SHAWORDS

baagh thaa us mein aashiyaan bhi thaa — Mushafi Ghulam Hamdani

"baagh thaa us mein aashiyaan bhi thaa chand roz aab-o-daana yaan bhi thaa saut-e-bulbul jigar mein saalti thi khanda-e-gul namak-fishaan bhi thaa khvaan-e-qismat ke haashiye pe jalein kabhi ye musht-e-ustukhvaan bhi thaa murgh-e-bustaan ko saamne mere 'mushafi' zahra-e-fughaan bhi thaa? anjuman mein miyaan-bashaarat ki yaani ik shakhs sher-khvaan bhi thaa"
Urdu

باغ تھا اس میں آشیاں بھی تھا چند روز آب و دانہ یاں بھی تھا صوت بلبل جگر میں سالتی تھی خندۂ گل نمک فشاں بھی تھا خوان قسمت کے حاشیے پہ جلیں کبھی یہ مشت استخواں بھی تھا مرغ بستاں کو سامنے میرے مصحفیؔ زہرۂ فغاں بھی تھا؟ انجمن میں میاں بشارت کی یعنی اک شخص شعر خواں بھی تھا

Hindi

बाग़ था उस में आशियाँ भी था चंद रोज़ आब-ओ-दाना याँ भी था सौत-ए-बुलबुल जिगर में सालती थी ख़ंदा-ए-गुल नमक-फ़िशाँ भी था ख़्वान-ए-क़िस्मत के हाशिए पे जलें कभी ये मुश्त-ए-उस्तुख़्वाँ भी था मुर्ग़-ए-बुसताँ को सामने मेरे 'मुसहफ़ी' ज़हरा-ए-फ़ुग़ाँ भी था? अंजुमन में मियाँ-बशारत की या'नी इक शख़्स शेर-ख़्वाँ भी था

baaġh thā us meñ āshiyāñ bhī thā
Mushafi Ghulam Hamdani
Mushafi Ghulam Hamdani
Mushafi Ghulam Hamdani
poet836 quotes

More by Mushafi Ghulam Hamdani

View all →
Quote
"narmi-e-baalish-e-par ham ko nahin bhaati hai dam-e-shamshir pe sar rakkhein to niind aati hai kyaa buri khu hai miri bhi ki ba-in daava-e-aql main bhi jaataa huun vahaan jaan jahaan jaati hai naa-qubul itnaa huun murde ko mire baad-az-marg gor mein rakkhein to miTTi bhi nahin khaati hai husn dekhaa hai magar hind ki tasvirein kaa lailaa baazaar mein shakl apni jo badlaati hai na bachegaa koi hargiz jo hai rukh ki ye safaa na jiyegaa koi mutlaq jo ye khush gaati hai khair-sallaa se nasim-e-sahari ghar jaave kar ke zikr-e-rukh-e-gul kyuun mujhe piTvaati hai sitam-baad-e-khizaan se jo koi gul ki kali shaakh par khushk ho rah jaati hai murjhaati hai be-kasi apni kaa aalam mujhe aa jaae hai yaad ki garebaan mein miraa sar yunhi jhukvaati hai 'mushafi' ki koi ummid to bar laa yaa-rab! muddaton se ye tire dar kaa munaajaati hai"
Mushafi Ghulam HamdaniMushafi Ghulam Hamdani
Quote
"munh mein jis ke tu shab-e-vasl zabaan detaa hai subh tak maare maze hi ke vo jaan detaa hai bosa dene ko to kahtaa hai vo mujh se lekin main jo chaahun ki abhi de so kahaan detaa hai naaqa-gar gum na kare raah to khud reg-e-ravaan ustukhvaan reza-e-majnun kaa nishaan detaa hai subh-khezon ko bhi maut aa gai kyaa hijr ki shab murgh bole hai na mullaa hi azaan detaa hai kuchh to jagah hai miri dil mein bhi us ke varna ghairon ko yuun koi pahlu mein makaan detaa hai dil o jaan mujh se vo maange hai bahaa-e-bosa hai to saudaa bahut achchhaa pe giraan detaa hai ye dam-e-sard hai kis kaa ki har ik nakhl-ba-baagh yaad-e-be-bargi-e-ayyaam-e-khizaan detaa hai phuul jhaDte hain munh us ke se hazaaron mujh ko gaaliyaan gar kabhi vo ghuncha-dahaan detaa hai jaan darvaaze par us ke hi main jaa kar dungaa iztiraab-e-dil agar mujh ko amaan detaa hai 'mushafi' main hadaf-e-naaz huun aur vaan ghamza dam-ba-dam dast-e-taghaaful mein kamaan detaa hai"
Mushafi Ghulam HamdaniMushafi Ghulam Hamdani
Quote
"jaane de Tuk chaman mein mujhe ai sabaa sarak kyuun chheDti hai tu mujhe naa-aashnaa sarak jaise andheri raat mein bijli chamak gai us rukh se shab gai jo vo zulf-e-dotaa sarak aasaar-e-marg mujh mein huvaidaa hue magar jab paas se gae mire sab aashnaa sarak kahtaa hai vaqt-e-nazaa mariz us kaa us se yuun lagne de meri aankh tu is dam zaraa sarak mayyat se meri guzre hai jis dam vo baad-e-qatl laasha kahe hai khuun se daaman bachaa sarak poron pe Dore baandhe hain us par shuur ne taa us ke funduqon ki na jaave hinaa sarak shab ikhtilaat se vo mire kyaa khafaa huaa had se gai ziyaada jo angusht-e-paa sarak dhaDke hai be-tarah se ye pahlu mein raat din Dartaa huun zakhm-e-dil ki na jaave davaa sarak karne de mere khuun ko aaraam khaak mein ai shor-e-hashr us ko abhi mat jagaa sarak ye kyaa ghazab huaa ki na khanjar lagaa na tiir pahlu se aaphi aap miraa dil gayaa sarak khvaab-e-adam se main abhi chaunkaa huun duur ho ai subh-e-gham na apnaa mujhe munh dikhaa sarak pichhe mire paDaa hai tu kyuun ghar ki raah le rusvaa kare gaa kyaa mujhe bahr-e-khudaa sarak kyaa be-hayaa hai jo nahin Taltaa tu 'mushafi' sau baar main ne tujh ko divaane kahaa sarak"
Mushafi Ghulam HamdaniMushafi Ghulam Hamdani
Quote
"ne zakhm-e-khun-chakaan huun na halq-e-burida huun aashiq huun main kisi kaa aur aafat-rasida huun hasti se apni mujh ko nahin mutlaq aagahi umr-e-guzishta yaa ki ghazaal-e-ramida huun nikle hai meri vaza se ik shorish-e-junun dariyaa nahin main sail-e-girebaan-darida huun murghaan-e-baagh mein mire naale kaa shor hai har-chand main abhi nafs-e-naa-kashida huun pahunche sazaa ko apni jo munh par mire chaDhe main dast-e-rozgaar mein tegh-e-kashida huun jaataa hai jald qaafila-e-umr kis qadar mohlat nahin hai itni ki Tuk aarmida huun kaun uTh gayaa hai paas se mere jo 'mushafi' rotaa huun zaar zaar paDaa aab-dida huun"
Mushafi Ghulam HamdaniMushafi Ghulam Hamdani
Quote
"dil siine mein betaab hai dildaar kidhar hai koi mujh ko bataa do vo miraa yaar kidhar hai ham kab ke chaman-zaar mein behosh paDe hain maa'lum nahin gul kidhar aur khaar kidhar hai us gul kaa pataa gar nahin dete ho to yaaro itnaa to bataa do dar-e-gulzaar kidhar hai dil chinne vaale koi ghar baiTh rahein hain puchhein hain yahi rasta-e-baazaar kidhar hai dekhaa mujhe kal us ne to ghairon se ye bolaa laao bhi shitaabi miri talvaar kidhar hai yaan ho rahaa hai siina miraa aagu hi chhalni DhunDe hai kahaan tiir ko sofaar kidhar hai ahvaal nipaT tang hai bimaar kaa tere is vaqt tu ai aaina-rukhsaar kidhar hai shirin-sukhanaan sab hi shakar bechein hain lekin insaaf karo josh-e-kharidaar kidhar hai barson na mile us se to us shokh ne ham ko puchhaa na kabhi 'mushafi'-e-zaar kidhar hai"
Mushafi Ghulam HamdaniMushafi Ghulam Hamdani

More on Gul

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kaam liyaa jab lafzon hi se khud ko bas naakaam kiyaa baat asar-andaaz hui jab she'ron ko paighaam kiyaa ye kaise saari duniyaa mein aaj bahut mashhur ho tum vaise to saari duniyaa ne tum ko bahut gumnaam kiyaa yak-rangi se 'aajiz aa kar rangaa-rangi ki khaatir jo mujh ko raas aayaa thaa us nilam ko nilaam kiyaa aksar tanhaai mein mujh ko yaad aa jaataa hai vo sab haan aaghaaz se pahle hi jis ko main ne anjaam kiyaa khaamoshi pas fan hai khudaa kaa sikhaa ham ne bhi lekin har-su roz machaayaa tahalka yaa paidaa kohraam kiyaa vaqt ke saath aur aap ke haathon qadrein kitni badli hain ek ilzaam se kitnaa kam hai haasil jo in'aam kiyaa kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke khuun kaa lams kis ne use gul-rang kiyaa phir kis ne use gulfaam kiyaa ab kaa fasaad aaraam se guzre is koshish mein us ne to qashqa khinchaa dair mein baiThaa kab kaa tark islaam kiyaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar