Quote
"vo adaa-e-dilbari ho ki navaa-e-aashiqaana jo dilon ko fath kar le vahi faateh-e-zamaana kabhi husn ki tabiat na badal sakaa zamaana vahi naaz-e-be-niyaazi vahi shaan-e-khusravaana ye tiraa jamaal-e-kaamil ye shabaab kaa zamaana dil-e-dushmanaan salaamat dil-e-dostaan nishaana ye falak ye maah-o-anjum ye zamin ye zamaana tire husn ki hikaayat mire ishq kaa fasaana ye hai ishq ki karaamat ye kamaal-e-shaairaana abhi munh se baat nikli abhi ho gai fasaana ye miraa payaam kahnaa tu sabaa muaddabaana ki guzar gayaa hai pyaare tujhe dekhe ik zamaana mujhe chaak-e-jeb-o-daaman se nahin munaasibat kuchh ye junun hi ko mubaarak rah-o-rasm-e-aamiyaana tujhe haadsaat-e-paiham se bhi kyaa milegaa naadaan tiraa dil agar ho zinda to nafas bhi taaziyaana main huun us maqaam par ab ki firaaq o vasl kaise miraa ishq bhi kahaani tiraa husn bhi fasaana miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare miri maut ko bhi pyaare koi chaahiye bahaana tire ishq ki karaamat ye agar nahin to kyaa hai kabhi be-adab na guzraa mire paas se zamaana tiri duuri o huzuri kaa ye hai ajiib aalam abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasaana mire ham-safir bulbul miraa teraa saath hi kyaa main zamir-e-dasht-o-dariyaa tu asir-e-aashiyaana main vo saaf hi na kah duun jo hai farq mujh mein tujh mein tiraa dard dard-e-tanhaa miraa gham gham-e-zamaana tire dil ke TuTne par hai kisi ko naaz kyaa kyaa tujhe ai 'jigar' mubaarak ye shikast-e-faatehaana"
