SHAWORDS

husn har rang mein makhsus kashish rakhtaa hai — Anwarul Hasan Anwar

"husn har rang mein makhsus kashish rakhtaa hai vo tabassum ki adaa ho ki sitam-koshi ho zindagi kaif-e-musalsal mein guzar jaati hai chashm-e-makhmur ki masti ho ki mai-noshi ho tere aane ki masarrat se sahar ho raushan aur raaton ki tire gham mein siyah-poshi ho jaazbiyyat to ba-har-haal huaa karti hai husn ki bu-qalamuni ho ki khush-poshi ho koi aalam ho najaat-e-gham-e-dauraan ke liye maut ho niind ho be-hoshi ho shukr 'anvaar' jafaaon pe na kyunkar kijiye kyunki shikva ho to ehsaan-fraamoshi ho"
Urdu

حسن ہر رنگ میں مخصوص کشش رکھتا ہے وہ تبسم کی ادا ہو کہ ستم کوشی ہو زندگی کیف مسلسل میں گزر جاتی ہے چشم مخمور کی مستی ہو کہ مے نوشی ہو تیرے آنے کی مسرت سے سحر ہو روشن اور راتوں کی ترے غم میں سیہ پوشی ہو جاذبیت تو بہ ہر حال ہوا کرتی ہے حسن کی بو قلمونی ہو کہ خوش پوشی ہو کوئی عالم ہو نجات غم دوراں کے لئے موت ہو نیند ہو بے ہوشی ہو شکر انوارؔ جفاؤں پہ نہ کیوں کر کیجیے کیونکہ شکوہ ہو تو احسان فراموشی ہو

Hindi

हुस्न हर रंग में मख़्सूस कशिश रखता है वो तबस्सुम की अदा हो कि सितम-कोशी हो ज़िंदगी कैफ़-ए-मुसलसल में गुज़र जाती है चश्म-ए-मख़मूर की मस्ती हो कि मय-नोशी हो तेरे आने की मसर्रत से सहर हो रौशन और रातों की तिरे ग़म में सियह-पोशी हो जाज़बिय्यत तो ब-हर-हाल हुआ करती है हुस्न की बू-क़लामूनी हो कि ख़ुश-पोशी हो कोई आलम हो नजात-ए-ग़म-ए-दौराँ के लिए मौत हो नींद हो बे-होशी हो शुक्र 'अनवार' जफ़ाओं पे न क्यूँकर कीजिए क्यूँकि शिकवा हो तो एहसान-फ़रामोशी हो

husn har rañg meñ maḳhsūs kashish rakhtā hai
A
Anwarul Hasan Anwar
Anwarul Hasan Anwar
poet14 quotes

More by Anwarul Hasan Anwar

View all →
Quote
"sukun-e-dil na mayassar huaa zamaane mein na yaad rakhne mein tum ko na bhuul jaane mein hamesha vusat-e-aflaak mein rahaa hai gham kahaan qayaam hai shaahin kaa aashiyaane mein uruj-e-tirgi-e-shab se ho sahar paidaa yahi nizaam hai duniyaa ke kaar-khaane mein shafaq ke khuun ki surkhi bhi ho gai shaamil sahar-ba-dosh sitaaron ke jhilmilaane mein abhi bahaar kaa kuchh aur intizaar karo ki thoDi der hai kaliyon ke muskuraane mein ye vo mataa-e-giraan hai jo mil nahin sakti sukun-e-dil ki tamannaa na kar zamaane mein kabhi qaraar dil-e-be-qaraar ko bhi mile ilaahi kaun kami hai tire khazaane mein kisi se kuchh bhi shikaayat karun to kyaa haasil milaa na koi vafaa-aashnaa zamaane mein gulon ki bazm hi ranginiyaan ba-dosh nahin har ek naqsh hasin hai nigaar-khaane mein mein raundtaa huaa kaanTon ko yuun guzartaa huun ki rah-ravon ko suhulat ho aane jaane mein vo ek tum ho ki tum ko kisi ne kuchh na kahaa vo ek ham hain ki rusvaa hue zamaane mein tire khayaal se aati nahin jo lab pe mire vahi to kaam ki ik baat thi fasaane mein vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane musibaton se jo ghabraa gayaa zamaane mein kuchh andalib kaa khuun jigar bhi hai shaamil gulon ki bazm ki ranginiyaan baDhaane mein hamin to lazzat-e-aazaar ke nahin khugar unhein bhi lutf saa aataa hai kuchh sataane mein qusur un ki nigaahon ki shokhiyon kaa bhi hai hamaari jurat-e-shauq-o-talab baDhaane mein rahegaa muddaton charchaa miraa zabaanon par kisi ki bazm se 'anvaar' uTh ke jaane mein"
A
Anwarul Hasan Anwar
Quote
"ab tire hijr mein yuun umr basar hoti hai shaam hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai kyuun sar-e-shaam umidon ke diye bujhne lage kitni viraan tiri raahguzar hoti hai be-khayaali mein bhi phir un kaa khayaal aataa hai vahi tasvir mire pesh-e-nazar hoti hai ye avadh hai ki jahaan shaam kabhi khatm nahin vo banaras hai jahaan roz sahar hoti hai apne barbaad nasheman ko bhulaa detaa huun jab sulagte hue gulshan pe nazar hoti hai barq girti hai to khirman ko jalaa jaati hai kab use mehnat-e-dahqaan ki khabar hoti hai haae phulon ke muqaddar pe bhi dil rotaa hai zindagi un ki bhi kaanTon mein basar hoti hai aariz-e-ghuncha-o-gul aur dahak uThte hain ashk-e-shabnam mein bhi taasir-e-sharar hoti hai main vo mahrum-e-mohabbat huun ki 'anvaar' miri jo duaa hai vahi mahrum-e-asar hoti hai"
A
Anwarul Hasan Anwar
Quote
"aayaa na aab-e-rafta kabhi juebaar mein kaise qaraar aae dil-e-be-qaraar mein hangaam-e-subh-e-id mein bhi vo mazaa kahaan jo lutf mil gayaa hai shab-e-intizaar mein bijli giri thi kab ye kisi ko khabar nahin ab tak chaman mein aag lagi hai bahaar mein jab tak bikhar na jaae tiri zulf-e-ambarin nikhat kahaan se aae nasim-e-bahaar mein fursat mili hai dil ko nasheman ki fikr se phir barq kundne lagi har shaakh-saar mein phir kis ki yaad aai ki 'anvaar' aaj-kal moti piro rahaa huun garebaan ke haar mein"
A
Anwarul Hasan Anwar
Quote
"bhulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barson dil-e-viraan ko yuun aabaad kiyaa hai barson saath jo de na sakaa raah-e-vafaa mein apnaa be-iraada bhi use yaad kiyaa hai barson gham jahaan mein vo rafiq-e-abadi hai apnaa jis ne har haal mein dil shaad kiyaa hai barson bhuul saktaa huun bhalaa gardish-e-dauraan tujh ko roz tu ne sitam ijaad kiyaa hai barson kab giraftaar-e-kham-e-gham-e-hijraan na rahaa kab tire dard ne aazaar kiyaa hai barson ab bhi 'anvaar' pashemaani-e-khaatir ho na kyuun umr-e-rafta tujhe barbaad kiyaa hai barson"
A
Anwarul Hasan Anwar

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar