SHAWORDS

be-chaargi-e-hasrat-e-didaar dekhnaa — Hafeez Hoshiarpuri

"be-chaargi-e-hasrat-e-didaar dekhnaa mushkil na dekhnaa hai to dushvaar dekhnaa lamhaat-e-intizaar ki raftaar dekhnaa vo baar baar saaya-e-divaar dekhnaa yuun dekhnaa ki TuuTe na rishta nigaah kaa ik baar dekhne mein vo sau baar dekhnaa yaa subh hi se shaam kaa pur-kaif intizaar yaa shaam hi se subh ke aasaar dekhnaa kyaa dil-fareb hai tire khvaab-e-giraan kaa husn tujh se nihaan tire lab-o-rukhsaar dekhnaa dard-e-firaaq ki sahar-e-avvalin 'hafiz' uThte hi jaanib-e-dar-o-divaar dekhnaa"
Urdu

بے چارگئ حسرت دیدار دیکھنا مشکل نہ دیکھنا ہے تو دشوار دیکھنا لمحات انتظار کی رفتار دیکھنا وہ بار بار سایۂ دیوار دیکھنا یوں دیکھنا کہ ٹوٹے نہ رشتہ نگاہ کا اک بار دیکھنے میں وہ سو بار دیکھنا یا صبح ہی سے شام کا پر کیف انتظار یا شام ہی سے صبح کے آثار دیکھنا کیا دل فریب ہے ترے خواب گراں کا حسن تجھ سے نہاں ترے لب و رخسار دیکھنا درد فراق کی سحر اولیں حفیظؔ اٹھتے ہی جانب در و دیوار دیکھنا

Hindi

बे-चारगी-ए-हसरत-ए-दीदार देखना मुश्किल न देखना है तो दुश्वार देखना लम्हात-ए-इंतिज़ार की रफ़्तार देखना वो बार बार साया-ए-दीवार देखना यूँ देखना कि टूटे न रिश्ता निगाह का इक बार देखने में वो सौ बार देखना या सुब्ह ही से शाम का पुर-कैफ़ इंतिज़ार या शाम ही से सुब्ह के आसार देखना क्या दिल-फ़रेब है तिरे ख़्वाब-ए-गिराँ का हुस्न तुझ से निहाँ तिरे लब-ओ-रुख़्सार देखना दर्द-ए-फ़िराक़ की सहर-ए-अव्वलीं 'हफ़ीज़' उठते ही जानिब-ए-दर-ओ-दीवार देखना

be-chārgī-e-hasrat-e-dīdār dekhnā
Hafeez Hoshiarpuri
Hafeez Hoshiarpuri
Hafeez Hoshiarpuri
poet43 quotes

More by Hafeez Hoshiarpuri

View all →
Quote
"ab koi aarzu nahin zauq-e-payaam ke sivaa ab koi justuju nahin shauq-e-salaam ke sivaa koi sharik-e-gham nahin ab tiri yaad ke baghair koi anis-e-dil nahin ab tire naam ke sivaa teri nigaah-e-mast se mujh pe ye raaz khul gayaa aur bhi gardishein hain kuchh gardish-e-jaam ke sivaa khvaahish-e-aarzu sahi haasil-e-zindagi magar haasil-e-aarzu hai kyaa soz-e-mudaam ke sivaa aah koi na kar sakaa chaara-e-talkhi-e-firaaq naala-e-subh ke baghair giriya-e-shaam ke sivaa rang-e-bahaar par na bhuul bu-e-chaman se dar-guzar ye bhi hain khush-numaa fareb daana-o-daam ke sivaa mar ke hayaat-e-jaavidaan ishq ko mil gai 'hafiz' ji ke havas ko kyaa milaa marg-e-davaam ke sivaa"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"phir se aaraaish-e-hasti ke jo saamaan honge tere jalvon hi se aabaad shabistaan honge ishq ki manzil-e-avval pe Thaharne vaalo is se aage bhi kai dasht-o-bayaabaan honge tu jahaan jaaegi ghaarat-gar-e-hasti ban kar ham bhi ab saath tire gardish-e-dauraan honge kis qadar sakht hai ye tark-o-talab ki manzil ab kabhi un se mile bhi to pashemaan honge tere jalvon se jo mahrum rahe hain ab tak vahi aakhir tire jalvon ke nigahbaan honge ab to majbur hain par hashr kaa din aane de tujh se insaaf-talab ru-e-gurezaan honge jab kabhi ham ne kiyaa ishq pashemaan hue zindagi hai to abhi aur pashemaan honge koi bhi gham ho gham-e-dil ki gham-e-dahr 'hafiz' ham ba-har-haal ba-har-rang ghazal-khvaan honge"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"na puchh kyuun miri aankhon mein aa gae aansu jo tere dil mein hai us baat par nahin aae vafaa-e-ahd hai ye paa-shikastagi to nahin Thahar gayaa ki mire ham-safar nahin aae na chheD un ko khudaa ke liye ki ahl-e-vafaa bhaTak gae hain to phir raah par nahin aae abhi abhi vo gae hain magar ye aalam hai bahut dinon se vo jaise nazar nahin aae kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtidaa to nahin vo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae ajiib manzil-e-dilkash adam ki manzil hai musaafiraan-e-adam lauT kar nahin aae hafiz kab unhein dekhaa nahin ba-rang-e-digar 'hafiz' kab vo ba-rang-e-digar nahin aae"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"gham-e-aafaaq hai rusvaa gham-e-dil-bar ban ke tohmat-e-ishq lagi ham pe sukhan-var ban ke vo nahin maut sahi maut nahin niind sahi koi aa jaae shab-e-gham kaa muqaddar ban ke raahbar tum ko banaayaa hamein maalum na thaa raah-rau raah bhaTak jaate hain rahbar ban ke is ziyaan-khaane mein ik qatre pe kyaa kyaa guzri kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke maut ki niind ke maaton pe na kyuun rashk aae jaagnaa hai unhein hangaama-e-mahshar ban ke yaad phir aa gaiin bhuli hui baatein kyaa kyaa phir mulaaqaat hui aise muqaddar ban ke aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab mein bhi 'hafiz' baar-haa aankh chhalak jaati hai saaghar ban ke"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri

More on Dil

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer