SHAWORDS

dard ab had se guzar kar laa-davaa hone ko hai — Khursheed Alig

HomeKhursheed AligGhazal
"dard ab had se guzar kar laa-davaa hone ko hai aap ki ulfat mein dekhein aur kyaa hone ko hai aap ke abru-e-pur-kham ke karishme al-amaan ik ishaare mein na jaane kyaa se kyaa hone ko hai be-hayaai daur-e-haazir ki ye kahti hai mujhe husn parde se nikal kar bad-numaa hone ko hai taare Takraane ko hain aur zalzale aane ko hain az-zamin-taa-aasmaan mahshar bapaa hone ko hai raat din kaTti hai ab umr-e-aziz is fikr mein hashr mein pesh-e-khudaa 'khurshid' kyaa hone ko hai"
Urdu

درد اب حد سے گزر کر لا دوا ہونے کو ہے آپ کی الفت میں دیکھیں اور کیا ہونے کو ہے آپ کے ابروئے پر خم کے کرشمے الاماں اک اشارے میں نہ جانے کیا سے کیا ہونے کو ہے بے حیائی دور حاضر کی یہ کہتی ہے مجھے حسن پردے سے نکل کر بد نما ہونے کو ہے تارے ٹکرانے کو ہیں اور زلزلے آنے کو ہیں از زمیں تا آسماں محشر بپا ہونے کو ہے رات دن کٹتی ہے اب عمر عزیز اس فکر میں حشر میں پیش خدا خورشیدؔ کیا ہونے کو ہے

Hindi

दर्द अब हद से गुज़र कर ला-दवा होने को है आप की उल्फ़त में देखें और क्या होने को है आप के अबरू-ए-पुर-ख़म के करिश्मे अल-अमाँ इक इशारे में न जाने क्या से क्या होने को है बे-हयाई दौर-ए-हाज़िर की ये कहती है मुझे हुस्न पर्दे से निकल कर बद-नुमा होने को है तारे टकराने को हैं और ज़लज़ले आने को हैं अज़-ज़मीं-ता-आसमाँ महशर बपा होने को है रात दिन कटती है अब उम्र-ए-अज़ीज़ इस फ़िक्र में हश्र में पेश-ए-ख़ुदा 'ख़ुर्शीद' क्या होने को है

dard ab had se guzar kar lā-davā hone ko hai
Khursheed Alig
Khursheed Alig
Khursheed Alig
poet17 quotes

More by Khursheed Alig

View all →
Quote
"kahaa na kuchh bhi dabaa di gai miri aavaaz uDaa na thaa ki shikasta hue par-e-parvaaz ajiib qaid mein dam hai ye kaisaa jiinaa hai ki zindagi hui jaati hai maut ki ghammaaz taDap taDap ke sar-e-daar mar gayaa koi hayaat kahiye ki marne hi kaa hai ik andaaz jigar kaa soz mayassar nahin to kuchh bhi nahin jigar ke soz se saaz-e-hayaat baa-aavaaz koi salib pe kyaa soch ke laTaktaa hai masih-e-vaqt se puchhe zaraa koi ye raaz firaaq-e-yaar mein har lamha zindagi hai azaab daraaz silsila-e-zist hai bahut hi daraaz gham-e-hayaat ne shaair banaa diyaa 'khurshid' vagarna main kahaan aur shaairi kaa ye eazaaz"
Khursheed AligKhursheed Alig
Quote
"husn maasum nahin ishq pe ilzaam ke baad aap kaa naam bhi aataa hai mire naam ke baad hai yahi aalam-e-mearaaj-e-mohabbat shaayad ab koi naam nahin lab pe tire naam ke baad ab mohabbat ki tumhein laaj to rakhni hogi log lete hain tiraa naam mire naam ke baad naa-muraadi se mire dil ki khalish kam na hui tishnagi aur baDhi hasrat-e-naakaam ke baad uljhanein ishq mein kuchh aur bhi baDh jaati hain kabhi aaghaaz se pahle kabhi anjaam ke baad main khataavaar-e-mohabbat sahi lekin ai dost zindagi aur nikhar aai is ilzaam ke baad"
Khursheed AligKhursheed Alig
Quote
"na-jaane TuuT ke kab se bikhar rahaa huun main ki apni zaat kaa khud ek saaneha huun main mire lahu ki zarurat hai tere haathon ko isi tasavvur-e-rangin se ji rahaa huun main musibatein to hain apni shumaar se baahar ki haadsaat mein har lahza mubtalaa huun main na-jaane kaisaa safar hai ki kuchh pata hi nahin chalaa kahaan se kahaan aa ke ruk gayaa huun main na yaad aae koi aur na de koi aavaaz nikal ke yaadon ki basti se aa gayaa huun main anaa ko toD ke aa jaaun tere paas magar tiraa iraada na ab tak samajh sakaa huun main phir aaj sahme hue lamhe yaad aane lage hisaar-e-dard mein 'khurshid' ghir gayaa huun main"
Khursheed AligKhursheed Alig
Quote
"bhari mahfil mein zabt-e-gham baa-aasaani bhi karte hain magar tanhaai mein ashkon ki arzaani bhi karte hain miyaan ham khaaksaari mein javaab apnaa nahin rakhte zarurat aa paDe to phir hama-daani bhi karte hain unhein mat dekhein ahl-e-dil hiqaarat ki nigaahon se faqiraan-e-haram shahron pe sultaani bhi karte hain shikaayat be-sabab karte hain apne gum-shuda dil ki kabhi aap apni chizon ki nigahbaani bhi karte hain khaDe hain sab saf-e-insaaniyat mein haath baandhe par zaraa sochein kabhi kyaa kaar-e-insaani bhi karte hain yahi kaasa liye 'khurshid' jo phirte hain galiyon mein yahi jab vaqt aa jaae to man-maani bhi karte hain"
Khursheed AligKhursheed Alig

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud