SHAWORDS

dast uThaaein yaa kashkol — Anisur Rahman

HomeAnisur RahmanGhazal
"dast uThaaein yaa kashkol rabbaa dene vaale bol yaa-rab yaa-rab kartaa huun yaa-rab yaa-rab mujh se bol main ne teri boli sikhi tu bhi meri boli bol main bhi nam-dida ho jaaun yuun aankhon se moti rol duniyaa ko kuchh samjhaa huun kuchh duniyaa ko tu bhi khol kashti paani uupar niche paani kashti DaanvaaDol mere jiine kaa saamaan meri tamannaaon kaa ghol"
Urdu

دست اٹھائیں یا کشکول ربا دینے والے بول یا رب یا رب کرتا ہوں یا رب یا رب مجھ سے بول میں نے تیری بولی سیکھی تو بھی میری بولی بول میں بھی نم دیدہ ہو جاؤں یوں آنکھوں سے موتی رول دنیا کو کچھ سمجھا ہوں کچھ دنیا کو تو بھی کھول کشتی پانی اوپر نیچے پانی کشتی ڈانواڈول میرے جینے کا ساماں میری تمناؤں کا غول

Hindi

दस्त उठाएँ या कश्कोल रब्बा देने वाले बोल या-रब या-रब करता हूँ या-रब या-रब मुझ से बोल मैं ने तेरी बोली सीखी तू भी मेरी बोली बोल मैं भी नम-दीदा हो जाऊँ यूँ आँखों से मोती रोल दुनिया को कुछ समझा हूँ कुछ दुनिया को तू भी खोल कश्ती पानी ऊपर नीचे पानी कश्ती डाँवाडोल मेरे जीने का सामाँ मेरी तमन्नाओं का ग़ोल

dast uThā.eñ yā kashkol
Anisur Rahman
Anisur Rahman
Anisur Rahman
poet21 quotes

More by Anisur Rahman

View all →
Quote
"meri vahshat mujh se puchhegi to batlaaungaa main svaang jo tum ne sikhaae vo bhi dikhlaaungaa main kis ne divaana banaayaa naam batlaaungaa main dasht-o-dariyaa se bhi aage baat phailaaungaa main khvaab tum dikhlaaoge to khvaab dikhlaaungaa main donon jaanib khvaab ke parcham bhi lahraaungaa main naa-rasaai kaa koi shikva nahin shikva ye hai kyaa khayaal-e-khaam hi se dil ko bahlaaungaa main ai shab-e-furqat tumhein mujh se shikaayat to nahin gar chale jaaoge tum bhi kitnaa ghabraaungaa main ik sumum-e-gard-aasaa chal rahi hai chaar-su chaar-su baarish liye tum dekhnaa aaungaa main ik andheraa chaar jaanib baarishon ke darmiyaan baarishon ke darmiyaan shoala-saa lahraaungaa main paanv hain aamaada-e-sair-o-safar manzil-ba-dast kyaa tumhein lagtaa hai ab bhi lauT kar aaungaa main raaste masdud jab ho jaaeinge khatm-e-safar aakhiri patthar pe apnaa naam likhvaaungaa main raftagaan aaindagaan ke darmiyaan kyaa rabt hai 'mir' saahib se ye puchhungaa to batlaaungaa main"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"raat kaali nahin to kyaa hogi paaemaali nahin to kyaa hogi sher-goyon ki fitrat-e-saada laa-ubaali nahin to kyaa hogi us ki zambil aur miri zambil meri khaali nahin to kyaa hogi lahn ik aur vo bhi vaqt-e-subh vo bilaali nahin to kyaa hogi achchhe insaanon ki tabiat bhi gar sifaali nahin to kyaa hogi shaam ke saae hain zavaal-pazir shab zavaali nahin to kyaa hogi maah-ru maah-ru se milte hain lab pe laali nahin to kyaa hogi khvaaja-e-mir-'dard' ki har baat gar misaali nahin to kyaa hogi"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"hijr se baat ki visaal ke baa'd ab ke aanaa to maah-o-saal ke baa'd jaise aayaa thaa maazi haal ke baa'd kyaa junub aaegaa shumaal ke baa'd baat se baat chalti rahti hai khatm ho jaati hai misaal ke baa'd ik khamoshi hisaar ki maanind pahle aur aakhiri savaal ke baad ek sail-e-malaal har jaanib ik malaal aur ik malaal ke baa'd ik khamoshi ravaan-davaan har-su kyaa khamoshi hai qil-o-qaal ke baa'd us ki surat-gari mein roz-o-shab khvaab ham dekhte khayaal ke baa'd dast-o-baazu mein aasmaan-o-zamin aur kyaa faal nek-faal ke baa'd marg ik maandgi kaa vaqfa hai zindagi ye to ehtimaal ke baa'd"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"hamaari baat mein sun dam kaa ramz haigaa kyaa kisi bhi pech kisi kham kaa ramz haigaa kyaa vo daur aur thaa jab tum ne mujh se puchhaa thaa mohabbaton mein kahin gham kaa ramz haigaa kyaa ye aab-e-saada ye aab-e-ravaan ye aab-e-azal is aab-e-naab mein zamzam kaa ramz haigaa kyaa falak pe abr bhi anjum bhi abr-e-baaraan bhi magar zamin pe jhamaa-jham kaa ramz haigaa kyaa na koi tishna-labi hai na koi sairaabi to mere jaam tire jam kaa ramz haigaa kyaa usi ke dam se baqaa hai usi ke dam se fanaa fanaa-baqaa mein bataa dam kaa ramz haigaa kyaa 'anis' raqs mein tum ho ki raqs hai tum mein ki aakhirash ye damaadam kaa ramz haigaa kyaa"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"vahm se yaa gumaan se uThti hai yaa kahin darmiyaan se uThti hai vo tamanna ki jis pe jiite hain kyaa bataaein kahaan se uThti hai gham-kada hai ye 'mir' saahab kaa ek taabaani yaan se uThti hai kyaa samaavaat mein talaatum hai kyaa fughaan jism-o-jaan se uThti hai mauj jab tah-nashin hoti hai lahr aab-e-ravaan se uThti hai laa-makaani makaan se behtar hai ye zamin-o-zamaan se uThti hai dida-baazi bhi ishq-baazi hai dil ki ye baat jaan se uThti hai jab uThaae na uTh sake ye zamin phir zamin aasmaan se uThti hai ab to kunj-e-butaan se rukhsat hai aashiqi aastaan se uThti hai"
Anisur RahmanAnisur Rahman

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb