SHAWORDS

bahut sahi gham-e-giti sharaab kam kyaa hai — Mirza Ghalib

HomeMirza GhalibGhazal
"bahut sahi gham-e-giti sharaab kam kyaa hai ghulaam-e-saaqi-e-kausar huun mujh ko gham kyaa hai tumhaari tarz-o-ravish jaante hain ham kyaa hai raqib par hai agar lutf to sitam kyaa hai sukhan mein khaama-e-ghaalib ki aatish-afshaani yaqin hai ham ko bhi lekin ab us mein dam kyaa hai kaTe to shab kahein kaaTe to saanp kahlaave koi bataao ki vo zulf-e-kham-ba-kham kyaa hai likhaa kare koi ahkaam-e-taala-e-maulud kise khabar hai ki vaan jumbish-e-qalam kyaa hai na hashr-o-nashr kaa qaail na kesh o millat kaa khudaa ke vaaste aise ki phir qasam kyaa hai vo daad-o-did garaan-maaya shart hai hamdam vagarna mehr-e-sulaimaan-o-jaam-e-jam kyaa hai"
Urdu

بہت سہی غم گیتی شراب کم کیا ہے غلام ساقیٔ کوثر ہوں مجھ کو غم کیا ہے تمہاری طرز و روش جانتے ہیں ہم کیا ہے رقیب پر ہے اگر لطف تو ستم کیا ہے سخن میں خامۂ غالبؔ کی آتش افشانی یقیں ہے ہم کو بھی لیکن اب اس میں دم کیا ہے کٹے تو شب کہیں کاٹے تو سانپ کہلاوے کوئی بتاؤ کہ وہ زلف خم بہ خم کیا ہے لکھا کرے کوئی احکام طالع مولود کسے خبر ہے کہ واں جنبش قلم کیا ہے نہ حشر و نشر کا قائل نہ کیش و ملت کا خدا کے واسطے ایسے کی پھر قسم کیا ہے وہ داد و دید گراں مایہ شرط ہے ہم دم وگرنہ مہر سلیمان و جام جم کیا ہے

Hindi

बहुत सही ग़म-ए-गीती शराब कम क्या है ग़ुलाम-ए-साक़ी-ए-कौसर हूँ मुझ को ग़म क्या है तुम्हारी तर्ज़-ओ-रविश जानते हैं हम क्या है रक़ीब पर है अगर लुत्फ़ तो सितम क्या है सुख़न में ख़ामा-ए-ग़ालिब की आतिश-अफ़्शानी यक़ीं है हम को भी लेकिन अब उस में दम क्या है कटे तो शब कहें काटे तो साँप कहलावे कोई बताओ कि वो ज़ुल्फ़-ए-ख़म-ब-ख़म क्या है लिखा करे कोई अहकाम-ए-ताला-ए-मौलूद किसे ख़बर है कि वाँ जुम्बिश-ए-क़लम क्या है न हश्र-ओ-नश्र का क़ाइल न केश ओ मिल्लत का ख़ुदा के वास्ते ऐसे की फिर क़सम क्या है वो दाद-ओ-दीद गराँ-माया शर्त है हमदम वगर्ना मेहर-ए-सुलेमान-ओ-जाम-ए-जम क्या है

bahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā hai
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib
مرزا غالب
poet1797–1869602 quotes

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.

About Mirza Ghalib

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.

