SHAWORDS

baad-e-sabaa ye zulm khudaa-raa na kijiyo — Hafeez Merathi

HomeHafeez MerathiGhazal
"baad-e-sabaa ye zulm khudaa-raa na kijiyo is bevafaa se zikr hamaaraa na kijiyo gham ki kami nahin hai jahaan-e-kharaab mein ai dil taras taras ke guzaaraa na kijiyo ai saahab-e-uruj tu baam-e-uruj se suraj ke Dubne kaa nazaaraa na kijiyo aisaa na ho ki log hamein pujne lagein itnaa bhi ehtiraam hamaaraa na kijiyo saahil agar nasib bhi ho jaae ai 'hafiz' tufaan se bhuul kar bhi kinaaraa na kijiyo"
Urdu

باد صبا یہ ظلم خدارا نہ کیجیو اس بے وفا سے ذکر ہمارا نہ کیجیو غم کی کمی نہیں ہے جہان خراب میں اے دل ترس ترس کے گزارا نہ کیجیو اے صاحب عروج تو بام عروج سے سورج کے ڈوبنے کا نظارا نہ کیجیو ایسا نہ ہو کہ لوگ ہمیں پوجنے لگیں اتنا بھی احترام ہمارا نہ کیجیو ساحل اگر نصیب بھی ہو جائے اے حفیظؔ طوفاں سے بھول کر بھی کنارا نہ کیجیو

Hindi

बाद-ए-सबा ये ज़ुल्म ख़ुदा-रा न कीजियो इस बेवफ़ा से ज़िक्र हमारा न कीजियो ग़म की कमी नहीं है जहान-ए-ख़राब में ऐ दिल तरस तरस के गुज़ारा न कीजियो ऐ साहब-ए-उरूज तू बाम-ए-उरूज से सूरज के डूबने का नज़ारा न कीजियो ऐसा न हो कि लोग हमें पूजने लगें इतना भी एहतिराम हमारा न कीजियो साहिल अगर नसीब भी हो जाए ऐ 'हफ़ीज़' तूफ़ाँ से भूल कर भी किनारा न कीजियो

bād-e-sabā ye zulm ḳhudā-rā na kījiyo
Hafeez Merathi
Hafeez Merathi
Hafeez Merathi
poet35 quotes

More by Hafeez Merathi

View all →
Quote
"aabaad raheinge viraane shaadaab raheingi zanjirein jab tak divaane zinda hain phuleingi phaleingi zanjirein aazaadi kaa darvaaza bhi khud hi kholeingi zanjirein TukDe TukDe ho jaaeingi jab had se baDheingi zanjirein jab sab ke lab sil jaaeinge haathon se qalam chhin jaaeinge baatil se lohaa lene kaa elaan kareingi zanjirein andhon bahron ki nagri mein yuun kaun tavajjoh kartaa hai maahaul sunegaa dekhegaa jis vaqt bajeingi zanjirein jo zanjiron se baahar hain aazaad unhein bhi mat samjho jab haath kaTeinge zaalim ke us vaqt kaTeingi zanjirein"
Hafeez MerathiHafeez Merathi
Quote
"pi kar chain agar aayaa bhi kitni der ko aaegaa nashsha ik aavaara panchhi chahkegaa uD jaaegaa manzar ki takmil na hogi tanhaa mujh se fankaaro dukh ke giit to main gaa dungaa aansu kaun bahaaegaa ek sakhi ko apnaa samajh kar arz-e-haal ki Thaani hai bairi dil kahtaa hai pagle kaasa bhi chhin jaaegaa meraa samundar-paar safar par jaanaa ek qayaamat hai jaise har chehre pe likhaa ho mere liye kyaa laaegaa jaate jaate puchh rahaa hai amn ke rakhvaalon se 'hafiz' kyuun ji kyaa ham logon se meraTh khaali ho jaaegaa"
Hafeez MerathiHafeez Merathi
Quote
"gudaaz-e-dil se milaa sozish-e-jigar se milaa jo qahqahon mein ganvaayaa thaa chashm-e-tar se milaa taalluqaat ke ai dil hazaar pahlu hain na jaane mujh se vo kis nuqta-e-nazar se milaa kabhi thakan kaa kabhi faaslon kaa ronaa hai safar kaa hausla mujh ko na ham-safar se milaa main dusron ke liye be-qaraar phirtaa huun ajiib dard mujhe mere chaara-gar se milaa har inqalaab ki taarikh ye bataati hai vo manzilon pe na paayaa jo rahguzar se milaa na main ne soz hi paayaa na istaqaamat hi hajar hajar ko TaTolaa shajar shajar se milaa 'hafiz' ho gayaa aakhir ajal se ham-aaghosh tamaam shab kaa sataayaa huaa sahar se milaa"
Hafeez MerathiHafeez Merathi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud