Quote
"baarish hai tanhaai hai yaad tumhaari aai hai yaad tujhe kyon karte karte aankh miri bhar aai hai tark-e-ta'alluq kaise kar luun is mein to rusvaai hai mujh ko vafaa na karni aai tu bhi to harjaai hai koyal jaisi teri boli khushiyon ki shahnaai hai siine mein jo dhaDak rahaa hai dil teraa shaidaai hai mere marne par khushiyon ki mahfil khuub sajaai hai 'ishq mein meri qismat mujh ko maut ke dar par laai hai atom bam bhi ban saktaa hai ik zarra jo raai hai pyaar kaa hai jo munkir 'saaghar' paagal hai saudaai hai"
