Quote
"pahaaDi raaste par aabju ki aazmaaish hai samundar kis taraf hai justuju ki aazmaaish hai pare divaar-e-jaan ke ek dhoke ke sivaa kiyaa hai mire andar musalsal aarzu ki aazmaaish hai kai lahrein si uThti hain jo lafzon mein nahin Dhaltin in aankhon ke muqaabil guftugu ki aazmaaish hai main apne dil ki khaamoshi tujhe email kartaa huun sunaa hai mai-kade mein haa-o-hu ki aazmaaish hai taayyun samt kaa hotaa nahin aankhein bhaTakti hain qadam kaise uThein jab chaar-su ki aazmaaish hai"
