Quote
"zer-e-paa jaada-e-gumaan rakkhaa meri manzil ko be-nishaan rakkhaa us ne qurbat ki intihaa mein bhi ek parda saa darmiyaan rakkhaa chaahiye thaa qadam kahaan rakhnaa aur ham ne qadam kahaan rakkhaa khud rukaa huun jagah jagah lekin zindagi ko ravaan-davaan rakkhaa us ne kyaa kaarobaar-e-'ishq kiyaa jis ne madd-e-nazar ziyaan rakkhaa gul khile hain vahaan vahaan 'aasim' paanv us ne jahaan-jahaan rakkhaa"
