal ham lekin hamaare aansuon mein gham hamaare bol paDte hain tiri paabandiyon se ruk nahin saktin ye fariyaadein agar ham chup rahein to zakhm saare bol paDte hain"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"