SHAWORDS

baDe ajiib hain duniyaa ke ye nasheb-o-faraaz — Karan Singh Karan

"baDe ajiib hain duniyaa ke ye nasheb-o-faraaz koi paDhe kahaan jaa kar mohabbaton ki namaaz jahaan mein kuchh nahin miltaa sivaa adaavat ke magar nazar mein nahin hai koi bhi us kaa javaaz tamaam zindagi is justuju mein guzri hai na khul sakaa kisi surat bhi zindagi kaa raaz bas ik nigaah mein vo dil ko chhin lete hain kahaan se laae koi un kaa ye hasin andaaz kisi bhi haal mein guzre ye zindagi apni magar na dast-e-talab ho sakegaa ham se daraaz kisi kaa bhi nahin ab eatibaar duniyaa mein kahein to kis ko kahein ham jahaan mein hamraaz"
Urdu

بڑے عجیب ہیں دنیا کے یہ نشیب و فراز کوئی پڑھے کہاں جا کر محبتوں کی نماز جہاں میں کچھ نہیں ملتا سوا عداوت کے مگر نظر میں نہیں ہے کوئی بھی اس کا جواز تمام زندگی اس جستجو میں گزری ہے نہ کھل سکا کسی صورت بھی زندگی کا راز بس اک نگاہ میں وہ دل کو چھین لیتے ہیں کہاں سے لائے کوئی ان کا یہ حسیں انداز کسی بھی حال میں گزرے یہ زندگی اپنی مگر نہ دست طلب ہو سکے گا ہم سے دراز کسی کا بھی نہیں اب اعتبار دنیا میں کہیں تو کس کو کہیں ہم جہان میں ہم راز

Hindi

बड़े अजीब हैं दुनिया के ये नशेब-ओ-फ़राज़ कोई पढ़े कहाँ जा कर मोहब्बतों की नमाज़ जहाँ में कुछ नहीं मिलता सिवा अदावत के मगर नज़र में नहीं है कोई भी उस का जवाज़ तमाम ज़िंदगी इस जुस्तुजू में गुज़री है न खुल सका किसी सूरत भी ज़िंदगी का राज़ बस इक निगाह में वो दिल को छीन लेते हैं कहाँ से लाए कोई उन का ये हसीं अंदाज़ किसी भी हाल में गुज़रे ये ज़िंदगी अपनी मगर न दस्त-ए-तलब हो सकेगा हम से दराज़ किसी का भी नहीं अब ए'तिबार दुनिया में कहें तो किस को कहें हम जहान में हमराज़

baḌe ajiib haiñ duniyā ke ye nasheb-o-farāz
K
Karan Singh Karan
Karan Singh Karan
poet8 quotes

More by Karan Singh Karan

View all →
Quote
"hasin subh hasin shaam chaahtaa huun main ki zindagi ko khush-anjaam chaahtaa huun main zaraa saa muskuraa ke meri taraf dekh to lo huun tishna baada-e-gulfaam chaahtaa huun main nahin hai shak koi is mein to nek-sirat hai zamaane bhar mein tiraa naam chaahtaa huun main vo jis ke vaaste khaain hain Thokarein kitni usi ko ham-safar har gaam chaahtaa huun main tiraa khayaal ho dil mein labon pe zikr tiraa ki phir se yuun sahar-o-shaam chaahtaa huun main 'karan' ye kaun kahe baDh ke mere saaqi ko ki us ke haathon se ik jaam chaahtaa huun main"
K
Karan Singh Karan
Quote
"dil gham kaa talabgaar hai maalum nahin kyuun raahat se ye bezaar hai maalum nahin kyuun haq ye hai ki ham donon mohabbat mein bandhe hain lekin use inkaar hai maalum nahin kyuun jo mo'atabar thaa ahl-e-zamaana ki nazar mein rusvaa sar-e-baazaar hai maalum nahin kyuun main bhulnaa chaahun bhi bhulaa paaun na un ko kuchh aisaa sarokaar hai maalum nahin kyuun jo bhi ho ghalat baat jhaTak detaa hai aksar is darja vo khuddaar hai maalum nahin kyuun insaan kisi baat pe rahtaa nahin qaaem ye zehn se bimaar hai maalum nahin kyuun khaamosh si rahti hai zabaan us ki baraabar dil maail-e-guftaar hai maalum nahin kyuun qurbat bhi kisi ki nahin hai raas 'karan' ko ye khud se hi bezaar hai maalum nahin kyuun"
K
Karan Singh Karan
Quote
"kisi shai par bhi ikhtiyaar nahin ziist mein kuchh bhi paaedaar nahin ye bhi hai moajiza mohabbat kaa gham kai koi gham-gusaar nahin main ne duniyaa nisaar ki jis par mujh pe us ko hi eatibaar nahin saare matlab ke rishte-naate hain koi rishta bhi ustuvaar nahin har ghaDi be-qaraar rahtaa hai dil ko haasil kabhi qaraar nahin raahaton kaa to zikr hi kyaa hai gham bhi duniyaa mein paaedaar nahin log duniyaa ke khud-gharaz hain 'karan' ye kisi ke bhi gham-gusaar nahin"
K
Karan Singh Karan

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi