"husn har rang mein makhsus kashish rakhtaa hai vo tabassum ki adaa ho ki sitam-koshi ho zindagi kaif-e-musalsal mein guzar jaati hai chashm-e-makhmur ki masti ho ki mai-noshi ho tere aane ki masarrat se sahar ho raushan aur raaton ki tire gham mein siyah-poshi ho jaazbiyyat to ba-har-haal huaa karti hai husn ki bu-qalamuni ho ki khush-poshi ho koi aalam ho najaat-e-gham-e-dauraan ke liye maut ho niind ho be-hoshi ho shukr 'anvaar' jafaaon pe na kyunkar kijiye kyunki shikva ho to ehsaan-fraamoshi ho"
bhulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barson — Anwarul Hasan Anwar
"bhulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barson dil-e-viraan ko yuun aabaad kiyaa hai barson saath jo de na sakaa raah-e-vafaa mein apnaa be-iraada bhi use yaad kiyaa hai barson gham jahaan mein vo rafiq-e-abadi hai apnaa jis ne har haal mein dil shaad kiyaa hai barson bhuul saktaa huun bhalaa gardish-e-dauraan tujh ko roz tu ne sitam ijaad kiyaa hai barson kab giraftaar-e-kham-e-gham-e-hijraan na rahaa kab tire dard ne aazaar kiyaa hai barson ab bhi 'anvaar' pashemaani-e-khaatir ho na kyuun umr-e-rafta tujhe barbaad kiyaa hai barson"
بھولنے والے تجھے یاد کیا ہے برسوں دل ویراں کو یوں آباد کیا ہے برسوں ساتھ جو دے نہ سکا راہ وفا میں اپنا بے ارادہ بھی اسے یاد کیا ہے برسوں غم جہاں میں وہ رفیق ابدی ہے اپنا جس نے ہر حال میں دل شاد کیا ہے برسوں بھول سکتا ہوں بھلا گردش دوراں تجھ کو روز تو نے ستم ایجاد کیا ہے برسوں کب گرفتار خم گیسوے ہجراں نہ رہا کب ترے درد نے آزار کیا ہے برسوں اب بھی انوارؔ پشیمانیٔ خاطر ہو نہ کیوں عمر رفتہ تجھے برباد کیا ہے برسوں
भूलने वाले तुझे याद किया है बरसों दिल-ए-वीराँ को यूँ आबाद किया है बरसों साथ जो दे न सका राह-ए-वफ़ा में अपना बे-इरादा भी उसे याद किया है बरसों ग़म जहाँ में वो रफ़ीक़-ए-अबदी है अपना जिस ने हर हाल में दिल शाद किया है बरसों भूल सकता हूँ भला गर्दिश-ए-दौराँ तुझ को रोज़ तू ने सितम ईजाद किया है बरसों कब गिरफ़्तार-ए-ख़म-ए-गेसू-ए-हिज्राँ न रहा कब तिरे दर्द ने आज़ार किया है बरसों अब भी 'अनवार' पशेमानी-ए-ख़ातिर हो न क्यूँ उम्र-ए-रफ़्ता तुझे बर्बाद किया है बरसों
More by Anwarul Hasan Anwar
View all →"sukun-e-dil na mayassar huaa zamaane mein na yaad rakhne mein tum ko na bhuul jaane mein hamesha vusat-e-aflaak mein rahaa hai gham kahaan qayaam hai shaahin kaa aashiyaane mein uruj-e-tirgi-e-shab se ho sahar paidaa yahi nizaam hai duniyaa ke kaar-khaane mein shafaq ke khuun ki surkhi bhi ho gai shaamil sahar-ba-dosh sitaaron ke jhilmilaane mein abhi bahaar kaa kuchh aur intizaar karo ki thoDi der hai kaliyon ke muskuraane mein ye vo mataa-e-giraan hai jo mil nahin sakti sukun-e-dil ki tamannaa na kar zamaane mein kabhi qaraar dil-e-be-qaraar ko bhi mile ilaahi kaun kami hai tire khazaane mein kisi se kuchh bhi shikaayat karun to kyaa haasil milaa na koi vafaa-aashnaa zamaane mein gulon ki bazm hi ranginiyaan ba-dosh nahin har ek naqsh hasin hai nigaar-khaane mein mein raundtaa huaa kaanTon ko yuun guzartaa huun ki rah-ravon ko suhulat ho aane jaane mein vo ek tum ho ki tum ko kisi ne kuchh na kahaa vo ek ham hain ki rusvaa hue zamaane mein tire khayaal se aati nahin jo lab pe mire vahi to kaam ki ik baat thi fasaane mein vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane musibaton se jo ghabraa gayaa zamaane mein kuchh andalib kaa khuun jigar bhi hai shaamil gulon ki bazm ki ranginiyaan baDhaane mein hamin to lazzat-e-aazaar ke nahin khugar unhein bhi lutf saa aataa hai kuchh sataane mein qusur un ki nigaahon ki shokhiyon kaa bhi hai hamaari jurat-e-shauq-o-talab baDhaane mein rahegaa muddaton charchaa miraa zabaanon par kisi ki bazm se 'anvaar' uTh ke jaane mein"
"ab tire hijr mein yuun umr basar hoti hai shaam hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai kyuun sar-e-shaam umidon ke diye bujhne lage kitni viraan tiri raahguzar hoti hai be-khayaali mein bhi phir un kaa khayaal aataa hai vahi tasvir mire pesh-e-nazar hoti hai ye avadh hai ki jahaan shaam kabhi khatm nahin vo banaras hai jahaan roz sahar hoti hai apne barbaad nasheman ko bhulaa detaa huun jab sulagte hue gulshan pe nazar hoti hai barq girti hai to khirman ko jalaa jaati hai kab use mehnat-e-dahqaan ki khabar hoti hai haae phulon ke muqaddar pe bhi dil rotaa hai zindagi un ki bhi kaanTon mein basar hoti hai aariz-e-ghuncha-o-gul aur dahak uThte hain ashk-e-shabnam mein bhi taasir-e-sharar hoti hai main vo mahrum-e-mohabbat huun ki 'anvaar' miri jo duaa hai vahi mahrum-e-asar hoti hai"
"aayaa na aab-e-rafta kabhi juebaar mein kaise qaraar aae dil-e-be-qaraar mein hangaam-e-subh-e-id mein bhi vo mazaa kahaan jo lutf mil gayaa hai shab-e-intizaar mein bijli giri thi kab ye kisi ko khabar nahin ab tak chaman mein aag lagi hai bahaar mein jab tak bikhar na jaae tiri zulf-e-ambarin nikhat kahaan se aae nasim-e-bahaar mein fursat mili hai dil ko nasheman ki fikr se phir barq kundne lagi har shaakh-saar mein phir kis ki yaad aai ki 'anvaar' aaj-kal moti piro rahaa huun garebaan ke haar mein"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"