SHAWORDS

dariyaa kaa chaDhaav dekhtaa huun — Jameel Mazhari

HomeJameel MazhariGhazal
"dariyaa kaa chaDhaav dekhtaa huun tinkon kaa bahaav dekhtaa huun tum dekho bulandi aasmaan ki main us kaa jhukaav dekhtaa huun kal pesh-e-nazar thi tegh-e-abru ab siine kaa ghaav dekhtaa huun vo aaein na aaein kaun jaane aai hui naav dekhtaa huun santaa huun karaah lakDiyon ki jalte hain alaav dekhtaa huun aasaan nahin hai dil ki chori tum aankh churaao dekhtaa huun manjdhaar mein hogi koi kashti saahil pe jamaav dekhtaa huun tum aag mein meri jal rahi ho main duur se taao dekhtaa huun apne ko 'jamil' bechnaa hai baazaar kaa bhaav dekhtaa huun"
Urdu

دریا کا چڑھاؤ دیکھتا ہوں تنکوں کا بہاؤ دیکھتا ہوں تم دیکھو بلندی آسماں کی میں اس کا جھکاؤ دیکھتا ہوں کل پیش نظر تھی تیغ ابرو اب سینے کا گھاؤ دیکھتا ہوں وہ آئیں نہ آئیں کون جانے آئی ہوئی ناؤ دیکھتا ہوں سنتا ہوں کراہ لکڑیوں کی جلتے ہیں الاؤ دیکھتا ہوں آسان نہیں ہے دل کی چوری تم آنکھ چراؤ دیکھتا ہوں منجدھار میں ہوگی کوئی کشتی ساحل پہ جماؤ دیکھتا ہوں تم آگ میں میری جل رہی ہو میں دور سے تاؤ دیکھتا ہوں اپنے کو جمیلؔ بیچنا ہے بازار کا بھاؤ دیکھتا ہوں

Hindi

दरिया का चढ़ाव देखता हूँ तिनकों का बहाव देखता हूँ तुम देखो बुलंदी आसमाँ की मैं उस का झुकाव देखता हूँ कल पेश-ए-नज़र थी तेग़-ए-अबरू अब सीने का घाव देखता हूँ वो आएँ न आएँ कौन जाने आई हुई नाव देखता हूँ सनता हूँ कराह लकड़ियों की जलते हैं अलाव देखता हूँ आसान नहीं है दिल की चोरी तुम आँख चुराओ देखता हूँ मंजधार में होगी कोई कश्ती साहिल पे जमाव देखता हूँ तुम आग में मेरी जल रही हो मैं दूर से ताओ देखता हूँ अपने को 'जमील' बेचना है बाज़ार का भाव देखता हूँ

dariyā kā chaḌhāv dekhtā huuñ
Jameel Mazhari
Jameel Mazhari
Jameel Mazhari
poet48 quotes

