SHAWORDS

bas ik jahaan-e-tahayyur se aane vaalaa hai — Ahmad Shanas

HomeAhmad ShanasGhazal
"bas ik jahaan-e-tahayyur se aane vaalaa hai vo ajnabi mujhe apnaa banaane vaalaa hai gulaab sang ki surat dikhaane vaalaa hai kahaan kahaan vo mujhe aazmaane vaalaa hai koi to dekhne vaalaa hai meri aankhon se koi to hai jo tamaasha dikhaane vaalaa hai ye chaand aur sitaare to ik bahaana hain kuchh aur hai jo yahaan jagmagaane vaalaa hai har ek jism yahaan ruuh ki alaamat hai ye regzaar bhi naghma sunaane vaalaa hai bas ik savaal ki takhliq hai bashar jaise kahaan se aayaa hai kis or jaane vaalaa hai use khabar hai kahaan raushni kaa maakhaz hai vo tirgi mein dilon ko jalaane vaalaa hai amiir us ki amaanat uThaa nahin saktaa faqir asal mein us kaa khazaane vaalaa hai vo ek pyaas kaa lamha jo mere andar hai kabhi kabhi to samundar luTaane vaalaa hai vo khaaksaar ko detaa hai phuul hisse mein vo sang-zaar mein dariyaa bahaane vaalaa hai bahut aziiz hai zer-o-zabar kaa khel use bujhaa bujhaa ke tamannaa jagaane vaalaa hai vo ek gauhar-e-yaktaa hai mere saagar mein vo ek ashk ki aankhon mein aane vaalaa hai samar ko baandh ke rakhtaa hai vo darakhton par jo pak gayaa use niche giraane vaalaa hai vo apne aap hi ghar lauT aaegaa 'ahmad' kisi ko kaun hamesha bulaane vaalaa hai"
Urdu

بس اک جہان تحیر سے آنے والا ہے وہ اجنبی مجھے اپنا بنانے والا ہے گلاب سنگ کی صورت دکھانے والا ہے کہاں کہاں وہ مجھے آزمانے والا ہے کوئی تو دیکھنے والا ہے میری آنکھوں سے کوئی تو ہے جو تماشہ دکھانے والا ہے یہ چاند اور ستارے تو اک بہانہ ہیں کچھ اور ہے جو یہاں جگمگانے والا ہے ہر ایک جسم یہاں روح کی علامت ہے یہ ریگزار بھی نغمہ سنانے والا ہے بس اک سوال کی تخلیق ہے بشر جیسے کہاں سے آیا ہے کس اور جانے والا ہے اسے خبر ہے کہاں روشنی کا ماخذ ہے وہ تیرگی میں دلوں کو جلانے والا ہے امیر اس کی امانت اٹھا نہیں سکتا فقیر اصل میں اس کا خزانے والا ہے وہ ایک پیاس کا لمحہ جو میرے اندر ہے کبھی کبھی تو سمندر لٹانے والا ہے وہ خاکسار کو دیتا ہے پھول حصے میں وہ سنگ زار میں دریا بہانے والا ہے بہت عزیز ہے زیر و زبر کا کھیل اسے بجھا بجھا کے تمنا جگانے والا ہے وہ ایک گوہر یکتا ہے میرے ساگر میں وہ ایک اشک کہ آنکھوں میں آنے والا ہے ثمر کو باندھ کے رکھتا ہے وہ درختوں پر جو پک گیا اسے نیچے گرانے والا ہے وہ اپنے آپ ہی گھر لوٹ آئے گا احمدؔ کسی کو کون ہمیشہ بلانے والا ہے

Hindi

बस इक जहान-ए-तहय्युर से आने वाला है वो अजनबी मुझे अपना बनाने वाला है गुलाब संग की सूरत दिखाने वाला है कहाँ कहाँ वो मुझे आज़माने वाला है कोई तो देखने वाला है मेरी आँखों से कोई तो है जो तमाशा दिखाने वाला है ये चाँद और सितारे तो इक बहाना हैं कुछ और है जो यहाँ जगमगाने वाला है हर एक जिस्म यहाँ रूह की अलामत है ये रेगज़ार भी नग़्मा सुनाने वाला है बस इक सवाल की तख़्लीक़ है बशर जैसे कहाँ से आया है किस ओर जाने वाला है उसे ख़बर है कहाँ रौशनी का माख़ज़ है वो तीरगी में दिलों को जलाने वाला है अमीर उस की अमानत उठा नहीं सकता फ़क़ीर असल में उस का ख़ज़ाने वाला है वो एक प्यास का लम्हा जो मेरे अंदर है कभी कभी तो समुंदर लुटाने वाला है वो ख़ाकसार को देता है फूल हिस्से में वो संग-ज़ार में दरिया बहाने वाला है बहुत अज़ीज़ है ज़ेर-ओ-ज़बर का खेल उसे बुझा बुझा के तमन्ना जगाने वाला है वो एक गौहर-ए-यकता है मेरे सागर में वो एक अश्क कि आँखों में आने वाला है समर को बाँध के रखता है वो दरख़्तों पर जो पक गया उसे नीचे गिराने वाला है वो अपने आप ही घर लौट आएगा 'अहमद' किसी को कौन हमेशा बुलाने वाला है

bas ik jahān-e-tahayyur se aane vaalā hai
Ahmad Shanas
Ahmad Shanas
Ahmad Shanas
poet43 quotes

More by Ahmad Shanas

View all →
Quote
"zamaana ho gayaa hai khvaab dekhe lahu mein dard kaa shab-taab dekhe manaazir ko bahut muddat hui hai nigaahon mein nayaa ik baab dekhe sitaara shaam ko jab aankh khole achaanak chaand ko paayaab dekhe vo chingaari si de qurbat ki mujh ko to phir suraj ki aab-o-taab dekhe kai raatein huiin khiDki mein ghar ki ta'alluq kaa nayaa mahtaab dekhe main lafzon ki nai faslein ugaaun vo sannaaTon ke taaza khvaab dekhe meri aankhon mein saavan rang bhar de mujhe ai kaash vo sairaab dekhe na vo aavaargi kaa shauq 'ahmad' na koi dasht ko betaab dekhe"
Ahmad ShanasAhmad Shanas
Quote
"lamha lamha roz o shab ko der hoti jaaegi ye safar aisaa hai sab ko der hoti jaaegi sabz lamhon ko ugaane kaa hunar bhi sikhnaa varna is rang-e-talab ko der hoti jaaegi is havaa mein aadmi patthar kaa hotaa jaaegaa aur rone ke sabab ko der hoti jaaegi dekhnaa teraa havaala kuchh se kuchh ho jaaegaa dekhnaa sher o adab ko der hoti jaaegi rafta rafta jism ki partein utarti jaaeingi kaaghzi naam o nasab ko der hoti jaaegi aam ho jaaegaa kaaghaz ke gulaabon kaa chalan aur khushbu ke sabab ko der hoti jaaegi saaraa manzar hi badal jaaegaa 'ahmad' dekhnaa mausam-e-rukhsaar-o-lab ko der hoti jaaegi"
Ahmad ShanasAhmad Shanas
Quote
"yahaan har lafz maani se judaa hai haqiqat zindagi se maavaraa hai abhi chehre kaa khaaka ban rahaa hai abhi kuchh aur bhi mere sivaa hai hamein jo kuchh milaa naaqis milaa hai magar khush-fahmiyon ki intihaa hai koi chehra nahin khushbu kaa lekin tamaashaa phuul vaalon kaa lagaa hai main us ki baarishon kaa muntazir huun vo mujh se mere aansu maangtaa hai yahi baais hai meri tishnagi kaa samundar mujh se paani maangtaa hai jahaalat rog thaa jo dil ke andar vahi mazhab hamaaraa ho gayaa hai muqaddas ho gayaa hai jhuuT meraa mujhe to ab usi kaa aasraa hai main pyaasaa huun puraane mausamon kaa magar ab vo zamaana jaa chukaa hai kahaani barg-e-sozaan se ibaarat vagarna bahr-o-bar bhi haashiya hai nahin hai khvaab si tasvir jis ki to phir us khvaab ki taabir kyaa hai gumaan hangaama-aaraai kaa aadi yaqin tanhaaiyon mein boltaa hai ye duniyaa be-khabar logon ki 'ahmad' vo duniyaa kaa nahin jo jaantaa hai"
Ahmad ShanasAhmad Shanas
Quote
"phulon mein ek rang hai aankhon ke niir kaa manzar tamaam-tar hai ye fasl-e-zamir kaa rishta vo kyaa huaa miri aankhon se niir kaa muddat hui hai haadsa dekhe zamir kaa paani utar gayaa to zamin sanglaakh thi tikhaa saa har savaal thaa raanjhe se hiir kaa teri azaan ke saath main uThtaa huun pau phaTe sar mein liye hue koi sajda asiir kaa dekhaa na doston ne imaarat ke us taraf puchhaa kabhi na haal kisi ne faqir kaa aaina gir paDaa thaa mire haath se kabhi phir yaad haadsa nahin koi zamir kaa sahraa-e-jism ruuh ke andar utar gayaa ab kyaa dikhaae mo'jiza insaan zamir kaa aansu ki ek buund ko aankhein taras gaiin is dhuup mein jhulas gayaa dohaa kabir kaa aadhaa falak ke paas thaa aadhaa zamin par main naa-tamaam khvaab thaa badr-e-munir kaa pakke huruf gard ki surat bikhar gae siine mein ghaav rah gayaa kachchi lakir kaa hoti raheingi baarishein 'ahmad' visaal ki khaali rahegaa jaam hamesha faqir kaa"
Ahmad ShanasAhmad Shanas
Quote
"jism ke bayaabaan mein dard ki duaa maangein phir kisi musaafir se raushni zaraa maangein kho gae kitaabon mein titliyon ke baal-o-par soch mein hain ab bachche kyaa chhupaaein kyaa maangein zaafraani kheton mein ab makaan ugte hain kis tarah zaminon se dil kaa raabta maangein ham bhi ho gae shaamil masnui tijaarat mein ham ki chehra-saamaan the ab ke aainaa maangein varna ilm naamon kaa uTh na jaae dharti se aadmi phale-phule aao ye duaa maangein is se peshtar ki ye raat muund le aankhein nanhe-munne jugnu se raushni zaraa maangein vo sadaaein detaa hai aakhiri jazire se aur ham nigaahon kaa husn-e-ibtidaa maangein kis ke saamne rakhiye khol kar razaa apni aur kis se jaadu kaa boltaa diyaa maangein"
Ahmad ShanasAhmad Shanas
Quote
"dasht-e-ummid mein khvaabon kaa safar karnaa thaa tu ki ik lamha-e-naapaid basar karnaa thaa ham ne kyuun aapsi azdaad ke nukte DhunDe? ham ne to khud ko baham shir-o-shakar karnaa thaa naqsh bantaa hi nahin sang-e-samaaat pe koi kund alfaaz ko phir tir-o-tabar karnaa thaa saaat-e-dard ki be-chehra o be-naam rahi qatra-e-ashk ki mahfuz guhar karnaa thaa tishnagi maahi-e-be-aab si likh honTon par varna yuun bosa-e-saaghar se hazar karnaa thaa mujh pe aayat na koi lafz hi utraa 'ahmad' meri mushkil ki bayaan mujh ko safar karnaa thaa"
Ahmad ShanasAhmad Shanas

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil