"nazar uThaa dil-e-naadaan ye justuju kyaa hai usi kaa jalva to hai aur ru-ba-ru kyaa hai kisi ki ek nazar ne bataa diyaa mujh ko surur-e-baada-e-be-saaghar-o-subu kyaa hai qafas azaab sahi bulbul-e-asir magar zaraa ye soch ki vo daam-e-rang-o-bu kyaa hai gadaa nahin hain ki dast-e-savaal phailaaein kabhi na aap ne puchhaa ki aarzu kyaa hai na mere ashk mein shaamil na un ke daaman par main kyaa bataaun unhein khun-e-aarzu kyaa hai sukhan ho sama-kharaashi to khaamushi behtar asar kare na jo dil par vo guftugu kyaa hai"
dast-e-khirad se parda-kushaai na ho saki — Tilok Chand Mahroom
"dast-e-khirad se parda-kushaai na ho saki husn-e-azal ki jalva-numaai na ho saki rang-e-bahaar de na sake khaarzaar ko dast-e-junun mein aabla-saai na ho saki ai dil tujhe ijaazat-e-fariyaad hai magar rusvaai hai agar shunavaai na ho saki mandir bhi saaf ham ne kiye masjidein bhi paak mushkil ye hai ki dil ki safaai na ho saki fikr-e-maaash o ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan in mushkilon se ahd-baraai na ho saki ghaafil na tujh se ai gham-e-uqbaa the ham magar daam-e-gham-e-jahaan se rihaai na ho saki munkir hazaar baar khudaa se huaa bashar ik baar bhi bashar se khudaai na ho saki khud zindagi buraai nahin hai to aur kyaa 'mahrum' jab kisi se bhalaai na ho saki"
دست خرد سے پردہ کشائی نہ ہو سکی حسن ازل کی جلوہ نمائی نہ ہو سکی رنگ بہار دے نہ سکے خارزار کو دست جنوں میں آبلہ سائی نہ ہو سکی اے دل تجھے اجازت فریاد ہے مگر رسوائی ہے اگر شنوائی نہ ہو سکی مندر بھی صاف ہم نے کئے مسجدیں بھی پاک مشکل یہ ہے کہ دل کی صفائی نہ ہو سکی فکر معاش و عشق بتاں یاد رفتگاں ان مشکلوں سے عہد برآئی نہ ہو سکی غافل نہ تجھ سے اے غم عقبیٰ تھے ہم مگر دام غم جہاں سے رہائی نہ ہو سکی منکر ہزار بار خدا سے ہوا بشر اک بار بھی بشر سے خدائی نہ ہو سکی خود زندگی برائی نہیں ہے تو اور کیا محرومؔ جب کسی سے بھلائی نہ ہو سکی
दस्त-ए-ख़िरद से पर्दा-कुशाई न हो सकी हुस्न-ए-अज़ल की जल्वा-नुमाई न हो सकी रंग-ए-बहार दे न सके ख़ारज़ार को दस्त-ए-जुनूँ में आबला-साई न हो सकी ऐ दिल तुझे इजाज़त-ए-फ़रियाद है मगर रुस्वाई है अगर शुनवाई न हो सकी मंदिर भी साफ़ हम ने किए मस्जिदें भी पाक मुश्किल ये है कि दिल की सफ़ाई न हो सकी फ़िक्र-ए-मआश ओ इश्क़-ए-बुताँ याद-ए-रफ़्तगाँ इन मुश्किलों से अहद-बरआई न हो सकी ग़ाफ़िल न तुझ से ऐ ग़म-ए-उक़्बा थे हम मगर दाम-ए-ग़म-ए-जहाँ से रिहाई न हो सकी मुंकिर हज़ार बार ख़ुदा से हुआ बशर इक बार भी बशर से ख़ुदाई न हो सकी ख़ुद ज़िंदगी बुराई नहीं है तो और क्या 'महरूम' जब किसी से भलाई न हो सकी

More by Tilok Chand Mahroom
View all →"is kaa gila nahin ki duaa be-asar gai ik aah ki thi vo bhi kahin jaa ke mar gai ai ham-nafas na puchh javaani kaa maajraa mauj-e-nasim thi idhar aai udhar gai daam-e-gham-e-hayaat mein uljhaa gai umiid ham ye samajh rahe the ki ehsaan kar gai is zindagi se ham ko na duniyaa mili na diin taqdir kaa mushaahida karte guzar gai anjaam-e-fasl-e-gul pe nazar thi vagarna kyuun gulshan se aah bhar ke nasim-e-sahar gai bas itnaa hosh thaa mujhe roz-e-vidaa-e-dost viraana thaa nazar mein jahaan tak nazar gai har maujh-e-aab-e-sindh hui vaqf-e-pech-o-taab 'mahrum' jab vatan mein hamaari khabar gai"
