"sab kaa chehra tire jaise kyuun hai ye mujhe vahm saa hotaa kyuun hai jab koi aib nahin hai tujh mein aaina dekh ke Dartaa kyuun hai mashvara ye bhi to hai duniyaa kaa koi achchhaa hai to achchhaa kyuun hai"
baiThe hain ham mataaa-e-mohabbat liye hue — Mauj Rampuri
"baiThe hain ham mataaa-e-mohabbat liye hue pahlu mein tere dard ki daulat liye hue daaman hai taar-taar garebaan hai chaak chaak ham hain junun-e-ishq ki daulat liye hue uThti hai baar baar sar-e-mahfil-e-tarab us shokh ki nigaah sharaarat liye hue barbaad kar ke chhoDegi daftar gunaah ke vo aankh hai jo ashk-e-nadaamat liye hue mujh ko bhalaa nazar se giraaegaa kyaa jahaan main huun tumhaare ishq ki azmat liye hue baiThaa hai 'mauj' bazm mein is kaa bhi kar khayaal pahlu mein tere dard-e-mohabbat liye hue"
بیٹھے ہیں ہم متاع محبت لیے ہوئے پہلو میں تیرے درد کی دولت لیے ہوئے دامن ہے تار تار گریباں ہے چاک چاک ہم ہیں جنون عشق کی دولت لیے ہوئے اٹھتی ہے بار بار سر محفل طرب اس شوخ کی نگاہ شرارت لیے ہوئے برباد کر کے چھوڑے گی دفتر گناہ کے وہ آنکھ ہے جو اشک ندامت لیے ہوئے مجھ کو بھلا نظر سے گرائے گا کیا جہاں میں ہوں تمہارے عشق کی عظمت لیے ہوئے بیٹھا ہے موجؔ بزم میں اس کا بھی کر خیال پہلو میں تیرے درد محبت لیے ہوئے
बैठे हैं हम मताअ'-ए-मोहब्बत लिए हुए पहलू में तेरे दर्द की दौलत लिए हुए दामन है तार-तार गरेबाँ है चाक चाक हम हैं जुनून-ए-इश्क़ की दौलत लिए हुए उठती है बार बार सर-ए-महफ़िल-ए-तरब उस शोख़ की निगाह शरारत लिए हुए बर्बाद कर के छोड़ेगी दफ़्तर गुनाह के वो आँख है जो अश्क-ए-नदामत लिए हुए मुझ को भला नज़र से गिराएगा क्या जहाँ मैं हूँ तुम्हारे इश्क़ की अज़्मत लिए हुए बैठा है 'मौज' बज़्म में इस का भी कर ख़याल पहलू में तेरे दर्द-ए-मोहब्बत लिए हुए

More by Mauj Rampuri
View all →"siyaah shab kaa muqaddar sanvarne vaalaa hai kisi dariche mein ik chaand utarne vaalaa hai andhere jis ki lakirein miTaae dete hain usi hatheli pe suraj ubharne vaalaa hai vahaan se ham ne masaafat ki ibtidaa ki thi jahaan se aaj zamaana guzarne vaalaa hai abhi nigaah kaa tesha nigaah mein rakhnaa pahaaD TuuT chukaa hai bikharne vaalaa hai vo mauj ashkon ki jhilein ye dard ke dariyaa chhalak na jaae vo saaghar jo bharne vaalaa hai"
"chaman mein rah ke gulon par jab ikhtiyaar na ho to vo chaman kabhi sharminda-e-bahaar na ho koi jahaan mein azmat bahaar ki na kare agar hamaaraa garebaan hi taar taar na ho ye bhed khul nahin saktaa hai ahl-e-zaahir par koi junun-e-mohabbat kaa raazdaar na ho abhi to aisi hazaaron shabein guzarni hain asir-e-shaam-e-alam itnaa be-qaraar na ho vahi ki jis ki qayaadat karein ghalat rahbar vo kaarvaan kabhi manzil se ham-kanaar na ho miraa jahaan-e-tamannaa ujaaDne vaale tabaahiyon pe miri dekh sharmsaar na ho vafaa-shiaar vafaa kaa na kar kabhi izhaar agar vafaa kaa zamaane ko e'tibaar na ho na luun panaah junun ki to kyaa karun hamdam kisi tarah bhi mire dil ko jab qaraar na ho gali mein rahne kaa do izn-e-mustaqil mujh ko sukun vo chaah rahaa huun jo mustaaar na ho phir aane vaale havaadis se kaun khelegaa safina daaman-e-saahil se ham-kanaar na ho yahi bahaar agar hai to 'mauj' mumkin hai junun ke haath ko daaman pe ikhtiyaar na ho"
"vafaa ki raushni kam ho rahi hai tabiat maail-e-gham ho rahi hai siyah-bakhti ke saae baDh rahe hain sukun ki zulf barham ho rahi hai ummidein yaas mein Duubi hui hain tamannaa baais-e-gham ho rahi hai vafaa ke naam ko tum bhi miTaa do vafaa tamhid-e-maatam ho rahi hai ye kis andaaz se dekhaa hai tum ne khushi se aankh pur-nam ho rahi hai khalish ki manzilat hai mere dil mein khalish se yaad paiham ho rahi hai bahut se rang badlegaa zamaana abas tanzim-e-aalam ho rahi hai nafas ke taar TuuTe jaa rahe hain ki chashm-e-'mauj' pur-nam ho rahi hai"
"ujaagar ho gae rukh zindagi ke vagarna the iraade khud-kushi ke mile hain un se mauqe dosti ke baDe mamnun hain ham zindagi ke ye maidaan-e-vafaa hi hai vo maidaan jahaan khulte hain jauhar aadmi ke karam ai sukhani-e-raah-e-mohabbat qadam tharraa gae hain zindagi ke qadam chumegi baDh kar kaamyaabi iraade kijiye manzil-rasi ke nigaah-e-naaz ne karvaT jo badli badal kar rah gae rukh zindagi ke rah-e-insaaniyat mein itifaaqan nikal aae hain goshe kajravi ke halaakat thi jahaan ham-rang-e-manzil kuchh aise moD aae zindagi ke ba-zaahir dekhne mein dosti hai dilon mein faisle hain dushmani ke salaamat hain agar meri vafaaein badal jaaeinge pahlu be-rukhi ke tamavvul ki inaayat par na jaanaa ulajh jaate hain daaman be-kasi ke hui hai 'mauj' mushkil zindagaani sile ye paa rahaa huun dosti ke"
"jo vaqt mukhaalif thaa muaafiq niklaa allaah kaa farmaan hi saadiq niklaa vo ghar ke dariche mein khaDaa thaa sar-e-subh main samjhaa falak par koi taariq niklaa iqaan-e-mohabbat kaa karishma dekho meri tarah vo bhi miraa 'aashiq niklaa main ne jo tasavvur mein sajaa rakkhe the chehra unhin rangon ke mutaabiq niklaa is qarya-e-hijrat mein rafiq-o-ansaar ik shakhs thaa so vo bhi munaafiq niklaa koi ise maane ki na maane lekin suraj to hamesha sar-e-mashriq niklaa ham jis ko samajh baiThe the paagal majzub vo shakhs to is 'ahd kaa haaziq niklaa hai is ko faqat apni hi azraa kaa junun ye 'mauj' bhi ai dosto vaamiq niklaa"
More on Ishq
View all →"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"