More by Jameel Mazhari

View all →
Quote
"bahut mushkil hai paas-e-lazzat-e-dard-e-jigar karnaa kisi se ishq karnaa aur vo bhi umar bhar karnaa sar-e-mahfil tiraa vo pursish-e-zakhm-e-jigar karnaa miri jaanib ba-mushkil ik nazar karnaa magar karnaa musallam ho gai hai be-ikhtiyaari jazb-e-baatin ki mohabbat us se karnaa jis se nafrat is qadar karnaa yahaan baal-o-pari bhi ek surat hai asiri ki asir-e-baal-o-par ho kar ghurur-e-baal-o-par karnaa tujhe haq hai ki tu parda uThaae ru-e-raushan se ki tere husn ko aataa hai tahzib-e-nazar karnaa baDhaa kar haath taare aasmaan se kaun toDegaa 'jamil' ik kaar-e-naa-mumkin hai taqlid-e-qamar karnaa"
Jameel MazhariJameel Mazhari
Quote
"main kyaa bataaun ki tu kyaa hai aur kyaa huun main hujum-e-lafz-o-maaani mein kho gayaa huun main pinhaa de koi mohabbat ki ek kaDi zanjir ki qaid-e-farz se baahar nikal gayaa huun main savaab ko nai shaklein jo de rahaa hai tu gunaah ke nae saanche banaa rahaa huun main junun miraa khirad-aasuda-e-nataaej hai khud apne paanv ki zanjir Dhaaltaa huun main miri nazar mein tajalli ki kyaa haqiqat hai tajalliyon ki haqiqat ko dekhtaa huun main giraa chukaa thaa jise kal nazar se apni 'jamil' ghurur ab usi pasti pe kar rahaa huun main"
Jameel MazhariJameel Mazhari
Quote
"kaho na ye ki mohabbat hai tirgi se mujhe Daraa diyaa hai patangon ne raushni se mujhe safina shauq kaa ab ke jo Duub kar ubhraa nikaal le gayaa dariyaa-e-be-khudi se mujhe hai meri aankh mein ab tak vahi safar kaa ghubaar milaa jo raah mein sahraa-e-aagahi se mujhe khirad inhi se banaati hai rahbari kaa mizaaj ye tajrabe jo mayassar hain gumrahi se mujhe abhi to paanv se kaanTe nikaaltaa huun main abhi nikaal na gulzaar-e-zindagi se mujhe zabaan-e-haal se kahtaa hai naaz-e-ishva-gari hayaa chhupaa na saki chashm-e-mazhari se mujhe baraae daad-e-sukhan kaasa-e-savaal ho dil khudaa bachaae 'jamil' is gadaagari se mujhe"
Jameel MazhariJameel Mazhari
Quote
"kaun kahtaa hai baDhaa shauq idhar se pahle kis ne dekhaa thaa kise tirchhi nazar se pahle mutmain ho le zaraa ahl-e-nazar se pahle parde aankhon ke uThaa parda-e-dar se pahle abhi taalim-e-vafaa yaani jafaa kaa nahin vaqt tarbiyat shauq ki ho lutf-e-nazar se pahle haan mohabbat mein maza hai mujhe inkaar nahin magar ai zauq-e-khalish dard-e-jigar se pahle saalik-e-raah-e-vafaa hai dil-e-aashufta-mizaaj muzhda-e-gumrahi-e-shauq-e-safar se pahle jurat-e-arz-e-tamannaa pe khafaa ho lenaa muskuraao to zaraa nichi nazar se pahle mausam-e-kaif mein be-kaifi-e-jazbaat na puchh dil-e-bulbul hai fasurda gul-e-tar se pahle jumbish-e-muztarib-e-parda-e-ismat ki qasam jalve betaab hue zauq-e-nazar se pahle jin se badnaam hue ishq ke jazbaat-e-latif vo ishaare the idhar se ki udhar se pahle do iraadon mein jo haail the hayaa ke parde kis ne sarkaae ishaaraat-e-nazar se pahle kyuun koi pahlu-e-jaanaan mein jagah paae 'jamil' aaj ham bazm mein pahuncheinge qamar se pahle"
Jameel MazhariJameel Mazhari
Quote
"'jamil' ko gumrahi mubaarak ki ab to saamaan bhi vahi hai jo dil ki vahshat kaa thaa taqaaza khirad kaa mailaan bhi vahi hai khudi mohabbat ke falsafe mein hai us ke jazbon ki maut lekin kuchh aur dil mein utar ke dekho to ishq ki jaan bhi vahi hai bani thi hamdard ishq ki jab to aql ko ye bhi dekhnaa thaa ki jis ko vo faaeda samajhti hai us kaa nuqsaan bhi vahi hai hamaari mizaan-e-aagahi mein yaqin kyaa hai gumaan ki shiddat jo shak ki aaghosh mein palaa ho usulan imaan bhi vahi hai 'jamil' kaisi khudaa-parasti vahi ghuTi khvaahishon ki masti Duboi jis ne hamaari kashti tumhaaraa tufaan bhi vahi hai"
Jameel MazhariJameel Mazhari

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil