"har-chand mere haal se vo be-khabar nahin lekin vo be-kali jo idhar hai udhar nahin aavaaz-e-raftagaan mujhe laati hai is taraf ye raasta agarche miri rahguzar nahin chamki thi ek barq si phulon ke aas-paas phir kyaa huaa chaman mein mujhe kuchh khabar nahin kuchh aur ho na ho chalo apnaa hi dil jale itnaa bhi apni aah mein lekin asar nahin aati nahin hai in se shanaasaai ki mahak ye mere apne shahr ke divaar-o-dar nahin 'baasir' jagaa diyaa hai tumhein kis ne aadhi raat is dasht mein to naam-o-nishaan-e-sahar nahin"
chashm-e-nam se dekhtaa hai kyon miri chashm-e-pur-aab — Basir Sultan Kazmi
"chashm-e-nam se dekhtaa hai kyon miri chashm-e-pur-aab tere dil ki barf ne dekhaa nahin hai aaftaab yuun guzarti jaa rahi hai zindagi ki dopahar dil mein ik ummid-e-kaazib aur aankhon mein saraab khud-sari us tund-khu ki jaate jaate jaaegi ek hi din mein kabhi aataa nahin hai inqalaab tum ne ham ko kyaa diyaa aur ham se tum ko kyaa milaa mil gai fursat kabhi to ye bhi kar leinge hisaab ham ko apnaa shahr yaad aataa na shaayad is qadar kyaa karein rahtaa hai tere shahr kaa mausam kharaab ek khat likh kar samajhnaa farz puuraa ho gayaa vaah 'baasir' ji tumhaaraa bhi nahin koi javaab"
چشم نم سے دیکھتا ہے کیوں مری چشم پر آب تیرے دل کی برف نے دیکھا نہیں ہے آفتاب یوں گزرتی جا رہی ہے زندگی کی دوپہر دل میں اک امید کاذب اور آنکھوں میں سراب خود سری اس تند خو کی جاتے جاتے جائے گی ایک ہی دن میں کبھی آتا نہیں ہے انقلاب تم نے ہم کو کیا دیا اور ہم سے تم کو کیا ملا مل گئی فرصت کبھی تو یہ بھی کر لیں گے حساب ہم کو اپنا شہر یاد آتا نہ شاید اس قدر کیا کریں رہتا ہے تیرے شہر کا موسم خراب ایک خط لکھ کر سمجھنا فرض پورا ہو گیا واہ باصرؔ جی تمہارا بھی نہیں کوئی جواب
चश्म-ए-नम से देखता है क्यों मिरी चश्म-ए-पुर-आब तेरे दिल की बर्फ़ ने देखा नहीं है आफ़्ताब यूँ गुज़रती जा रही है ज़िंदगी की दोपहर दिल में इक उम्मीद-ए-काज़िब और आँखों में सराब ख़ुद-सरी उस तुंद-ख़ू की जाते जाते जाएगी एक ही दिन में कभी आता नहीं है इंक़लाब तुम ने हम को क्या दिया और हम से तुम को क्या मिला मिल गई फ़ुर्सत कभी तो ये भी कर लेंगे हिसाब हम को अपना शहर याद आता न शायद इस क़दर क्या करें रहता है तेरे शहर का मौसम ख़राब एक ख़त लिख कर समझना फ़र्ज़ पूरा हो गया वाह 'बासिर' जी तुम्हारा भी नहीं कोई जवाब

More by Basir Sultan Kazmi
View all →"kitnaa kaam kareinge ab aaraam kareinge tere diye hue dukh tere naam kareinge ahl-e-dard hi aakhir khushiyaan aam kareinge naukri chhoD ke 'baasir' apnaa kaam kareinge"
"baadal hai aur phuul khile hain sabhi taraf kahtaa hai dil ki aaj nikal jaa kisi taraf tevar bahut kharaab the sunte hain kal tire achchhaa huaa ki ham ne na dekhaa tiri taraf jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf ai dil ye dhaDkanein tiri maamul ki nahin lagtaa hai aa rahaa hai vo fitna isi taraf khush thaa ki chaar nekiyaan hain jama us ke paas nikle gunaah bisiyon ulTaa miri taraf 'baasir' adu se ham to yunhi bad-gumaan rahe thaa un kaa iltifaat kisi aur hi taraf"
"rahtaa hai itnaa paaon ke til kaa asar savaar sar par hai ghar pahunchte hi aglaa safar savaar main chikhtaa rahaa ki nahin khat ye mere naam lekin havaa ke ghoDe pe thaa naama-bar savaar miltaa nahin hai dasht-navardi mein ab vo lutf rahne lagaa hai zehn pe ghar is qadar savaar kis chiiz ki na-jaane zarurat kahaan paDe kar luun na apne saath savaari mein ghar savaar raakib ko ek baar giraa de jo rakhsh-e-umr mumkin nahin vo is pe ho baar-e-digar savaar ye ishq kaa nasha to utartaa nahin kabhi 'baasir' yunhi rahegaa ye aasaab par savaar"
"qaraar paate hain aakhir ham apni apni jagah ziyaada rah nahin saktaa koi kisi ki jagah banaani paDti hai har shakhs ko jagah apni mile agarche ba-zaahir bani-banaai jagah hain apni apni jagah mutmain jahaan sab log tasavvuraat mein mere hai ek aisi jagah gilaa bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah kiye hue hai faraamosh tu jise 'baasir' vahi hai asl mein teraa maqaam teri jagah"
"kitni hi be-zarar sahi teri kharaabiyaan 'baasir' kharaabiyaan to hain phir bhi kharaabiyaan haalat jagah badalne se badli nahin miri hoti hain har jagah ki kuchh apni kharaabiyaan tu chaahtaa hai apni nai khubiyon ki daad mujh ko aziiz teri puraani kharaabiyaan junhi taalluqaat kisi se hue kharaab saare jahaan ki us mein mileingi kharaabiyaan sarkaar kaa hai apnaa hi meaar-e-intikhaab yaaro kahaan ki khubiyaan kaisi kharaabiyaan aadam khataa kaa putlaa hai gar maan lein ye baat nikleingi is kharaabi se kitni kharaabiyaan un hastiyon ki raah pe dekheinge chal ke ham jin mein na thiin kisi bhi tarah ki kharaabiyaan boeinge apne baagh mein sab khubiyon ke biij jaD se ukhaaD pheinkeinge saari kharaabiyaan 'baasir' kei shakhsiyat bhi ajab hai ki is mein hain kuchh khubiyaan kharaab kuchh achchhi kharaabiyaan"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"