1797–1869

View all quotes by Mirza Ghalib

More by Mirza Ghalib

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"hui taakhir to kuchh baais-e-taakhir bhi thaa aap aate the magar koi inaan-gir bhi thaa tum se bejaa hai mujhe apni tabaahi kaa gila us mein kuchh shaaiba-e-khubi-e-taqdir bhi thaa tu mujhe bhuul gayaa ho to pataa batlaa duun kabhi fitraak mein tere koi nakhchir bhi thaa qaid mein hai tire vahshi ko vahi zulf ki yaad haan kuchh ik ranj-e-giraan-baari-e-zanjir bhi thaa bijli ik kaund gai aankhon ke aage to kyaa baat karte ki main lab-tishna-e-taqrir bhi thaa yusuf us ko kahun aur kuchh na kahe khair hui gar bigaD baiThe to main laaiq-e-taazir bhi thaa dekh kar ghair ko ho kyuun na kalejaa ThanDaa naala kartaa thaa vale taalib-e-taasir bhi thaa peshe mein aib nahin rakhiye na farhaad ko naam ham hi aashufta-saron mein vo javaan-mir bhi thaa ham the marne ko khaDe paas na aayaa na sahi aakhir us shokh ke tarkash mein koi tiir bhi thaa pakDe jaate hain farishton ke likhe par naa-haq aadmi koi hamaaraa dam-e-tahrir bhi thaa rekhte ke tumhin ustaad nahin ho 'ghaalib' kahte hain agle zamaane mein koi 'mir' bhi thaa"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"chaak ki khvaahish agar vahshat ba-uryaani kare subh ke maanind zakhm-e-dil garebaani kare jalve kaa tere vo 'aalam hai ki gar kiije khayaal dida-e-dil ko ziyaarat-gaah-e-hairaani kare hai shikastan se bhi dil naumid yaa-rab kab talak aabgina koh par arz-e-giraan-jaani kare mai-kada gar chashm-e-mast-e-naaz se paave shikast mu-e-shisha dida-e-saaghar ki mizhgaani kare khatt-e-aariz se likhaa hai zulf ko ulfat ne 'ahd yak-qalam manzur hai jo kuchh pareshaani kare haath par gar haath maare yaar vaqt-e-qahqaha kirmak-e-shab-taab-aasaa mah par-afshaani kare vaqt us uftaada kaa khush jo qanaa'at se asad naqsh-paa-e-mor ko takht-e-sulaimaani kare"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"dekh kar dar-parda garm-e-daaman-afshaani mujhe kar gai vaabasta-e-tan meri uryaani mujhe ban gayaa tegh-e-nigaah-e-yaar kaa sang-e-fasaan marhabaa main kyaa mubaarak hai giraan-jaani mujhe kyuun na ho be-iltifaati us ki khaatir jama hai jaantaa hai mahv-e-pursish-haa-e-pinhaani mujhe mere gham-khaane ki qismat jab raqam hone lagi likh diyaa min-jumla-e-asbaab-e-viraani mujhe bad-gumaan hotaa hai vo kaafir na hotaa kaash ke is qadar zauq-e-navaa-e-murgh-e-bustaani mujhe vaae vaan bhi shor-e-mahshar ne na dam lene diyaa le gayaa thaa gor mein zauq-e-tan-aasaani mujhe vaada aane kaa vafaa kiije ye kyaa andaaz hai tum ne kyuun saunpi hai mere ghar ki darbaani mujhe haan nashaat-e-aamad-e-fasl-e-bahaari vaah vaah phir huaa hai taaza saudaa-e-ghazal-khvaani mujhe di mire bhaai ko haq ne az-sar-e-nau zindagi mirzaa yusuf hai 'ghaalib' yusuf-e-saani mujhe"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"hai bazm-e-butaan mein sukhan aazurda-labon se tang aae hain ham aise khushaamad-talabon se hai daur-e-qadah vajh-e-pareshaani-e-sahbaa yak-baar lagaa do khum-e-mai mere labon se rindaan-e-dar-e-mai-kada gustaakh hain zaahid zinhaar na honaa taraf in be-adabon se bedaad-e-vafaa dekh ki jaati rahi aakhir har-chand miri jaan ko thaa rabt labon se kyaa puchhe hai bar-khud ghalati-haa-e-azizaan khvaari ko bhi ik aar hai aaali-nasabon se go tum ko razaa-jui-e-aghyaar hai lekin jaati hai mulaaqaat kab aise sababon se mat puchh 'asad' vaada-e-kam-fursati-e-zist do din bhi jo kaaTe tu qayaamat taabon se"
Mirza GhalibMirza Ghalib

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb