Quote
"main to fidaa-e-nargis-e-mastaana ho gayaa paimaana se dil ab miraa mai-khaana ho gayaa har rang mein mujhe hai mae mushk-bu kaa rang jo zarf haath aa gayaa paimaana ho gayaa kuchh makhmasaat-e-dahr the divaangi se kam achchhaa huaa ki ishq mein divaana ho gayaa dil chaahiye gudaaz nahin zor-o-zar se kaam apni misaal ishq mein parvaana ho gayaa hotaa na baagh-e-dil kabhi shaahaan-e-iltifaat achchhaa huaa bahaar mein viraana ho gayaa daanaai zer-e-daam hai ai murgh-e-dil abas maanaa ki daana khaa ke tu ab daanaa ho gayaa 'bekhud' to naa-rasaai zulf-e-butaan na puchh qismat pe meri khanda-zan ab shaana ho gayaa"
