Quote
"zindagi kharaab ho gai aur be hisaab ho gai khaar khaar ho gai thi yak-ba-yak gulaab ho gai zulf ki ghaTaa khuli abhi haae mahtaab ho gai dekhte hi kho gayaa use is qadar sharaab ho gai doston ki baat maan li saans bhi azaab ho gai kal talak dabi dabi rahi aaj inqalaab ho gai shaairon ne Taank di chunar shaairi shabaab ho gai"
