Quote
"sab masruf hain apne apne hone mein khuub maza aataa hai un pe rone mein kuchh andhon kaa rabt banegaa suraj se hairat shaamil hogi jaadu Tone mein duniyaa ko ik konaa jaan rahe hain ham paDe hue hain duniyaa ke ik kone mein banjar tujh mein fasl ugaa sakte hain ham apni miTTi kharch kareinge bone mein ham aadam ki zaat mein jagmag chamke the ham ko puuraa ahd lagegaa sone mein"
