SHAWORDS

bas yahi soch ke rahtaa huun main zinda is mein — Faizan Hashmi

HomeFaizan HashmiGhazal
"bas yahi soch ke rahtaa huun main zinda is mein ye mohabbat hai koi mar nahin saktaa is mein ye bhi darvaaza hai is ghar mein ise kholein to raat khul jaati hai khultaa nahin kamra is mein phuul to phuul main patti bhi nahin toDungaa tujh se saabit hi na hogaa miraa honaa is mein tu ne do shakhs utaare the ye main jaantaa huun main ne bhi sher kahe hain bahut aalaa is mein aakhiri ishq ke aaghaaz pe dam toDtaa huun main koi dam-damaa-dam-dam nahin kartaa is mein"
Urdu

بس یہی سوچ کے رہتا ہوں میں زندہ اس میں یہ محبت ہے کوئی مر نہیں سکتا اس میں یہ بھی دروازہ ہے اس گھر میں اسے کھولیں تو رات کھل جاتی ہے کھلتا نہیں کمرہ اس میں پھول تو پھول میں پتی بھی نہیں توڑوں گا تجھ سے ثابت ہی نہ ہوگا مرا ہونا اس میں تو نے دو شخص اتارے تھے یہ میں جانتا ہوں میں نے بھی شعر کہے ہیں بہت اعلیٰ اس میں آخری عشق کے آغاز پہ دم توڑتا ہوں میں کوئی دم دما دم دم نہیں کرتا اس میں

Hindi

बस यही सोच के रहता हूँ मैं ज़िंदा इस में ये मोहब्बत है कोई मर नहीं सकता इस में ये भी दरवाज़ा है इस घर में इसे खोलें तो रात खुल जाती है खुलता नहीं कमरा इस में फूल तो फूल मैं पत्ती भी नहीं तोडूँगा तुझ से साबित ही न होगा मिरा होना इस में तू ने दो शख़्स उतारे थे ये मैं जानता हूँ मैं ने भी शेर कहे हैं बहुत आला इस में आख़िरी इश्क़ के आग़ाज़ पे दम तोड़ता हूँ मैं कोई दम-दमा-दम-दम नहीं करता इस में

bas yahī soch ke rahtā huuñ maiñ zinda is meñ
Faizan Hashmi
Faizan Hashmi
Faizan Hashmi
poet18 quotes

More by Faizan Hashmi

View all →
Quote
"saamne hote the pahle jis qadar hote the ham jab ye nazzaare nahin the tab nazar hote the ham tab nayaa miTTi se uTThaa thaa mohabbat kaa khamir har kisi kuuze mein do ik ghunT bhar hote the ham jis pari par mar miTe the vo pari-zaadi na thi baad mein jaanaa ki us ke donon par hote the ham tab kisi divaar se koi taaaruf thaa nahin un dinon ki baat hai jab dar-ba-dar hote the ham saamne aate the jab to DhunDte the kashtiyaan chaar aankhon se bani ik jhiil par hote the ham yuun banaa dete the jaise sher ho jaate hain ab harf-e-kun kaa bhi kabhi dast-e-hunar hote the ham ik ghaDi aisi bhi aati thi mulaaqaaton ke biich tum udhar hote the jis ke aur udhar hote the ham"
Faizan HashmiFaizan Hashmi
Quote
"isi jahaaz ke sahraa mein Duub jaane ki khabar mili thi mujhe khvaab mein khazaane ki bahut se diida o naadida khvaab saamne the ik aisi samt thi karvaT mire sirhaane ki main is jagah pe jo ik din palaT ke aayaa to koi bhi chiiz nahin thi mire zamaane ki har ek kaam suhulat se hotaa rahtaa thaa koi khalish nahin hoti thi kar dikhaane ki main ik khayaal kaa khema lagaae baiThaa thaa bahut jagah thi mire paas sar chhupaane ki vo kyaa khushi thi jo dil mein bahaal rahti thi magar vajh nahin banti thi muskuraane ki ik aise vaqt mein vo donon ho gae aabaad jahaan kisi ko ijaazat nahin thi aane ki 'ajib dasht thaa jo mujh se daad chaahtaa thaa qarib phaile hue duur ke zamaane ki tamaam shahr mein puuri tarah khamoshi thi mujhe paDi thi koi giit gungunaane ki"
Faizan HashmiFaizan Hashmi
Quote
"aankhein bujh jaaeingi sho'la rah jaaegaa yaa'ni jo dekhaa thaa dekhaa rah jaaegaa agli saa'at she'r puuraa kar paaegi yaa ye misra mere jaisaa rah jaaegaa teraa bosa aisaa pyaala hai jis mein se paani piine vaalaa pyaasaa rah jaaegaa donon mein se us pe dil ko ruknaa hogaa lamhon mein se jo ziyaada rah jaaegaa meri aahaT sun le jo tu sun saktaa hai phir ye aanaa jaanaa naghma rah jaaegaa rang aakhir uDte jaaeinge yaadon ke dil mein baaqi hai jo khaaka rah jaaegaa laDkiyaan do uTh na paaeingi leTi to husn apnaa husn chuntaa rah jaaegaa"
Faizan HashmiFaizan Hashmi
Quote
"bahut saa kaam to pahle hi kar liyaa main ne jahaan jahaan mujhe Darnaa thaa Dar liyaa main ne khalaa mein girvi rakkhaa apne saare khvaabon ko aur is zamin pe chhoTaa saa ghar liyaa main ne bahut shadid tavajjoh kaa saamnaa thaa mujhe so ik gilass ko paani se bhar liyaa main ne khudaa jahaaz ke andar se rizq pheinktaa thaa khudaa kaa shukr hai kuchh catch kar liyaa main ne havaa mein haath ghumaayaa ghazal nahin aai uchak ke phuul hi kaaghaz pe dhar liyaa main ne tamaam dost samundar ke paar jaane lage par ek dil ko to saahil pe dhar liyaa main ne"
Faizan HashmiFaizan Hashmi

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri