SHAWORDS

dard kaa silsila nikal aayaa — Abdul Waqar

HomeAbdul WaqarGhazal
"dard kaa silsila nikal aayaa zakhm se raabta nikal aayaa log hansnaa na bhuul jaaein kahin soch kar maskharaa nikal aayaa ab nahin masala mujhe koi ye nayaa masala nikal aayaa shak yaqin mein badal gayaa jis din jeb se khat tiraa nikal aayaa roTiyaan seinkne siyaasat ki har koi rahnumaa nikal aayaa laDkiyaan be-vafaa nahin hotin ye sunaa qahqaha nikal aayaa"
Urdu

درد کا سلسلہ نکل آیا زخم سے رابطہ نکل آیا لوگ ہنسنا نہ بھول جائیں کہیں سوچ کر مسخرا نکل آیا اب نہیں مسئلہ مجھے کوئی یہ نیا مسئلہ نکل آیا شک یقیں میں بدل گیا جس دن جیب سے خط ترا نکل آیا روٹیاں سینکنے سیاست کی ہر کوئی رہنما نکل آیا لڑکیاں بے وفا نہیں ہوتیں یہ سنا قہقہہ نکل آیا

Hindi

दर्द का सिलसिला निकल आया ज़ख़्म से राब्ता निकल आया लोग हँसना न भूल जाएँ कहीं सोच कर मस्ख़रा निकल आया अब नहीं मसअला मुझे कोई ये नया मसअला निकल आया शक यक़ीं में बदल गया जिस दिन जेब से ख़त तिरा निकल आया रोटियाँ सेंकने सियासत की हर कोई रहनुमा निकल आया लड़कियाँ बे-वफ़ा नहीं होतीं ये सुना क़हक़हा निकल आया

dard kā silsila nikal aayā
Abdul Waqar
Abdul Waqar
Abdul Waqar
poet8 quotes

More by Abdul Waqar

View all →
Quote
"tum siyaasat mein ho jo chaahe nayaa karte raho par katar ke in parindon ko rihaa karte raho dukh ke sab baadal chhaTeinge dhuup khul kar aaegi masale par tum baDon se mashvara karte raho ham ne ye taalim paai hai nabi-e-paak se dushmanon ke haq mein bhi rab se duaa karte raho tum bhi gin sakte ho taare aasmaan ke haan magar shart itni hai musalsal ratjagaa karte raho barkatein baDh jaaeingi ghar mein tumhaare dekhnaa ho sake to muflison kaa haq adaa karte raho tinkaa tinkaa joD kar taamir hotaa hai mahal is liye har din nayaa kuchh tajraba karte raho"
Abdul WaqarAbdul Waqar
Quote
"jab un ke kuche mein jaanaa paDtaa hai raahon mein be-dard zamaana paDtaa hai baaton ki qimat jab ghaTne lagti hai tab ashkon ko kaam mein laanaa paDtaa hai rahbar bas rasta batlaate rahte hain manzil tak raahi ko jaanaa paDtaa hai pukhta kar le ai zaahid apnaa imaan masjid se pahle mai-khaana paDtaa hai aise bhi gul hain jin ko is duniyaa mein khilne se pahle murjhaanaa paDtaa hai yunhi khun-rezi thoDi ho jaati hai pahle nafrat ko uksaanaa paDtaa hai dil mein hai to bas dil mein hi mat rakhiye is duniyaa mein pyaar jataanaa paDtaa hai hai pahle aansu se dil halkaa hotaa thaa ab aankhon se khuun bahaanaa paDtaa hai"
Abdul WaqarAbdul Waqar

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar