SHAWORDS

badalne rang sikhlaae jahaan ko — Bayan Meeruthi

HomeBayan MeeruthiGhazal
"badalne rang sikhlaae jahaan ko kahun kyaa surma ko vasma ko paan ko diyaa hai din-o-dil taab-o-tavaan ko nigah ko zulf ko til ko dahaan ko kiyaa phikaa mire rashk-e-chaman ne saman ko yaasman ko arghavaan ko mire khuun ke nishaan hain dho chuke sharm jabin ko aastin ko aasmaan ko khiraam-e-mah-vishaan chakkar mein laae zamaana ko zamin ko aasmaan ko tilism sanat bechun hai dekho kafal ko saaq ko mu-e-miyaan ko lab-e-noshin ne sikhlaai halaavat shakar ko shahd ko qand-e-kalaan ko kiyaa ru-posh sharm-e-ru-e-but ne jinaan ko chashma-e-haivaan ko jaan ko kahaan hain ahl-e-fan laaun kahaan se 'naziri' ko 'zuhuri' ko 'bayaan' ko"
Urdu

بدلنے رنگ سکھلائے جہاں کو کہوں کیا سرمہ کو وسمہ کو پاں کو دیا ہے دین و دل تاب و تواں کو نگہ کو زلف کو تل کو دہاں کو کیا پھیکا مرے رشک چمن نے سمن کو یاسمن کو ارغواں کو مرے خوں کے نشاں ہیں دھو چکے شرم جبیں کو آستیں کو آسماں کو خرام مہوشاں چکر میں لائے زمانہ کو زمیں کو آسماں کو طلسم صنعت بیچوں ہے دیکھو کفل کو ساق کو موئے میاں کو لب نوشیں نے سکھلائی حلاوت شکر کو شہد کو قند کلاں کو کیا روپوش شرم روئے بت نے جناں کو چشمۂ حیواں کو جاں کو کہاں ہیں اہل فن لاؤں کہاں سے نظیریؔ کو ظہوریؔ کو بیاںؔ کو

Hindi

बदलने रंग सिखलाए जहाँ को कहूँ क्या सुर्मा को वसमा को पाँ को दिया है दीन-ओ-दिल ताब-ओ-तवाँ को निगह को ज़ुल्फ़ को तिल को दहाँ को किया फीका मिरे रश्क-ए-चमन ने समन को यासमन को अर्ग़वाँ को मिरे ख़ूँ के निशाँ हैं धो चुके शर्म जबीं को आस्तीं को आसमाँ को ख़िराम-ए-मह-विशाँ चक्कर में लाए ज़माना को ज़मीं को आसमाँ को तिलिस्म सनअ'त बेचूँ है देखो कफ़ल को साक़ को मू-ए-मियाँ को लब-ए-नोशीं ने सिखलाई हलावत शकर को शहद को क़ंद-ए-कलाँ को किया रू-पोश शर्म-ए-रू-ए-बुत ने जिनाँ को चश्मा-ए-हैवाँ को जाँ को कहाँ हैं अहल-ए-फ़न लाऊँ कहाँ से 'नज़ीरी' को 'ज़ुहूरी' को 'बयाँ' को

badalne rañg sikhlā.e jahāñ ko
Bayan Meeruthi
Bayan Meeruthi
Bayan Meeruthi
poet32 quotes

More by Bayan Meeruthi

View all →
Quote
"sar-e-shorida paa-e-dasht-e-paimaa shaam-e-hijraan thaa kabhi ghar thaa bayaabaan mein kabhi ghar mein bayaabaan thaa tire kushte ko mahshar khvaab-e-aasaaish kaa saamaan thaa ki suur afsaana-go thaa zalzala gahvaara-jumbaan thaa jise sab nuuh ke farzand kahte hain ki tufaan thaa kisi jaan-daada-e-khaamosh kaa andoh-e-pinhaan thaa balaa se chuur kar do chuur kar do shisha-e-dil ko isi mein qaid hasrat thi isi mein band armaan thaa na kholi aankh vaqt-e-naza bimaar-e-mohabbat ne kisi kaa parda rakhnaa thaa koi aankhon mein pinhaan thaa akele ai buto ham bhi na soe kunj-e-marqad mein jo is pahlu mein hasrat thi to us pahlu mein armaan thaa gae the raundne dil ko liye baiThe hain talvon ko faro rag rag mein nashtar the nihaan nas nas mein paikaan thaa miri hasti ki mahshar mein koi taabir kyaa kartaa kisi zulf-e-pareshaan kaa main ik khvaab-e-pareshaan thaa qayaamat tak pas-az-murdan rahi ik Tiis si dil mein vo kahte hain ki paikaan thaa main kahtaa huun ki armaan thaa huzur-e-bulbul-e-kilk-e-'bayaan' kis tarah khulte munh ki bu-e-ghuncha saan mahjub nutq-e-har-sukhan vaan thaa"
Bayan MeeruthiBayan Meeruthi
Quote
"subh qayaamat aaegi koi na kah sakaa ki yuun aae vo dar se naa-gahaan khole hue qabaa ki yuun gauhar-e-naab-suda ko zulf mein mat dikhaa ki yuun meri kamand-e-shauq mein raat ke vaqt aa ki yuun kyuun ki jhuke nasim se soche thi nargis-e-chaman dekh ke chashm-e-naaz ko aane lagi hayaa ki yuun chaahte the shuhud mein ghaib kaa rang dekhnaa meri zi-khvesh-e-raftagi ban gai rahnumaa ki yuun sahv thi vaz-e-khaastan bistar-e-aish-e-vasl se dekh ke un ki shokhiyaan fitna huaa bapaa ki yuun dida-e-ahl-e-ishq hai nur-e-nigaah se tahi aae vo farsh-e-naaz par chhoD ke kafsh-e-paa ki yuun main ne kahaa kanaar-e-naaz chaahiye is ghamin se pur sun ke raqib-e-zisht ko paas biThaa liyaa ki yuun shoala-e-rashk-e-ghair se jal ke uThaanaa jaae thaa duur charaagh-e-bazm ne uTh ke bataa diyaa ki yuun khun-e-shahid-e-ishq vo kahte the faash kaise ho rang-e-gul-ezaar se surkh hui havaa ki yuun us kaf-e-paa ke bose ki kab mujhe raah yaad thi badraqa-e-talab hui jurat-e-sang-e-paa ki yuun rizq nahin hai bin talaash kahti thi tangi-e-maaash gardish-e-sang-e-aasiyaa dene lagi sadaa ki yuun us ke khiraam-e-shauq se pis gai khalq kis ravish miT gai baad-e-tund se surat-e-naqsh-e-paa ki yuun sai-e-tariq-e-shauq se fitne ko aagahi nahin us ki jilau mein dauDe se saaya barahna-paa ki yuun shab ko numu-e-rang se khanda-e-gul kaa zikr thaa nashv-o-numaa-e-husn se TukDe hui qabaa ki yuun nargis-e-mahvishaan se puchh gardish-e-aasmaan se puchh surma hue vafaa-sarisht kyaa kahein ai khudaa ki yuun saan-e-gulshan-e-iram main ne kahaa ki haae haae dar pe us anjuman se duur qatl mujhe kiyaa ki yuun main ne kahaa nasim se chaTke hai ghuncha kis tarah kunj-e-dahaan-e-tang se bose ne di sadaa ki yuun rekhta rashk-e-faarsi us se na ho sakaa bayaan mahfil-e-urs-e-'mir' mein she'r mire sunaa ki yuun"
Bayan MeeruthiBayan Meeruthi
Quote
"charaagh-e-husn hai raushan kisi kaa hamaaraa khuun hai roghan kisi kaa abhi naadaan hain mahshar ke fitne rahein thaame hue daaman kisi kaa dil aayaa hai qayaamat hai miraa dil uThe taazim de jauban kisi kaa ye mahshar aur ye mahshar ke fitne kisi ki shokhiyaan bachpan kisi kaa adaaein taa-abad bikhri paDi hain azal mein phaT paDaa jauban kisi kaa kiyaa talvaar ne ghunghaT mire baad na munh dekhegi ye dulhan kisi kaa hamaari khaak mahshar tak uDi hai na haath aayaa magar daaman kisi kaa bajaae gul miri turbat pe hon khaar ki uljhe gosha-e-daaman kisi kaa 'bayaan' barq-e-balaa chitvan kisi ki dil-e-pur-aarzu khirman kisi kaa"
Bayan MeeruthiBayan Meeruthi
Quote
"khuun bahaane ke hain hazaar tariq rang laane ke hain hazaar tariq kaaba-o-dair par nahin mauquf us yagaane ke hain hazaar tariq koi mazhab nahin zamaane kaa is puraane ke hain hazaar tariq uzr-e-masti o mai-parasti kyaa bhuul jaane ke hain hazaar tariq dil-sitaani ke saikDon andaaz dil sataane ke hain hazaar tariq yaad mein khvaab mein tasavvur mein aa ki aane ke hain hazaar tariq dil-lagi dil-dahi dil-aaraami dil lubhaane ke hain hazaar tariq dil mushabbak huaa to farmaayaa aane jaane ke hain hazaar tariq kis tariqe se ho nibaah 'bayaan' ki zamaane ke hain hazaar tariq"
Bayan MeeruthiBayan Meeruthi
Quote
"aaeinge gar unhein ghairat hogi vo na aae to qayaamat hogi hashr mein kaun sunegaa fariyaad sadd-e-rah hadd-e-samaaat hogi nang-e-nazzaara hai ham chashma-e-aam ham na dekheinge jo ruyat hogi yak taraf ho ke raheinge yak-rang ham ko aaraaf se nafrat hogi shikva hai din-e-vafaa mein ehdaas mujh se kaahe ko ye bidat hogi hain qayaamat mein taammul kyaa kyaa vasl ki kaun si saaat hogi reg huun chaahiye dariyaa-e-sharaab mai-kade par na qanaaat hogi hai shab-e-vasl-e-do-aalam gesu vo jabin subh-e-shahaadat hogi bahr-e-rahmat hai do-aalam ko muhit mere mashrab ki si vusat hogi mai se aaluda huaa daaman-e-husn muttahim khuun ki tohmat hogi khinchtaa thaa koi un kaa daaman khaak mein vasl ki hasrat hogi raas hai chaara-e-bil-misl mujhe qaid se aur bhi vahshat hogi shoala-ru paDhte hain kalima teraa shama angusht-e-shahaadat hogi ghair ki aag mein jalne na diyaa husn ki si kise ghairat hogi vaashuda ghuncha-e-khaatir mat maang muntashir bu-e-mohabbat hogi zahr lagti hai unhein meri hayaat kyuun ki manzur-e-shahaadat hogi khaa gae nargis-e-shahlaa kaa fareb ki un aankhon mein muravvat hogi teri zulfon ne chaDhaae chille dil ki is kuche mein turbat hogi ban gae saat jahannum tah-e-khaak kis ke pahlu mein ye hiddat hogi kahin sar phoD ke mar rahiye 'bayaan' ik jahaan se to faraaghat hogi"
Bayan MeeruthiBayan Meeruthi
Quote
"ai junun haath ke chalte hi machal jaaungaa main garebaan se pahle hi nikal jaaungaa vo haTe aankh ke aage se to bas surat-e-aks main bhi us aaina-khaane se nikal jaaungaa mehr tum sokhta main shisha-e-aatish hai raqib us pe Daaloge tajalli to main jal jaaungaa mujh se kahtaa hai miraa dud-e-jigar surat-e-shama dil mein rokoge to main sar se nikal jaaungaa shama-saan barsar-e-mahfil na jalaa dekh mujhe phail jaaungaa sitamgar jo pighal jaaungaa Thahar ai mehr zaraa subh-e-shab-e-vasl hai aaj baam par dhuup chaDhegi to main Dhal jaaungaa roktaa huun kabhi shokhi se to har tifl-e-sarishk ro ke kahtaa hai abhi ghar se nikal jaaungaa kaar-e-imroz ba-fardaa ma-guzaar ai vaaiz aaj is kuche mein huun khuld mein kal jaaungaa kaun uThaaegaa ilaahi shab-e-gham ki uftaad munh ko aataa hai kaleja ki nikal jaaungaa le ke aankhon mein tiraa jalva kahaan jaaegaa ghair ko dekh ke main aankh badal jaaungaa har tarah haath mein hon gosha-e-daaman ki tarah vo sambhaaleinge jo mujh ko to sambhal jaaungaa"
Bayan MeeruthiBayan Meeruthi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud