"is darja bebasi hai koi ham-zabaan nahin baiThe hain rah-guzar pe koi saaebaan nahin maazi ki yaad se hai juDi zindagi ki Dor ye hausla hai dil kaa 'azaab-e-nihaan nahin logon kaa haal mere vatan mein 'ajib hai koi hai faaqa-kash to kisi ko amaan nahin zinda hain kis tarah se mire ham-vatan yahaan ummid-e-raushni kaa jahaan par nishaan nahin aal-e-‘abaa ke dar se mili raushni mujhe varna shab-e-siyaah mein is kaa gumaan nahin ik maan ke dam se ziist mein raunaq thi barqaraar ab vo nahin to raunaq-e-bazm-e-jahaan nahin manzil ko paa sakegi bhalaa kyaa hamaari qaum ik muntashir hujum hai ye kaarvaan nahin chhaani hai khaak ham ne bahut ku-e-yaar ki 'jaa'far' is 'aashiqi se kisi ko amaan nahin"
barsaat muflison ki sadaa se raqib hai — Dr. Jafar Askari
"barsaat muflison ki sadaa se raqib hai kachche makaan girne kaa mausam 'ajib hai ik raushni kaa shahr andheron mein kho gayaa is sehn-e-gulsitaan kaa muqaddar gharib hai larzaan hai kyon sadaa-e-khamoshi fazaaon mein kyon shahr mein gharon pe numaayaan salib hai miT jaaegi vatan se jahaalat ki tirgi vo dekh inqalaab kaa suraj qarib hai jis sadma-e-firaaq ne luuTaa hayaat ko vo gham miri jaraahat-e-dil kaa tabib hai aansu umaD rahe hain kaleja hai khun-chakaan shaayad gham-e-husain kaa mausam qarib hai"
برسات مفلسوں کی سدا سے رقیب ہے کچے مکان گرنے کا موسم عجیب ہے اک روشنی کا شہر اندھیروں میں کھو گیا اس صحن گلستاں کا مقدر غریب ہے لرزاں ہے کیوں صدائے خموشی فضاؤں میں کیوں شہر میں گھروں پہ نمایاں صلیب ہے مٹ جائے گی وطن سے جہالت کی تیرگی وہ دیکھ انقلاب کا سورج قریب ہے جس صدمۂ فراق نے لوٹا حیات کو وہ غم مری جراحت دل کا طبیب ہے آنسو امڈ رہے ہیں کلیجہ ہے خونچکاں شاید غم حسین کا موسم قریب ہے
बरसात मुफ़लिसों की सदा से रक़ीब है कच्चे मकान गिरने का मौसम 'अजीब है इक रौशनी का शहर अँधेरों में खो गया इस सेहन-ए-गुलसिताँ का मुक़द्दर ग़रीब है लर्ज़ां है क्यों सदा-ए-ख़मोशी फ़ज़ाओं में क्यों शहर में घरों पे नुमायाँ सलीब है मिट जाएगी वतन से जहालत की तीरगी वो देख इंक़लाब का सूरज क़रीब है जिस सदमा-ए-फ़िराक़ ने लूटा हयात को वो ग़म मिरी जराहत-ए-दिल का तबीब है आँसू उमड रहे हैं कलेजा है ख़ूँ-चकाँ शायद ग़म-ए-हुसैन का मौसम क़रीब है

More by Dr. Jafar Askari
View all →"'aashiqi ik 'azaab hai yaaro dil kaa khaana-kharaab hai yaaro chain aaegaa kyon bhalaa dil ko maah-rukh be-hijaab hai yaaro chhin leti hai aadmi kaa vaqaar muflisi bhi 'azaab hai yaaro dekh kar surkhi-e-lab-e-jaanaan aaina laa-javaab hai yaaro kyon na marne se ji lagaaein ham zindagi gham kaa baab hai yaaro har baras zindagi kaa biitaa huaa dard-e-dil kaa hisaab hai yaaro 'ishq kahte hain us musibat ko dard jis kaa nisaab hai yaaro hijr kaa kyon 'azaab hai dil par husn gar ik saraab hai yaaro baagh-e-hasti mein fikr-e-karb-o-balaa aagahi kaa shabaab hai yaaro is liye bhi 'ajib hai 'jaa'far' us ki duniyaa kitaab hai yaaro"
"aayaa jo teraa zikr jigar chaak ho gayaa main shaam-e-hijr aur bhi ghamnaak ho gayaa vo chashm-e-naaz DhunDhti rahti hai mujh mein kyaa shisha thaa khvaab-e-vasl kaa jo khaak ho gayaa ham khud haris-e-lazzat-e-aazaar ho gae qissa tiri jafaaon kaa sab paak ho gayaa ab 'ishq mein chhupi hui laalach hai dahr ki majnun bhi is zamaane kaa chaalaak ho gayaa mazhab se is ke dil mein na paidaa huaa gudaaz ye aadmi to aur bhi saffaak ho gayaa insaan ne inkisaar ko jab tark kar diyaa apni anaa ki aap hi khuraak ho gayaa be-maslahat thaa pahle bhi 'jaa'far' kalaam mein tere karam se aur bhi bebaak ho gayaa"
"jis adaa se us ne mahfil se uThaayaa hai mujhe qatl karne ke liye shaayad bulaayaa hai mujhe maajraa kyon dosti kaa yaad aayaa hai mujhe ai dil-e-bimaar tu ne kyon jagaayaa hai mujhe aagahi to hai maraz dil kaa bas itni 'arz hai dil ki is taklif ne behad sataayaa hai mujhe niind aati hi nahin thi aagahi ke dard se maut ne aaghosh mein le kar sulaayaa hai mujhe zindagi kyaa hai jahaan mein hijr ki ik raat hai kal shab-e-zulmat ne 'jaa'far' ye bataayaa hai mujhe"
"be-mehri-e-sanam se dil afgaar ho gayaa har lamha zindagi kaa sitamgaar ho gayaa mullaa tiri akaD se ye hone lagaa gumaan jaise khudaa zamin pe numudaar ho gayaa sad-haif chaarasaazi-e-majnun thi be-asar aasaan thaa kaar-e-marg so dushvaar ho gayaa main jab se mubtalaa huun gham-e-rozgaar mein mahbub kaa khayaal bhi aazaar ho gayaa duniyaa to thi azal se asir-e-sanam-kada 'jaa'far' bhi un buton kaa talabgaar ho gayaa"
"zindagi ranj-o-shaadmaani hai ye kahaani bahut puraani hai dard-e-dil phir sahi zaraa dam le koi pal apni zindagaani hai gul-jabin hai hasin-o-mahvash bhi 'aalam-e-khvaab vo javaani hai rang duniyaa badal gayaa lekin dil mein surat vahi puraani hai ye shab-e-gham ye meri tanhaai is rifaaqat kaa kaun saani hai shiddat-e-gham se phaT na jaae dil hijr ki raat jaavedaani hai tark-e-khalvat se kyaa milaa ham ko mahfilon mein bhi raaegaani hai ye mohabbat hai ik qayaamat si ham pe guzri to ham ne maani hai mausam-e-gul hai surat-e-mahshar yunhi ab zindagi bitaani hai main ne nazron se kar diyaa shikva kyaa 'ajab meri be-zabaani hai zindagi kaa safar tamaam huaa aamad-e-marg-e-naa-gahaani hai katba meri lahad pe likhvaanaa zindagi ik charaagh-e-faani hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"