Quote
"kashaakash-e-gham-e-hasti mein koi kyaa suntaa hamin tak aa na saki dil ke TuTne ki sadaa har ek phuul ke chehre pe gard jamne lagi kahin se aaj ai abr-e-bahaar jhuum ke aa chale the jis ke bharose pe rah-ravaan-e-bahaar vo maahtaab sar-e-dasht pichhli shab niklaa kahin sadaa-e-jaras hai na gard-e-raah-e-safar Thahar gayaa hai kahaan qaafila tamannaa kaa hujum-e-laala-o-gul raaste se haT jaae talaash-e-khaar mein niklaa hai koi aabla-paa guzar ke aayaa huun un sakht manzilon se jahaan tumhaari yaad kaa saaya bhi aas-paas na thaa kahin se koi pukaare ki aaj phir 'shaahin' dilon ko Dasne lagaa hai dilon kaa sannaaTaa"