"zavaal-e-husn ko husn-e-nigaar kyaa jaane khizaan qadam-ba-qadam hai bahaar kyaa jaane likhaa hai us ke muqaddar mein iztiraab-e-davaam qaraar kyaa hai dil-e-be-qaraar kyaa jaane nasib raahat-e-qurb-e-davaam ho jis ko vo lazzat-e-khalish-e-intizaar kyaa jaane samajh rahe hain jise sab gunaahgaar yahaan usi pe ho karam-e-kirdgaar kyaa jaane kiye pe apne ho khud munfail bashar aakhir yahi ho jabr yahi ikhtiyaar kyaa jaane taDap rahaa huun main apne gunaah gin gin kar usi kaa naam ho roz-e-shumaar kyaa jaane kahaan ye shaam-e-gharibaan kahaan vo subh-e-vatan vo farq-e-gardish-e-lail-o-nihaar kyaa jaane jo paanv toD ke baiThe sar-e-rah-e-manzil vo kab uTheinge koi shahsavaar kyaa jaane ba-in kamaal-e-khirad kyuun hai maail-e-ilhaad maqaam-e-'josh' ko 'mahrum'-e-zaar kyaa jaane"
"vo dil kahaan hai ahl-e-nazar dil kahein jise yaani niyaaz-e-ishq ke qaabil kahein jise zanjir-e-gham hai khud miri khvaahish kaa silsila yaa zulf-e-kham-ba-kham ki salaasil kahein jise miltaa hai mushkilon se kisi ke huzur kaa vo ek lahza ziist kaa haasil kahein jise kashti shikastgaan-e-yam-e-iztiraab ko teraa hi ek naam hai saahil kahein jise paati nahin farogh ba-juz soz-o-saaz-e-ishq sham-e-hayaat dar-khur-e-mahfil kahein jise is dil ko shaad rakhne ki khidmat mili mujhe gham-haa-e-rozgaar ki manzil kahein jise is daur-e-qadr-daan-e-sukhan mein ye ittifaaq shaair vahi hai raunaq-e-mahfil kahein jise 'mahrum' chaak-e-sina-e-har-gul mein hai vo chiiz taasir-e-naala-haa-e-anaadil kahein jise"
"hijraan ki shab jo dard ke maare udaas hain un ki nazar mein chaand sitaare udaas hain aankhein vo phir gaiin ki zamaana ulaT gayaa jiite the jo nazar ke sahaare udaas hain kyaa hiir ab kahin hai na raanjhe kaa jaan-nashin kyuun ai chanaab tere kinaare udaas hain behtar hai ham bhi chashm-e-jahaan-bin ko muund lein duniyaa ke ab tamaam nazaare udaas hain 'mahrum' kyaa kalaam bhi apnaa fanaa huaa kyuun ham ko kho ke dost hamaare udaas hain"
"badnaam huun par aashiq-e-badnaam tumhaaraa naakaam huun par taalib-e-naakaam tumhaaraa main is ko na bechun evaz-e-mulk-e-sulaimaan hai sabt sar-e-khaatim-e-dil naam tumhaaraa yaan saaghar-e-dil khun-e-tamannaa se bharaa hai par baada-e-gulgun se vahaan jaam tumhaaraa mahrumi-e-qismat hai miri khaas vagarna mashhur-e-jahaan hai karam-e-aam tumhaaraa jachte nahin nazron mein mah-o-mehr ke jalve rahtaa hai tasavvur sahar-o-shaam tumhaaraa tum jis se phiro us se ho bargashta zamaana dam bharne lagi gardish-e-ayyaam tumhaaraa ghaflat mein kaTi jaati hai 'mahrum' javaani achchhaa nazar aataa nahin anjaam tumhaaraa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"