SHAWORDS

be-intihaa jale hain tujhe DhunDte hue — Junaid Aabir

HomeJunaid AabirGhazal
"be-intihaa jale hain tujhe DhunDte hue ranj-o-alam baDhe hain tujhe DhunDte hue kuchh bhi to teri yaad mein achchhaa nahin rahaa ham dar-ba-dar phire hain tujhe DhunDte hue chashm-e-talaash se bhi tu aage nikal gayaa ham to vahin khaDe hain tujhe DhunDte hue makhsus ik madaar mein rahte the saada-dil baahar nikal paDe hain tujhe DhunDte hue ham ko tiri talaash baDi sakht-jaan hai din raat ro rahe hain tujhe DhunDte hue vo raasta ki jis ki na manzil kaa kuchh pataa us par bhi ham chale hain tujhe DhunDte hue kal shab tire visaal ki ummid bhi gai phir ashk-e-khun bahe hain tujhe DhunDte hue 'aabir' yaqin-e-qalb se ik baargaah mein ham baarhaa jhuke hain tujhe DhunDte hue"
Urdu

بے انتہا جلے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے رنج و الم بڑھے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے کچھ بھی تو تیری یاد میں اچھا نہیں رہا ہم در بہ در پھرے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے چشم تلاش سے بھی تو آگے نکل گیا ہم تو وہیں کھڑے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے مخصوص اک مدار میں رہتے تھے سادہ دل باہر نکل پڑے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے ہم کو تری تلاش بڑی سخت جان ہے دن رات رو رہے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے وہ راستہ کہ جس کی نہ منزل کا کچھ پتا اس پر بھی ہم چلے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے کل شب ترے وصال کی امید بھی گئی پھر اشک خوں بہے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے عابرؔ یقین قلب سے اک بارگاہ میں ہم بارہا جھکے ہیں تجھے ڈھونڈتے ہوئے

Hindi

बे-इंतिहा जले हैं तुझे ढूँडते हुए रंज-ओ-अलम बढ़े हैं तुझे ढूँडते हुए कुछ भी तो तेरी याद में अच्छा नहीं रहा हम दर-ब-दर फिरे हैं तुझे ढूँडते हुए चश्म-ए-तलाश से भी तू आगे निकल गया हम तो वहीं खड़े हैं तुझे ढूँडते हुए मख़्सूस इक मदार में रहते थे सादा-दिल बाहर निकल पड़े हैं तुझे ढूँडते हुए हम को तिरी तलाश बड़ी सख़्त-जान है दिन रात रो रहे हैं तुझे ढूँडते हुए वो रास्ता कि जिस की न मंज़िल का कुछ पता उस पर भी हम चले हैं तुझे ढूँडते हुए कल शब तिरे विसाल की उम्मीद भी गई फिर अश्क-ए-ख़ूँ बहे हैं तुझे ढूँडते हुए 'आबिर' यक़ीन-ए-क़ल्ब से इक बारगाह में हम बारहा झुके हैं तुझे ढूँडते हुए

be-intihā jale haiñ tujhe DhūñDte hue
Junaid Aabir
Junaid Aabir
Junaid Aabir
poet11 quotes

More by Junaid Aabir

View all →
Quote
"us ne bolaa miraa guzaara naiin main ne jaane diyaa pukaaraa naiin us ne is tarh se kiyaa barbaad main ne khud ko kabhi sanvaaraa naiin phir to kuchh bhi nahin hamaaraa yaar vo bhi sach mein agar hamaaraa naiin aise jhaTkaa hai us ne haath miraa jaise milnaa kabhi dubaara naiin us se duuri baDhaa rahaa huun magar us ko dil se abhi utaaraa naiin main to haazir thaa jaan dene ko lekin us ne mujhe pukaaraa naiin girnaa bantaa hai ab 'junaid' miraa ab kisi kaa mujhe sahaaraa naiin"
Junaid AabirJunaid Aabir
Quote
"raah thi dushvaar ham jab bhi chale itnaa aage tak gae chhaale paDe she'r main kahtaa hi rahtaa huun magar 'umda vo hotaa hai jis mein tu dikhe ruk gayaa thaa main tiri aavaaz par dekh mujh se yuun na kar shikve gile itni khvaahish hi bahut hai yaar sun bhiik ulfat ki kabhi to de mujhe sirf bosa hi nahin darkaar ab yaar khvaahish hai gale tu aa lage ye tamanna hai mujhe ik 'umr se haath thaame saath phir vo chal paDe mahfilein sajti hain us ke naam par aur ye bas yuun ki meraa dil dukhe ye khushi ki intihaa ho jaaegi qurb teraa gar kisi ko aa mile main ki 'aabir' sah gayaa ranj-o-alam rang phir kyon mere chehre ke uDe"
Junaid AabirJunaid Aabir

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar